Quote
"raah mein meri agar aae to mar jaaeinge aap kyaa mujhe yuun hi nazar-andaaz kar jaaeinge aap ek pal aasudgi kaa ek lamha ishq kaa mujh se ham-aaghosh hote hi nikhar jaaeinge aap sath par mujh ko chhalakne ki na daavat dijiye ek qatra bhi agar Tapkaa to bhar jaaeinge aap ik adaa maasumiyat aur ek tohmat maasiyat kab talak bachte raheinge ham kidhar jaaeinge aap bad-shuguni ki alaamat pesh-khema maut kaa dekhiye ham jaan de deinge agar jaaeinge aap qabr jaisi naa-pasandida jagah bhi 'irtizaa' dil kabhi hargiz na chaahegaa magar jaaeinge aap"







