SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFazil Ansari(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"adiib thaa na main koi baDaa sahaafi thaa zamaana phir bhi mire fan kaa e'tiraafi thaa mujhe bhi zahr diyaa kyuun na haq-bayaani par ki ye gunaah to naa-qaabil-e-muaafi thaa kisi se ek bhi fitrat kaa raaz khul na sakaa agarche daur zamaane kaa inkishaafi thaa musibaton ne to naahaq uThaain taklifein mujhe miTaane ko meraa shabaab kaafi thaa dil-o-nazar na ulajhte to hal nikal aataa hazaar masala-e-did ikhtilaafi thaa vo meri raae se to muttafiq thaa ai 'faazil' zarif-kaar magar us kaa inhiraafi thaa"
F
Fazil Ansari
Quote
"ye daur kaisaa hai yaa-ilaahi ki dost dushman se kam nahin hai khulus-e-har-rahbar-e-zamaana fareb-e-rahzan se kam nahin hai huaa to hai be-naqaab koi nazar hai mahrum-e-did phir bhi naqaab se hai sivaa tajalli jamaal-e-chilman se kam nahin hai lagaa ke khun-e-jigar kaa Tiikaa hai saamne gham ke sar-ba-sajda sanam-parasti mein tu bhi ai dil kisi barahman se kam nahin hai qafas ki hai ab miraa Thikaana zarur hogaa tabaah ik din ki bijliyon ki nazar mein ye bhi mire nasheman se kam nahin hai misaal-e-khurshid jalva-gar hai jigar kaa har ek daagh-e-taabaan nazaara kar meri shaam-e-gham kaa jo subh-e-raushan se kam nahin hai ye khushk be-rang khaar faazil mire liye hain gulon se behtar miri nazar mein miraa bayaabaan kisi ke gulshan se kam nahin hai"
F
Fazil Ansari
Quote
"hui dil TuTne par is tarah dil se fughaan paidaa ki jaise shama ke bujhne se hotaa hai dhuaan paidaa rahaa saabit-qadam yuun hi agar 'azm-e-safar apnaa karegi khud rah-e-dushvaar hi aasaaniyaan paidaa har ik taa'mir khud apni tabaahi saath laati hai na girti barq gar hoti na shaakh-e-aashiyaan paidaa miri khvaahish ki ik sajda miTaa de naam-e-peshaani tiri khvaahish ho peshaani pe sajdon kaa nishaan paidaa vo jin ki maut par rote hain barson jaam-o-paimaana ab aise baada-kash hote hain ai saaqi kahaan paidaa zarurat kyaa karein ham justaju-e-aastaan ai dil salaamat zauq-e-sajda aap hogaa aastaan paidaa nazar mein jin ki rangini tabi'at mein hai raa'naai vo kar lete hain 'faazil' dasht mein bhi gulsitaan paidaa"
F
Fazil Ansari
Quote
"ai kahkashaan guzar ke tiri rahguzar se ham aage baDheinge aur maqaam-e-qamar se ham azm-e-buland hausla-e-mustaqil liye guzre har ek marhala-e-sakht-tar se ham dekhaa to hai zamin se tujhe gumbad-e-falak dekheinge ab zamin ko tire baam-o-dar se ham jab se hui hai aankh shab-e-gham se aashnaa naa-aashnaa hain lazzat-e-khvaab-e-sahar se ham dil iztiraab-o-dard se mahrum ho gayaa baaz aae tere lutf-o-karam ki nazar se ham har taaza gham ke vaaste jaa-e-qayaam hai tang aa gae hain vusat-e-qalb-o-jigar se ham targhib de na ai dil-e-furqat-nasib tu vaaqif hain khuub aah-o-fughaan ke asar se ham 'faazil' hamaaraa haal bhi hotaa tiri misaal rahte na hoshiyaar agar raahbar se ham"
F
Fazil Ansari
Quote
"kohsaaron mein nahin hai ki bayaabaan mein nahin baaghbaan husn faqat tere gulistaan mein nahin mauj-e-dariyaa ki ravaani ki ghaTaaon kaa khiraam kaun si baat tiri zulf-e-pareshaan mein nahin tujh se ho tark-e-jafaa mujh se vafaaein chhuTein vo tire bas mein nahin ye mire imkaan mein nahin khair dhundlaai si thi raushni-e-shaam-e-khizaan baaghbaan vo bhi to is subh-e-bahaaraan mein nahin chhin le saaqi-e-be-faiz ke haathon se subu rind kyaa aisaa koi mahfil-e-rindaan mein nahin uljhanon kaa ho asar kyuun na sukun-e-dil par rabt kyaa ham-nafaso saahil-o-tufaan mein nahin khanda-e-gul ho ki ho girya-e-shabnam 'faazil' daastaan gham ki nihaan kaun se 'unvaan mein nahin"
