Quote
"subh chale to zauq-e-talab thaa arsh-nishaan khurshid-shikaar manzil-e-shaam aai to ham hain aur shikaston ke ambaar dil ki naadaani to dekho kyaa kyaa armaan rakhtaa hai jaise davaam kaa aaina ho lamhon ki girti divaar ziist sahi ik tiira shabistaan lekin yaaro shola-e-shauq ik do nafas to aisaa bhaDkaa tur-misaal thaa dil kaa dayaar kal tak main aur tu the baaham raqs-e-sabaa aur khanda-e-gul aaj tire lab yaas-guzida meraa harf-e-shauq figaar zamzama-o-aahang ki duniyaa kyaa yaksar viraan hui mahfil mahfil hu kaa samaan hai chehra chehra sang-e-mazaar yuun bhi aage raah kaThin hai aur athaah andheraa hai ai maazi ke shahr-e-charaaghaan yuun na mujhe pichhe se pukaar sang-o-salib hain maidaan maidaan aur hujum-e-jaan-baazaan kaisi dhuum se aayaa ab ke marg-e-tamannaa kaa tyauhaar"







