SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"yunhi gar har saans mein thoDi kami ho jaaegi khatm rafta rafta ik din zindagi ho jaaegi dekhne vaale faqat tasvir-e-zaahir par na jaa har nafas ke saath duniyaa dusri ho jaaegi gar yahi fasl-e-junun-zaa hai yahi abr-e-bahaar azmat-e-tauba nisaar-e-mai-kashi ho jaaegi marg-e-be-hangaam kahte hain jise aaj ahl-e-dard kal yahi surat badal kar zindagi ho jaaegi zikr hai zindaan mein vo gulzaar par bijli giri aaj mere aashiyaan mein raushni ho jaaegi sajda gaah-e-aam par sajde se kuchh haasil nahin muft aaluda jabin-e-bandagi ho jaaegi khatm hai shab chehra-e-mashriq se uThti hai naqaab dam-zadan mein raushni hi raushni ho jaaegi muttasil hain zof o quvvat ki hadein haan hoshyaar varna is tark-e-khudi mein khud-kushi ho jaaegi zakhm bhi taaza hai aur dil bhi nahin maanus-e-dard rafta rafta yunhi aadat sabr ki ho jaaegi shama saa jab shaam hi se hai gudaaz-e-dil 'ravaan' subh tak kyaa jaane kyaa haalat tiri ho jaaegi"
Jagat Mohan Lal RavanJagat Mohan Lal Ravan
Quote
"gul-e-viraana huun koi nahin hai qadr-daan meraa tu hi dekh ai mire khallaaq husn-e-raaegaan meraa ye kah kar ruuh nikli hai tan-e-aashiq se furqat mein mujhe ujlat hai baDh jaae na aage kaarvaan meraa havaa us ko uDaa le jaae ab yaa phunk de bijli hifaazat kar nahin saktaa miri jab aashiyaan meraa zamin par baar huun aur aasmaan se duur ai maalik nahin maalum kuchh aakhir Thikaanaa hai kahaan meraa mujhe naghme kaa lutf aataa hai raaton ki khamoshi mein dil-e-bashikasta hai ik saaz-e-aahang fughaan meraa vahin se ibtidaa-e-kucha-e-dildaar ki had hai qadam khud chalte chalte aa ke ruk jaae jahaan meraa zaraa duur aur hai ai kashti-e-umr-e-ravaan saahil ki is bahr-e-jahaan mein har nafas hai baadbaan meraa hui jaati hai tanhaai mein lazzat ruuh ki zaaea luTaa jaataa hai viraane mein ganj-e-shaaegaan meraa anaasir hanste hain duniyaa ki vusat muskuraati hai kisi se puchhte hain ahl-e-binash jab nishaan meraa mire baad aur phir koi nazar mujh saa nahin aataa bahut din tak rakkheinge sog ahl-e-khaandaan meraa ghanimat hai nafas do chaar jo baaqi hain ab varna kabhi kaa luT chukaa sarmaaya-e-sod-o-ziyaan meraa abhi tak fasl-e-gul mein ik sadaa-e-dard aati hai vahaan ki khaak se pahle jahaan thaa aashiyaan meraa 'ravaan' sach hai mohabbat kaa asar zaaea nahin hotaa vo ro dete hain ab bhi zikr aataa hai jahaan meraa"
Jagat Mohan Lal RavanJagat Mohan Lal Ravan
Quote
"gharaz rahbar se kyaa mujh ko gila hai jazb-e-kaamil se ki jitnaa baDh rahaa huun haT rahaa huun duur manzil se sukut-e-be-mahal taqrir-e-be-mauqaa ki tohmat kyuun uThaanaa ho to yuun ham ko uThaa do apni mahfil se ye armaan-e-taraqqi aaj hai daavaa khudaai kaa usi dil kaa jo kal tak thaa lahu ki buund mushkil se gul-o-laala pe aakhir kar rahaa hai ghaur kyaa gulchin ye vo khuun hai jo Tapkaa thaa kabhi chashm-e-anaadil se shab-e-mahtaab dariyaa kaa kinaara aur ye sannaaTaa tumhein is saaz par ham khush kareinge naghma-e-dil se ghazab hai jal ke parvaanon kaa un ki bazm mein kahnaa 'ravaan' yaa yuun fidaa ho jaao yaa uTh jaao mahfil se"
Jagat Mohan Lal RavanJagat Mohan Lal Ravan
Quote
"jiine mein thi na nazaa ke ranj o mehan mein thi aashiq ki ek baat jo divaana-pan mein thi saada varaq thaa baahama gul-haa-e-rang-rang tafsir jaan paak bayaaz-e-kafan mein thi baDhtaa thaa aur zauq-e-talab bekasi ke saath kuchh dilkashi ajiib navaah-e-vatan mein thi bimaar jab hain karte hain fariyaad chaaraagar kyaa daastaan-e-dard sukut-e-mahan mein thi kahtaa thaa chashm-e-shauq se vo aaftaab-e-husn halki si ik shuaa thi jo anjuman mein thi kuchh iztiraab-e-ishq kaa aalam na puchhiye bijli taDap rahi thi ki jaan is badan mein thi kis se kahun ki thi vahi gul-haa-e-rang-rang bikhri hui jo khaak savaad-e-chaman mein thi"
