Quote
"aalam-e-sajda hai meraa ek aalam nuur kaa sajda-gah par meri dhokaa ho rahaa hai tuur kaa ek aalam ham-navaa hai saahib-e-maqdur kaa saath detaa hai kahaan koi kisi majbur kaa shiddat-e-ehsaas-e-tanhaai ki hain hamdardiyaan dard baDh jaataa hai aksar raat ko ranjur kaa tiir ne naapi hain shaayad zakhm ki gahraaiyaan ilm bechaare ko kyaa hai sadma-e-mastur kaa shama raushan hai kahaan is kaa pata chaltaa nahin par nazar ko hai yaqin maujudgi-e-nur kaa hain kabhi nazrein tamanna par kabhi ummid par yaani hasrat-naak aalam hai dil-e-majbur kaa tujh mein aur tere tasavvur mein zaraa saa farq hai ek manzar paas kaa hai ek manzar duur kaa sarfaraazi-o-navaazish kaa sunaa hai sirf naam ai 'zaki' un se to rishta bhi nahin hai duur kaa"







