SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byIrfan Aazmi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"yaad tumhaari aai hai barsaaton mein phuul khile zakhmon ke bhigi raaton mein jis mein koi khuun na ho armaanon kaa aisi koi raat nahin hai raaton mein chumegaa ik 'aalam rahti duniyaa tak sang jo tum ne bheje hain saughaaton mein un kaa lahja un ki baatein kyaa kahiye vaqt guzar jaataa hai baaton baaton mein shahron ki rangini raas na aaegi saathi meraa chhuT gayaa dehaaton mein chaadar mein munh Dhaanke yunhi leTe hain niind kahaan aai hai ujDi raaton mein zaat ke andar kyon meraa dam ghuTtaa hai zinda hain sab apni apni zaaton mein daulat mere paas nahin lekin 'irfaan' main ne khud ko baanT diyaa khairaaton mein"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"yaas-o-hasrat ki zarb kaari hai har tabassum mein be-qaraari hai vaqt se koi bach nahin saktaa vaqt sab se baDaa shikaari hai ik mohabbat pe zo'm thaa ham ko in dinon ye bhi kaarobaari hai zabt kam hai na kam gham-e-dauraan baar ke saath burdbaari hai 'ishq apnaa mizaaj rakhtaa hai be-khudi hai na hoshiyaari hai lene vaalaa yahaan tavangar hai dene vaalaa yahaan bhikaari hai dhuul uDne lagi hai aankhon mein shaayad ab aansuon ki baari hai tang-dasti mein aap ki yaadein qaht mein jaise buund baari hai kis ne toDaa hai dil tiraa 'irfaan' kyon tabi'at mein inkisaari hai"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"khuun mein Duubi hui laashon ki taraf kyaa dekhun sang-baari ke Thikaanon ki taraf kyaa dekhun tere kirdaar pe markuz hain meri nazrein main tire ghar ke khazaanon ki taraf kyaa dekhun khinch laai hai zarurat sar-e-baazaar mujhe jeb khaali hai dukaanon ki taraf kyaa dekhun shahr-e-gunjaan mein aabaad nahin dil koi iinT patthar ke makaanon ki taraf kyaa dekhun ghibatein karne se behtar hai ki khaamosh rahun kisi divaar ke kaanon ki taraf kyaa dekhun buund ban ban ke sar-e-raah bikhar jaaeingi abr ki unchi chaTaanon ki taraf kyaa dekhun ab to har phuul se baarud ki bu aati hai shaakh ke tiir kamaanon ki taraf kyaa dekhun be-zamin hone kaa ehsaas dilaataa hai lahu be-zamin huun to kisaanon ki taraf kyaa dekhun lan-taraani ke sivaa kuchh na milegaa 'irfaan' gaanv ke unche gharaanon ki taraf kyaa dekhun"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"main ne tiri basti ke ye dekhe hain nazaare mahuve ke darakhton se Tapakte hain sitaare rahne de isi tarh falak ke ye nazaare daaman pe chhiTak yuun ki bikhar jaaein sitaare maujon ki ravaani mein tujhe dekh rahaa huun baiThaa huun baDi der se dariyaa ke kinaare baDh jaaegi do chaar baras aur miri 'umr do chaar ghaDi tu jo mire saath guzaare tum kaise sapere ho na mantar hai na tiryaaq jholi mein liye phirte ho saanpon ke piTaare ham toD chuke hain jise be-kaar samajh kar divaar khaDi thi unhin inTon ke sahaare itnaa to bataanaa ki namaazi bhi koi hai unche hain tire gaanv ki masjid ke manaare allaah bhi razzaaq hai banda bhi sakhi hai mar jaate hain 'irfaan' bahut bhuuk ke maare"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"chalte chalte saathi