F
Fazil Ansari
Quote
"bataa ai zindagi tere parastaaron ne kyaa paayaa uThaa kar naaz tere naaz-bardaaron ne kyaa paayaa vo kaanTe hi sahi kuchh to diyaa ham ko bayaabaan ne magar gulshan se phulon ke talab-gaaron ne kyaa paayaa zaraa maalum to kiije khirad par marne vaalon se ki Thukraa kar junun ko in ziyaan-kaaron ne kyaa paayaa kaleja teraa phaT jaaegaa vaaiz fart-e-hairat se bataa duun main agar tujh ko gunahgaaron ne kyaa paayaa bayaabaan gham na kar be-faizi-e-abr-e-bahaaraan kaa tiraa daaman hai gar khaali to gulzaaron ne kyaa paayaa gham-e-hasti gham-e-jaanaan gham-e-duniyaa gham-e-dauraan miTaa kar mujh ko 'faazil' in sitam-gaaron ne kyaa paayaa"
F
Fazil Ansari
Quote
"dil ke makaan mein aankh ke aangan mein kuchh na thaa jab gham na thaa hayaat ke daaman mein kuchh na thaa ye to zaraa bataao hamein ahl-e-kaarvaan un rahbaron mein kyaa hai jo rahzan mein kuchh na thaa zulmat kaa jab tilism na TuuTaa nigaah se raushan huaa ki dida-e-raushan mein kuchh na thaa vo to bahaar kaa hamein rakhnaa paDaa bharam varna ye vaaqia hai ki gulshan mein kuchh na thaa mujh par ba-taur-e-khaas thi us ki nigaah-e-lutf kahtaa main kis tarah mire dushman mein kuchh na thaa ye bhi durust hai ki nasheman mein barq thi ye bhi ghalat nahin ki nasheman mein kuchh na thaa 'faazil' rukh-e-hayaat pe yuun thiin masarratein jaise gham-e-hayaat ki uljhan mein kuchh na thaa"
F
Fazil Ansari
Quote
"tohfa-e-gham bhi milaa dard ki saughaat ke baad phir bhi dil khush na huaa itni inaayaat ke baad umr-bhar DhunDte phirte hi rahe apnaa vajud khud se ham mil na sake un se mulaaqaat ke baad main huun jab tak to samajh lijiye sab kuchh hai yahaan kuchh na rah jaaegaa duniyaa mein miri zaat ke baad kitni taarikiyaan guzrin to ujaalaa dekhaa husn aayaa hai nazar kitne hijaabaat ke baad zindagi teri tavaazoa bhi main kartaa lekin na bachaa kuchh bhi lahu gham ki mudaaraat ke baad haath aae hue lamhaat na chhoDo varna kuchh na haath aaegaa guzre hue lamhaat ke baad aaegaa daur-e-masarrat bhi yaqinan 'faazil' kyaa nahin hoti hai duniyaa mein sahar raat ke baad"
F
Fazil Ansari
Quote
"na sanam-kadon ki hai justuju na khudaa ke ghar ki talaash hai mire dil mein bhar de jo bijliyaan mujhe us nazar ki talaash hai hain bahut se aise bhi raahzan jo mileinge khizr ke bhes mein koi un se kah de ye ham-safar jinhein raahbar ki talaash hai tujhe chand roza khushi mili to milaa mujhe gham-e-daaimi vo tiri nazar ki talaash thi ye miri nazar ki talaash hai miri raah ye tiri raah vo miraa saath tujh se nibhegaa kyaa ki mujhe hai dard ki justuju tujhe chaaragar ki talaash hai"
F
Fazil Ansari
Quote
"jaltaa hi rahaa karb kaa jangal mutavaatir barsaa to bahut aankh kaa baadal mutavaatir aisaa nahin har baar huaa 'azm zafar-yaab khaai hain shikastein bhi musalsal mutavaatir aahon ke labon par rahi muskaan baraabar tufaan mein jalti rahi mash'al mutavaatir pyaasaa na rakhaa dasht ko mere kaf-e-paa ne chhaalon ki Tapakti rahi chhaagal mutavaatir jis baat pe naazaan hai bahut aaj kaa shaa'ir kahtaa rahaa vo baat koi kal mutavaatir kuchh ban na sakaa koshish-o-tadbir se 'faazil' taqdir ke maathe pe paDe bal mutavaatir"
F
Fazil Ansari
Quote
"har lamha apni aag mein jaltaa rahaa badan har lamha misl-e-sham' pighaltaa rahaa badan taa-zindagi gharib na baahar nikal sakaa saanson ke daaere mein machaltaa rahaa badan parvaan-e-gham ki dhuup mein chaDhti rahi hayaat zakhmon ke sho'la-zaar mein paltaa rahaa badan khunkhaar jhaaDiyaan hi har ik gaam par milin phir bhi rah-e-hayaat pe chaltaa rahaa badan koi shajar nahin thaa ki saaya bikhertaa aatish-fishaan thaa aag ugaltaa rahaa badan apne jamaao hi se bikhartaa chalaa gayaa apne hi intishaar se Dhaltaa rahaa badan 'faazil' tamaam 'umr na fitrat badal saki kapDe tamaam 'umr badaltaa rahaa badan"
