Quote
"jo surat ishq ki paidaa na kartaa to koi husn ki puujaa na kartaa mohabbat kaa kabhi saudaa na kartaa zamaana aap ko rusvaa na kartaa firaaq-e-did mein taDpaa na kartaa to dil duniyaa-e-gham paidaa na kartaa buton ke ishq mein rusvaa na kartaa khudaa kuchh aur kartaa yaa na kartaa agar ehsaan ko bhulaa na kartaa bashar duniyaa kaa munh kaalaa na kartaa tumhaare aariz-e-rangin ke hote hasinon ki koi parvaa na kartaa surur-e-dil agar hotaa haqiqi qayaamat nit-nai barpaa na kartaa bil-aakhir ham ne tum par jaan de di ye aalam thaa ki martaa kyaa na kartaa agar saaqi ki aankhon mein khaTaktaa to baada-khvaar ki parvaa na kartaa jo hotaa hosh mujh ko be-khudi mein vafaa ke raaz ko ifshaa na kartaa ghani rahtaa na dil jo aashiqi se to shaayad husn ko tolaa na kartaa udhar tum be-rukhi par 'shaad' rahte idhar main dil kabhi mailaa na kartaa"







