SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFarogh Zaidi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"gham-e-hijraan se zaraa yuun bhi nibhaai jaae mahfil-e-ghair sahi aaj sajaai jaae ikhtilaafaat ki buniyaad hai gahri lekin is pe nafrat ki na divaar uThaai jaae pahle manzil kaa ham apni to taayyun kar lein phir zamaane ko koi raah dikhaai jaae mai ke baare mein khayaalaat badal jaaeinge hazrat-e-shaikh ko thoDi si pilaai jaae sab ke aamaal pe tanqid hai sheva jis kaa baat kirdaar pe us ke bhi uThaai jaae yuun hi aqvaam ki taqdir sanvarti hai 'farogh' neamat-e-ilm pe kuchh baat chalaai jaae"
Farogh ZaidiFarogh Zaidi
Quote
"ai miri jaan tujhe aur badalnaa hogaa phir mire saath kaDi dhuup mein chalnaa hogaa apne pairon pe abhi qarz-e-safar baaqi hai hadd-e-imkaan se aage bhi nikalnaa hogaa is se pahle ki Dhale raat nayaa din nikle tire khvaabon ko mire khvaab mein Dhalnaa hogaa inqilaabaat kaa aaghaaz bhi hogaa lekin le ke parcham sar-e-baazaar nikalnaa hogaa kaamyaabi kaa yaqin duur na kar de ham ko paas manzil ke zaraa aur sambhalnaa hogaa vaadiyon mein to kisi khvaab ki bhaTke hai 'farogh' tujh ko taabir ke sahraa mein bhi jalnaa hogaa"
Farogh ZaidiFarogh Zaidi
Quote
"kahtaa rahe zamaana gunahgaar zindagi kuchh log ji rahe hain mazedaar zindagi kirdaar apnaa apnaa nibhaate hain sab yahaan samjho na tum kisi ki hai be-kaar zindagi ik vaqfa-e-ajal bhi to aataa hai darmiyaan chalti nahin kisi ki lagaataar zindagi aage nikal chuke the ham apne vujud se phir bhi hui na kam tiri raftaar zindagi raste kai hasin nikalte jahaan se the laai thi aise moD pe ik baar zindagi hai zindagi se shikva unhein bhi bahut 'farogh' hisse mein jin ke aai hai gulzaar zindagi"
Farogh ZaidiFarogh Zaidi
Quote
"dil ke andar ik zaraa si be-kali hai aaj bhi jo mire afkaar mein ras gholti hai aaj bhi yuun to vo divaar ban ke aa gayaa hai darmiyaan meri apne aap se kuchh dosti hai aaj bhi pattharon par chal ke sab ne paanv zakhmi kar liye jabki us ke dar kaa rasta makhmali hai aaj bhi rukh havaaon kaa badalnaa jaante hain log jo bas unhin ke har diye mein raushni hai aaj bhi jin savaalon kaa nahin hotaa koi musbat javaab un savaalon se ulajhtaa aadmi hai aaj bhi sikhtaa hai yuun to insaan har tariqe ki zabaan sab se aasaan sab se behtar khaamushi hai aaj bhi jis ke chalte main ne DhunDe the kai raste nae DhunDhti mujh ko vahi aavaargi hai aaj bhi kitne Duube kitne ubhre kyaa khabar un ko 'farogh' bah rahi chup-chaap yuun hi har nadi hai aaj bhi"
Farogh ZaidiFarogh Zaidi
Quote
"ilm-o-hunar se qaum ko raghbat nahin rahi is par shikaayatein ki fazilat nahin rahi badlegaa kyaa nizaam kab aaegaa inqilaab jab naujavaan lahu mein haraarat nahin rahi mazlum ko dilaae jo har zulm se najaat aisi jahaan mein koi adaalat nahin rahi sajde mein jaa ke maangnaa be-kaar neamatein kuchh bhi kaho use ye ibaadat nahin rahi fatve liye hain shaikh se pir-e-mughaan ne khaas piine mein ab zaraa bhi qabaahat nahin rahi masjid kaa rukh kiyaa hai janaab-e-'farogh' ne lagtaa hai ab gunaah mein lazzat nahin rahi"
Farogh ZaidiFarogh Zaidi