F
Fazil Ansari
Quote
"zulmatein baanTtaa har samt ujaalaa nikaalaa shaam ki tarh umidon kaa saveraa niklaa aafaton se na mili jaada-e-hasti mein najaat jab haTaayaa koi patthar to luTeraa niklaa hamla-zan mujh pe huaa mauj ki shamshir liye aaj dariyaa bhi mire khuun kaa pyaasaa niklaa ham-safar mujh se bure vaqt ki rudaad na puchh aanch detaa huaa har peD kaa saaya niklaa duur tak koi sadaa thi na kahin koi nishaan apne phailaao mein khoyaa huaa sahraa niklaa qatl kar ke mujhe di us ne hayaat-e-jaaved meraa qaatil to mire haq mein masihaa niklaa ab kahin jaa ke mire jism ne raahat paai ruuh nikli ki khaTaktaa huaa kaanTaa niklaa tum to kahte the gham-e-'ishq ne maaraa hai use aur 'faazil' to halaak-e-gham-e-duniyaa niklaa"
F
Fazil Ansari
Quote
"mire zakhm-e-jigar ko zakhm-e-daaman-daar honaa thaa zaraa vaazeh tumhaare lutf kaa izhaar honaa thaa dil-e-pur-daagh ki taarikiyon par sakht hairat hai ye vo matla hai jis ko matla-e-anvaar honaa thaa tumhein lenaa thaa pahle jaaeza apni nigaahon kaa phir us ke baad muusaa taalib-e-didaar honaa thaa pareshaan hain misaal-e-gard-gumnaami ke sahraa mein bahut aise ki jin ko qaafila-saalaar honaa thaa udhar vo aae aankhon mein idhar khvaab-e-ajal aayaa kahaan soi hui taqdir ko bedaar honaa thaa koi dekhe to 'faazil' qaabiliyyat baaghbaanon ki vahaan kaanTe hi kaanTe hain jahaan gulzaar honaa thaa"
F
Fazil Ansari
Quote
"vo barq kaa ho ki maujon ke pech-o-taab kaa rang judaa hai sab se mire dil ke iztiraab kaa rang shaguftagi mujhe zakhm-e-jigar ki yaad aai chaman mein dekh ke khilte hue gulaab kaa rang kiyaa na tark agar tark-e-aashiqi kaa khayaal kharaab aur bhi hogaa dil-e-kharaab kaa rang lagaa rahe hain vo nashtar se zakhm par marham nigaah-e-lutf-e-karam mein bhi hai itaab kaa rang ye mai-kada to hai khud inqalaab ki duniyaa yahaan jamegaa na duniyaa ke inqalaab kaa rang havaadason se jamaal-e-rukh-e-hayaat hai yuun qarib shaam ho jis tarah aaftaab kaa rang dil-e-tabaah kaa 'faazil' khudaa hi haafiz hai ki ab hai aur hi kuchh dard-o-iztiraab kaa rang"
F
Fazil Ansari
Quote
"bashar ki zaat mein shar ke sivaa kuchh aur nahin ye baat naqs-e-nazar ke sivaa kuchh aur nahin hayaat ki shab-e-taarik khatm hoti hai qazaa tulu-e-sahar ke sivaa kuchh aur nahin jo dekhiye to kaf-e-gul-farosh bhi hai hayaat ghalat ki daaman-e-tar ke sivaa kuchh aur nahin guzar ke had se har ik shai bar-aks hoti hai kamaal-e-aib-e-hunar ke sivaa kuchh aur nahin ye rang jo nazar aataa hai chehra-e-gul par hamaare khun-e-jigar ke sivaa kuchh aur nahin bashar hai jauhar-e-kirdaar se garaan-maaya guhar mein aab-e-guhar ke sivaa kuchh aur nahin nazar-fareb nazaare jahaan ke ai 'faazil' fareb-e-husn-e-nazar ke sivaa kuchh aur nahin"
F
Fazil Ansari
Quote
"ashk aayaa aankh mein jaltaa huaa aaj soz-e-gham kaa andaaza huaa zindagi guzri ummid-o-yaas mein dil kabhi gulshan kabhi sahraa huaa zikr-e-zulf-e-yaar rahne do abhi masala hai ziist kaa uljhaa huaa ban gayaa daaman mein vo aansu guhar jo na meri aankh kaa taaraa huaa baarhaa ruk ruk gai nabz-e-jahaan husn kaa jaadu hai kyaa chaltaa huaa gardishon se kyaa mujhe degaa najaat jaam khud gardish mein hai aayaa huaa dil vo kyaa jo gham se ho naa-aashnaa gham vo kyaa jis kaa ki andaaza huaa ham pareshaan-haal 'faazil' se mile hai tabiat kaa bahut suljhaa huaa"
F
Fazil Ansari