"ye daur kaisaa hai yaa-ilaahi ki dost dushman se kam nahin hai khulus-e-har-rahbar-e-zamaana fareb-e-rahzan se kam nahin hai huaa to hai be-naqaab koi nazar hai mahrum-e-did phir bhi naqaab se hai sivaa tajalli jamaal-e-chilman se kam nahin hai lagaa ke khun-e-jigar kaa Tiikaa hai saamne gham ke sar-ba-sajda sanam-parasti mein tu bhi ai dil kisi barahman se kam nahin hai qafas ki hai ab miraa Thikaana zarur hogaa tabaah ik din ki bijliyon ki nazar mein ye bhi mire nasheman se kam nahin hai misaal-e-khurshid jalva-gar hai jigar kaa har ek daagh-e-taabaan nazaara kar meri shaam-e-gham kaa jo subh-e-raushan se kam nahin hai ye khushk be-rang khaar faazil mire liye hain gulon se behtar miri nazar mein miraa bayaabaan kisi ke gulshan se kam nahin hai"
ashk aayaa aankh mein jaltaa huaa — Fazil Ansari
"ashk aayaa aankh mein jaltaa huaa aaj soz-e-gham kaa andaaza huaa zindagi guzri ummid-o-yaas mein dil kabhi gulshan kabhi sahraa huaa zikr-e-zulf-e-yaar rahne do abhi masala hai ziist kaa uljhaa huaa ban gayaa daaman mein vo aansu guhar jo na meri aankh kaa taaraa huaa baarhaa ruk ruk gai nabz-e-jahaan husn kaa jaadu hai kyaa chaltaa huaa gardishon se kyaa mujhe degaa najaat jaam khud gardish mein hai aayaa huaa dil vo kyaa jo gham se ho naa-aashnaa gham vo kyaa jis kaa ki andaaza huaa ham pareshaan-haal 'faazil' se mile hai tabiat kaa bahut suljhaa huaa"
اشک آیا آنکھ میں جلتا ہوا آج سوز غم کا اندازہ ہوا زندگی گزری امید و یاس میں دل کبھی گلشن کبھی صحرا ہوا ذکر زلف یار رہنے دو ابھی مسئلہ ہے زیست کا الجھا ہوا بن گیا دامن میں وہ آنسو گہر جو نہ میری آنکھ کا تارا ہوا بارہا رک رک گئی نبض جہاں حسن کا جادو ہے کیا چلتا ہوا گردشوں سے کیا مجھے دے گا نجات جام خود گردش میں ہے آیا ہوا دل وہ کیا جو غم سے ہو نا آشنا غم وہ کیا جس کا کہ اندازہ ہوا ہم پریشاں حال فاضلؔ سے ملے ہے طبیعت کا بہت سلجھا ہوا
अश्क आया आँख में जलता हुआ आज सोज़-ए-ग़म का अंदाज़ा हुआ ज़िंदगी गुज़री उम्मीद-ओ-यास में दिल कभी गुलशन कभी सहरा हुआ ज़िक्र-ए-ज़ुल्फ़-ए-यार रहने दो अभी मसअला है ज़ीस्त का उलझा हुआ बन गया दामन में वो आँसू गुहर जो न मेरी आँख का तारा हुआ बारहा रुक रुक गई नब्ज़-ए-जहाँ हुस्न का जादू है क्या चलता हुआ गर्दिशों से क्या मुझे देगा नजात जाम ख़ुद गर्दिश में है आया हुआ दिल वो क्या जो ग़म से हो ना-आश्ना ग़म वो क्या जिस का कि अंदाज़ा हुआ हम परेशाँ-हाल 'फ़ाज़िल' से मिले है तबीअत का बहुत सुलझा हुआ

More by Fazil Ansari
View all →"hui dil TuTne par is tarah dil se fughaan paidaa ki jaise shama ke bujhne se hotaa hai dhuaan paidaa rahaa saabit-qadam yuun hi agar 'azm-e-safar apnaa karegi khud rah-e-dushvaar hi aasaaniyaan paidaa har ik taa'mir khud apni tabaahi saath laati hai na girti barq gar hoti na shaakh-e-aashiyaan paidaa miri khvaahish ki ik sajda miTaa de naam-e-peshaani tiri khvaahish ho peshaani pe sajdon kaa nishaan paidaa vo jin ki maut par rote hain barson jaam-o-paimaana ab aise baada-kash hote hain ai saaqi kahaan paidaa zarurat kyaa karein ham justaju-e-aastaan ai dil salaamat zauq-e-sajda aap hogaa aastaan paidaa nazar mein jin ki rangini tabi'at mein hai raa'naai vo kar lete hain 'faazil' dasht mein bhi gulsitaan paidaa"