koi bichhDaa to afsos huaa haathon se jab haath kisi kaa chhuTaa to afsos huaa kitni naav Dubo kar ham ne dariyaa kaa rukh badlaa thaa moD pe aa kar suukh gayaa jab dariyaa to afsos huaa dil kaa karb chhupaane kaa fan mushkil hai aasaan nahin hanste hanste us ko rotaa dekhaa to afsos huaa ye mat puchho un se kyaa kyaa ummidein vaabasta thiin patthar se Takraa ke shisha TuuTaa to afsos huaa duniyaa ki be-raah-ravi par pahron sochaa kartaa thaa aaj zaraa apne baare mein sochaa to afsos huaa duniyaa ki mauhum fazaa mein kyaa kyaa kuchh ham bhuul gae bhule se 'irfaan' koi yaad aayaa to afsos huaa"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"zindagi mein rang bhar ke mar gae jin ko jiinaa thaa vo pahle mar gae marne vaalaa hanste hanste mar gayaa jiine vaale rote rote mar gae aasmaan se gir ke paai zindagi aap ki nazron se gir ke mar gae sab ko marnaa hai bahar-surat magar puchhte hain log kaise mar gae zindagi sab se baDaa in'aam hai kahne vaale zahr khaa ke mar gae mar gae bistar pe jo zinda rahe ji gae jo chalte-phirte mar gae itne buzdil ho gae sab mere baa'd suur ki aavaaz sun ke mar gae kyaa karun ab ek hisse par ghurur zindagi ke tiin hisse mar gae maut ne 'irfaan' hamein maaraa nahin zindagi se laDte laDte mar gae"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"subh aai bhi to kuhron mein izaafa ho gayaa niind kyaa TuuTi ki khvaabon mein izaafa ho gayaa be-zamiri ke izaafon mein izaafa ho gayaa yaa'ni chalti-phirti laashon mein izaafa ho gayaa ho chukaa hai jaise dar-parda qayaamat kaa nuzul zindagaani ke 'azaabon mein izaafa ho gayaa ghar se ghabraa kar zamaana aa gayaa maidaan mein ham ne ye samjhaa ki melon mein izaafa ho gayaa kal yahaan amrud kaa ik baagh thaa vo kyaa huaa ab yahaan kyunkar babulon mein izaafa ho gayaa dard se fursat mili to aaine chubhne lage zakhm bhar jaane se daaghon mein izaafa ho gayaa khet ki miTTi vahi hai abr-e-baaraan bhi vahi ki gai mehnat to faslon mein izaafa ho gayaa naachne gaane lage mazdur har dukh bhuul kar ujraton ke chand sikkon mein izaafa ho gayaa kyon na ho baarish mein apni khush-libaasi daagh-daar gaaDiyon ke saath chhinTon mein izaafa ho gayaa peD suunaa ho gayaa kuchh der ki khaatir to kyaa kaT gaiin shaakhein to shaakhon mein izaafa ho gayaa kyaa karun 'irfaan' kaa'be kaa main ab ulTaa tavaaf vajd ki haalat mein pheron mein izaafa ho gayaa"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"afsaana duhraane se kyaa hotaa hai is be-rahm zamaane se kyaa hotaa hai Tisein kitni daaghon mein rah jaati hain zakhmon ke bhar jaane se kyaa hotaa hai ek qalam aur be-paayaan ehsaas-e-darun lafzon ke paimaane se kyaa hotaa hai tahrik-e-simaab-sifat ke pairon mein zanjirein pahnaane se kyaa hotaa hai dariyaa jab chaahe saahil ko le Duube unchaa band banaane se kyaa hotaa hai chhat par rahne vaale shaayad bhuul gae buniyaadein hil jaane se kyaa hotaa hai laghzish kaa anjaam kise maa'lum nahin aaina gir jaane se kyaa hotaa hai khushbu zinda hai to koi baat nahin phulon ke mar jaane se kyaa hotaa hai sachchaai par harf nahin aataa 'irfaan' afvaahein