Quote
"baad-e-sabaa khamosh ho gulzaar chup rahein vo baat kar rahaa hai khabar-daar chup rahein tasvir se laDein dam-e-didaar chup rahein be-vaqt guftugu karein be-kaar chup rahein vo khush-kalaam nazm si sar-goshiyaan kare us vaqt jhumte dar-o-divaar chup rahein tujh khub-ru pe marne kaa haq pahle meraa hai shahzaadi keh bhi de tire saalaar chup rahein kam-go thaa main so mujh pe dalilon se bain kar main chaahtaa thaa mere 'azaadaar chup rahein mere tamaam dost mire haq mein Thiik hain ek-aadh mujh ko radd karein do-chaar chup rahein yaan bahs chunki 'ishq ke baare mein jaari hai so maa'zarat ke saath samajh-daar chup rahein"







