SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byIrfan Jafari(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jab se tire mizaaj mein chaahat nahin rahi ham ko bhi tere dar ki zarurat nahin rahi pathraav jism-o-jaan pe had se guzar gayaa phir yuun huaa ki dard mein shiddat nahin rahi din ki thakaan raat ko bistar pe le gai tum ko bhi yaad karne ki fursat nahin rahi tanhaa si ho gai hain ye kamron mein sardiyaan yaadon ke is alaav mein hiddat nahin rahi tum ne bhi apne aap ko masruf kar liyaa ham ko bhi intizaar ki aadat nahin rahi achchhaa huaa jo tum se ta'alluq nahin rahaa din-raat sochne ki aziyyat nahin rahi"
I
Irfan Jafari
Quote
"tu judaa huaa jo mujh se mire khvaab jal gae the miri raat bujh gai thi ki diye badal gae the tire lams ki badaulat mire jism-o-jaan the raushan tiri zaat ke ujaale mire dil mein Dhal gae the jahaan zindagi luTi hai jahaan dafn hai tamanna usi sang-dil gali mein yunhi kal nikal gae the tujhe sochne kaa lamha koi phuul jaise mahke tiri yaad jaise ghar mein kai diip jal gae the mujhe yaad hai abhi tak vo tapish tire labon ki unhein jab chhuaa thaa main ne mire haath jal gae the vahi rahguzar thi ghaaeb bhalaa kaise lauT paate tiri justuju mein jaanaan jahaan ham nikal gae the"
I
Irfan Jafari
Quote
"koi mere paas nahin hai aur na kisi kaa haasil main lahrein aa kar sar paTkeingi tanhaa tanhaa saahil main kyaa paayaa hai kyaa baanTaa hai apne apne zarf ki baat tu ne meri hansi uDaai tere dukhon mein shaamil main agle qadam pe andhaa kuaan thaa is kaa mujh ko ilm bhi thaa lekin main ne raah na badli apne aap kaa qaatil main bichhaD gayaa par aas hai mujh ko ik din tujh se milnaa hai teri zaat kaa mehvar thaa main tere safar ki manzil main ujle bistar par tanhaai pyaase honTon par cigarette paDhte paDhte so jaataa huun ibn-e-safi kaa novel main rasta manzil khalvat mahfil mahkein teri yaadon se lamha-lamha tujh ko sochaa tujh se rahaa kab ghaafil main"
I
Irfan Jafari
Quote
"kyaa sabab bataaein ham apni is udaasi kaa raasta nahin miltaa dard ko nikaasi kaa ek tez jhonke mein uD gae sabhi kheme dil bhi kyaa kare shikva apni be-asaasi kaa har taraf khamoshi ki ik dabiz chaadar hai ham ne karb jhelaa hai apni khud-shanaasi kaa zakhm zakhm chehre par qahqahe sajaa Daale raaz bhi chhupaanaa thaa apni bad-havaasi kaa tum gae to kuchh aise lauT kar nahin aae haal bhi nahin puchhaa is nagar ke baasi kaa main ne apne ashkon ko aankh mein jalaa Daalaa kyaa kare gila koi teri naa-sipaasi kaa"
I
Irfan Jafari
Quote
"bahut kaThin hai bikharne kaa hausla rakhnaa sabab tumhin ho magar tum se kyaa gila rakhnaa na jaane kaun se mausam se saabiqa paD jaae hamaare haq mein duaaon kaa silsila rakhnaa khudaa kare ki use apni baat yaad rahe gayaa hai kah ke mujhe apnaa dar khulaa rakhnaa mire baghair ruton ko vo kaise kaaTegaa isi khayaal mein bas khud ko mubtalaa rakhnaa ye zindagi baDi mushkil se raam hoti hai kabhi mile to mohabbat se raabta rakhnaa tiraa suluk ho aisaa to kaise mumkin hai shahad zabaan pe to lahje mein shukriya rakhnaa main be-niyaaz mujhe kyaa gharaz natije se miraa to kaam hai bas apnaa muddaaa rakhnaa jahaan shikast ho aur vaapsi ki khvaahish bhi us ek pal ko mire naam se bachaa rakhnaa"
I
Irfan Jafari
Quote
"main us ki aankh mein aansu na dekh paaungaa vo ek buund bhi royaa to Duub jaaungaa bahaar aae to shaayad vo bhuul jaae mujhe main apne sahn mein paudaa magar lagaaungaa vo jis ko zakhm mire yaad karte rahte hain usi ko DhunD ke phir zindagi mein laaungaa vo meri subh kaa suraj bane bane na bane main us ki shab mein sitaaron saa jagmagaaungaa ab apne aap se ik zid si ho gai hai mujhe main zakhm khaaungaa taDpungaa muskuraaungaa main jis ki zaat se kuchh mo'tabar saa lagtaa huun usi ke haq mein du'aaon ke dar sajaaungaa miraa vujud 'ajab pattharon ki zad par hai agar main sar na jhukaaun to TuuT jaaungaa main jaantaa huun tujhe meri shaam yaad nahin main intizaar ki sham'ein magar jalaaungaa miri giraft mein jugnu bhi aa nahin paate main us ke vaaste taare kahaan se laaungaa"
I
Irfan Jafari
Quote
"siyaah shab mein vo chaand jaisaa sulagte din mein sabaa ho jaise qarib rah kar bhi duur rahnaa muqaddaron kaa likhaa ho jaise ghazab ki garmi thi jal gayaa sab magar ye mahsus ho rahaa hai ki khvaahishon kaa ye zard jangal kahin kahin pe haraa ho jaise hai ab bhi saanson kaa aanaa jaanaa hai ab bhi raushan nigaah meri ye zindagi jo main ji rahaa huun kisi ke dil ki duaa ho jaise badan sanbhaale bhaTak rahaa huun main be-jihat aasmaan ke niche zamin nahin hai kahin bhi shaayad safar khalaa-dar-khalaa ho jaise ye kis ko paane ki justuju thi ki har talab main ne girvi rakh di ab apnaa sab kuchh main haar baiThaa ye zindagi hi juaa ho jaise ajiib hai dil kaa ye diyaa bhi havaa chale maah-o-saal guzre mujhe ye mahsus ho rahaa hai abhi abhi kuchh bujhaa ho jaise"
I
Irfan Jafari