phailaane se kyaa hotaa hai"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"havaa kaa haath pakaD kar yahaan jo chaltaa hai har ek dauD mein aage vahi nikaltaa hai isi liye to zaraa rukh badal ke chaltaa hai ab is zamin pe suraj kaa paanv jaltaa hai zarur koi na koi makaan jaltaa hai julus jab bhi mire shahr mein nikaltaa hai ham apne shahr ke mal'ab mein geind kyaa khelein hamaare shahr ki galiyon mein sar uchhaltaa hai amir-e-shahr ke armaan abhi kahaan nikle abhi gharib ke ghar mein charaagh jaltaa hai ye kah ke jhuggiyaan toDin mahal-nashinon ne ye vo jagah hai jahaan inqalaab paltaa hai sukun luuT liyaa shahr ke ujaalon ne andheri raat mein chhat par koi Tahaltaa hai vahaan khudaa ki khudaai pe shak ma'aaz-allaah hazaar chashma-e-zamzam jahaan ubaltaa hai ab is sukhan mein kisi ko bhi ikhtilaaf nahin jo dusron ko jalaataa hai vo bhi jaltaa hai vo mere saath chale bhi to is tarah 'irfaan' ki jaise koi janaaze ke saath chaltaa hai"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"taDap jaataa hai dil jab duriyon ki baat hoti hai idhar suraj nikaltaa hai udhar jab raat hoti hai kabhi ik baat hoti hai hazaaron baat ke pichhe kabhi ik baat ke andar hazaaron baat hoti hai maqaam-e-'adl se guzre dayaar-e-sidq bhi dekhaa har ik 'aalam mein duniyaa ahl-e-zar ke saath hoti hai yahaan zaalim nahin koi to baarish kyon nahin hoti idhar barsaat hoti hai udhar barsaat hoti hai mukammal taur par ham saamne aane se Darte hain hamaari asl haalat to pas-e-haalaat hoti hai haq-o-baatil azal se barsar-e-paikaar hain lekin na is ki jiit hoti hai na us ki maat hoti hai bagulon ki jagah ugti hain khud-rau jhaaDiyaan aksar ‘arab ke reg-zaaron mein bhi ab barsaat hoti hai mire har kaam kaa maqsad hai 'irfaan' us ki khushnudi miri har fikr kaa mehvar usi ki zaat hoti hai"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"malaal sar pe qayaamat uThaane lagtaa hai vo uTh ke jab mire pahlu se jaane lagtaa hai vo dard hai ki mudaavaa nahin koi jis kaa vo vaqt hai ki khudaa yaad aane lagtaa hai gudaaz dil hai tabi'at hai shabnami us ki zaraa si baat par aansu bahaane lagtaa hai vahi ghaDi hai use dekhne ke laaiq jab hatheliyon mein vo chehra chhupaane lagtaa hai isi liye to koi us kaa ham-jalis nahin har ek shakhs ko vo aazmaane lagtaa hai isi liye to andheraa hai us ki duniyaa mein charaagh tez havaa mein jalaane lagtaa hai kahin khulus na paayaa isi liye shaayad mire khulus ki qimat lagaane lagtaa hai vahaan pahunch ke qadam aur jam gae mere jahaan pahunch ke qadam Dagmagaane lagtaa hai vafaa khulus ki taa'lim kaun de 'irfaan' zaraa si 'umr mein bachcha kamaane lagtaa hai"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"saahil pe koi Duub ke ubhraa na dubaaraa dariyaa se balaa-khez hai girdaab-e-kinaaraa har shakhs ko ab chaahiye daulat kaa sahaaraa ham hain ki jo karte hain mohabbat pe guzaaraa taDpaa ke tumhin ne mujhe bedaar kiyaa hai Thukraa ke tumhin ne mujhe chaahat pe ubhaaraa muhtaat nigaahon se har ik phuul ko dekhun Dartaa huun ki chubh jaae na aankhon mein nazaaraa dastur-e-zabaan-bandi