SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHaresh Vanza(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tamaasha banne se behtar yahi hai chup rahaa jaae bhale duniyaa phir andaaze lagaane par hi aa jaae jo zaahir thiin vo baatein to kitaabon mein bahut paDh liin chalo ab ke kisi ki khaamushi ko bhi paDhaa jaae talaashe jaaein sab se pahle to 'aib-o-hunar khud ke kisi ko baa'd mein achchhaa buraa insaan kahaa jaae tumhaari raae yakdam hi badalti jaaegi us par agar vo mudda'aa donon taraf se jo sunaa jaae musibat aur is afsurdagi se itnaa kyaa Darnaa kahin ye Dar tumhaari hausla-mandi na khaa jaae"
Haresh VanzaHaresh Vanza
Quote
"jis ki khaatir jal rahe the ham sharaare ki tarah us ke dil mein rah gae to bas khasaare ki tarah jis taraf us kaa ishaara thaa vo koi aur thaa chaand ke yaavar nahin the ham sitaare ki tarah dil dukhaane kaa koi mauqa' nahin jo chhoDtaa saath aise shakhs ke the ham sahaare ki tarah jab samundar chhoDegaa manjdhaar mein laa ke use yaad aaeinge use bhi ham kinaare ki tarah chand ummidon tale dab ke mare hain ham 'haresh' ham ne dekhaa hi nahin khud ko sahaare ki tarah"
Haresh VanzaHaresh Vanza
Quote
"hamaare vaaste bas vo ghaDi bhar ko Thahar jaae hamein apnaa kahe ik baar phir chaahe mukar jaae ham aise log jin kaa saath koi bhi nahin detaa kahaan jaaein karein kyaa dard jab had se guzar jaae sanbhaale hain na jaane kab se aansu us ne aankhon mein koi pal bhar gale se bhi lagaa le to bikhar jaae kisi din zindagi ke bhi sahi maa'ni samajh loge mohabbat kaa nasha bas aap ke sar se utar jaae badaltaa jaa rahaa hai shauq vo bhi aaj-kal apne hamaare hisse ki ab ke mohabbat bhi na mar jaae"
Haresh VanzaHaresh Vanza
Quote
"kiye jaa rahe hain mohabbat se ham to kinaaraa yaqin uTh gayaa hai ab in rishton se jo hamaaraa hamein is qadar toD Daalaa hai bhitar se us ne bharosa nahin kar sakeinge kisi kaa dubaara hamein aur to kuchh nahin chaahiye thaa khudaa se du'aaon mein maangaa thaa bas saath ham ne tumhaaraa kabhi vo pukaare hamein aur ham dauDe jaaein magar dost ham ko milaa hi nahin vo ishaara hamaare qarib aa ke har koi ye sochtaa hai huaa bhi koi faaeda yaa huaa bas khasaaraa ye khushiyaan to bas ik dikhaavaa hi hain zindagi kaa haqiqat mein to in ghamon ne hamein hai sanvaaraa"
Haresh VanzaHaresh Vanza