"ai kahkashaan guzar ke tiri rahguzar se ham aage baDheinge aur maqaam-e-qamar se ham azm-e-buland hausla-e-mustaqil liye guzre har ek marhala-e-sakht-tar se ham dekhaa to hai zamin se tujhe gumbad-e-falak dekheinge ab zamin ko tire baam-o-dar se ham jab se hui hai aankh shab-e-gham se aashnaa naa-aashnaa hain lazzat-e-khvaab-e-sahar se ham dil iztiraab-o-dard se mahrum ho gayaa baaz aae tere lutf-o-karam ki nazar se ham har taaza gham ke vaaste jaa-e-qayaam hai tang aa gae hain vusat-e-qalb-o-jigar se ham targhib de na ai dil-e-furqat-nasib tu vaaqif hain khuub aah-o-fughaan ke asar se ham 'faazil' hamaaraa haal bhi hotaa tiri misaal rahte na hoshiyaar agar raahbar se ham"
"zamzama-e-aah-o-fughaan duur tak gunjti hai vaadi-e-jaan duur tak haae re viraani-e-raah-e-hayaat koi sadaa hai na nishaan duur tak mil na sakaa amn-o-sukun kaa pata DhunD chuki umr-e-ravaan duur tak sham-e-tarab jalva-fagan aas-paas mashal-gham nur-fishaan duur tak simTe hue amn ke paighaambar phaile hue qaatil-e-jaan duur tak shahr mein dehaat mein har raah mein khuun ki ik ju-e-ravaan duur tak puchh na 'faazil' miri duniyaa kaa rang aag har ik samt dhuaan duur tak"
"kohsaaron mein nahin hai ki bayaabaan mein nahin baaghbaan husn faqat tere gulistaan mein nahin mauj-e-dariyaa ki ravaani ki ghaTaaon kaa khiraam kaun si baat tiri zulf-e-pareshaan mein nahin tujh se ho tark-e-jafaa mujh se vafaaein chhuTein vo tire bas mein nahin ye mire imkaan mein nahin khair dhundlaai si thi raushni-e-shaam-e-khizaan baaghbaan vo bhi to is subh-e-bahaaraan mein nahin chhin le saaqi-e-be-faiz ke haathon se subu rind kyaa aisaa koi mahfil-e-rindaan mein nahin uljhanon kaa ho asar kyuun na sukun-e-dil par rabt kyaa ham-nafaso saahil-o-tufaan mein nahin khanda-e-gul ho ki ho girya-e-shabnam 'faazil' daastaan gham ki nihaan kaun se 'unvaan mein nahin"
"adiib thaa na main koi baDaa sahaafi thaa zamaana phir bhi mire fan kaa e'tiraafi thaa mujhe bhi zahr diyaa kyuun na haq-bayaani par ki ye gunaah to naa-qaabil-e-muaafi thaa kisi se ek bhi fitrat kaa raaz khul na sakaa agarche daur zamaane kaa inkishaafi thaa musibaton ne to naahaq uThaain taklifein mujhe miTaane ko meraa shabaab kaafi thaa dil-o-nazar na ulajhte to hal nikal aataa hazaar masala-e-did ikhtilaafi thaa vo meri raae se to muttafiq thaa ai 'faazil' zarif-kaar magar us kaa inhiraafi thaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"