kaa 'aalam bhi 'ajab hai kahni ho koi baat to karte hain ishaaraa ghar koi salaamat hai na sar koi salaamat ai dost yahi shahr-e-mohabbat hai tumhaaraa ik roz to ye tum ko bataanaa hi paDegaa kis jurm ki paadaash mein 'irfaan' ko maaraa"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"ik na ik shaakh tamanna ki hari rahti hai phuul mil jaae to kaanTon ki kami rahti hai dast-e-qaabu se bahut duur nikal jaati hai dil mein jo hasrat-e-naakaam dabi rahti hai aisaa lagtaa hai ki duniyaa ne sataayaa hai bahut har dam us shakhs ke honTon pe hansi rahti hai ‘adl-o-insaaf shahanshaah ke aivaan mein kahaan dekhne ke liye zanjir lagi rahti hai teri yaadon ke sivaa kaun yahaan aataa hai kis ki khushbu mire kamre mein basi rahti hai 'ishq har aan havaadis mein ghiraa rahtaa hai husn vaalon ko mohabbat ki paDi rahti hai guzar-auqaat ki kyaa puchh rahe ho 'irfaan' din guzarte hain magar raat khaDi rahti hai"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"sahaab huun tapish-e-aaftaab kaise duun karam se baDh ke sitam kaa javaab kaise duun rumuz-e-hijr mataa'-e-hijaab kaise duun tumhaare haath mein dil ki kitaab kaise duun hisaab mujh se na maango miri vafaaon kaa main tum ko saare jahaan kaa hisaab kaise duun jihaad ho to jamaal-e-vafaa pe miT jaaun saraab-e-husn ko apnaa shabaab kaise duun hudud-e-zaat se aage khayaal hai meraa kisi ko jaan-e-ghazal kaa khitaab kaise duun dilon ki baat to sab se kahi nahin jaati farishte aae hain lene hisaab kaise duun miri hayaat kaa gulshan hai khaar khaar 'irfaan' main apni shaakh-e-qalam ko gulaab kaise duun"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"aqdaar-e-kuhan haath se jaane nahin detaa ghar us ke chale jaao to aane nahin detaa miltaa hai magar haath milaane nahin detaa divaar takalluf ki giraane nahin detaa maa'lum nahin mujh se vo khush hai ki khafaa hai chehre pe koi rang hi aane nahin detaa tauhin-e-‘adaalat ki sazaa us ko mili hai jo 'adl ko suuli pe chaDhaane nahin detaa taariq ki qayaadat ke talabgaar to sab hain kashti hi koi aaj jalaane nahin detaa aasaan to yahi hai ki uTho shahr jalaao jangal mein koi aag lagaane nahin detaa us shakhs se phal ki koi ummid rakhe kyaa jo peD ke patte bhi uThaane nahin detaa 'irfaan' mire shahr ki galiyaan hain bahut tang divaar koi apni giraane nahin detaa"
Irfan AazmiIrfan Aazmi
Quote
"tang-nazri mein har ik daanaa ki daanaai gai haadson ke shahr mein aankhon ki binaai gai phuul ki khushbu gai shaakhon ki angDaai gai baaghbaan aise mile gulshan ki raa'naai gai sim-o-zar ki kokh mein palte rahe fitne fasaad muflisi har daur mein suuli pe laTkaai gai chhoTi chhoTi baat pe hone lagin khun-reziyaan hilm banda-parvari shaan-e-shakebaai gai meri sachchaai pe 'aadil ko na aaegaa yaqin is 'adaalat mein bahut jhuTi qasam khaai gai jab nazar badli to dil bhi ho gayaa kotaah-bin dard ki vus'at gai zakhmon ki gahraai gai jaag uThe insaan kaa soyaa huaa shaayad zamir subh-e-nau is aarzu mein baar baar aai gai qaum-o-millat ke liye 'irfaan' kyaa karte jihaad zar zamin ke vaaste saari tavaanaai gai"
Irfan AazmiIrfan Aazmi