Jagat Mohan Lal RavanJagat Mohan Lal Ravan
Quote
"sab ko gumaan bhi ki main aagaah-e-raaz thaa kis darja kaamyaab fareb-e-majaaz thaa misl-e-mah-e-do-hafta vahi sarfaraaz thaa jis ki jabin-e-shauq pe daagh-e-niyaaz thaa puchho na haal-e-kashmakash-e-yaas-o-aarzu vo bhi ajiib marhala-e-jaan-gudaaz thaa jab tak haqiqaton se miraa dil thaa be-khabar bechaara mubtalaa-e-gham-e-imtiyaaz thaa jhonkaa havaa-e-sarv kaa rindon ke vaaste khum-khaana-e-bahaar se hukm-e-javaaz thaa ahl-e-jahaan ke kufr o tavahhum kaa kyaa ilaaj aaina kah rahaa hai ki aaina-saaz thaa muzmir the meri zaat mein asraar-e-kaaenaat main aap raaz aap hi khud sharah-e-raaz thaa aaein pasand kyaa use duniyaa ki raahatein jo lazzat-aashnaa-e-sitam-haa-e-naaz thaa khilqat samajh rahi thi jise iztiraab-e-dil pinhaan usi mein hasti-e-aashiq kaa raaz thaa achchhaa huaa hamesha ko chup ho gayaa 'ravaan' ik ik nafas gharib kaa hasti-gudaaz thaa"
Jagat Mohan Lal RavanJagat Mohan Lal Ravan
Quote
"anjaam ye huaa hai dil-e-be-qaraar kaa thamtaa nahin hai paanv hamaare ghubaar kaa pahle kiyaa khayaal na gul kaa na khaar kaa ab dukh rahaa hai paanv nasim-e-bahaar kaa paiham diye vo ranj ki insaan banaa diyaa minnat-pazir huun sitam-e-rozgaar kaa us ko khizaan ke aane kaa kyaa ranj kyaa qalaq rote kaTaa ho jis ko zamaana bahaar kaa makhfi hai is mein raaz-e-baqaa-e-hayaat-e-ishq kyaa puchhte ho haal dil-e-be-qaraar kaa majburiyaan sitam hain vagarna khudaa ki shaan main aur yuun guzaar duun mausam bahaar kaa ghaafil nigah-e-hosh se rang-e-chaman ko dekh parvurda-e-khizaan hai zamaana bahaar kaa niklaa hai dam 'ravaan' kaa tamannaa ke saath saath allaah-re zor naala-e-be-ikhteyaar kaa"
Jagat Mohan Lal RavanJagat Mohan Lal Ravan
Quote
"nikal jaae yunhi furqat mein dam kyaa na hogaa aap kaa mujh par karam kyaa hanse bhi roe bhi lekin na samjhe khushi kyaa chiiz hai duniyaa mein gham kyaa mubaarak zaalimon ko zulm ham par jo apnaa hi kiyaa hai us kaa gham kyaa miTaa jab imtiyaaz-e-kufr o imaan makaan-e-kaaba kyaa baitus-sanam kyaa nahin jab quvvat-e-ehsaas dil mein gham-e-duniyaa surur-e-jaam-e-jam kyaa guzar hi jaaeinge ghurbat ke din bhi karein do din ko ab akhlaaq kam kyaa miri bigDi hui taqdir bhi hai tumhaare turra-e-gesu kaa kham kyaa miri taqdir mein likkhaa hai tu ne bataa ai maalik-e-lauh o qalam kyaa bhulaa degi hamein do din mein duniyaa hamaari shaairi kyaa aur ham kyaa har ik mushkil ko hal karti hai jab maut karun aage kisi ke sar ko kham kyaa 'ravaan' ke dard kaa aalam na puchho koi yuun hogaa mast-e-jaam-e-jam kyaa"
Jagat Mohan Lal RavanJagat Mohan Lal Ravan
Quote
"'ravaan' kis ko khabar unvaan-e-aaghaaz-e-jahaaan kyaa thaa zamin kaa kyaa thaa naqsha aur rang-e-aasmaan kyaa thaa yahi hasti isi hasti ke kuchh TuuTe hue rishte vagarna aisaa parda mere un ke darmiyaan kyaa thaa tiraa bakhshaa huaa dil aur dil ki ye havas-kaari miraa is mein qusur ai dast-gir-e-aasiyaan kyaa thaa agar kuchh roz zinda rah ke mar jaanaa muqaddar hai to is duniyaa mein aakhir baais-e-takhliq-e-jaan kyaa thaa ham itne faasle par aa gae hain ahd-e-maazi se khabar ye bhi nahin ajdaad kaa naam-o-nishaan kyaa thaa kisi barq-e-tajalli par zaraa saa ghaur kar lenaa agar ye jaannaa ho aalam-e-ruh-e-'ravaan kyaa thaa"
Jagat Mohan Lal RavanJagat Mohan Lal Ravan
Quote
"taqdir jab muaavin-e-tadbir ho gai miTTi pe ki nigaah to iksir ho gai dil jaan nisaar-e-mai hai zabaan taaib-e-sharaab is kashmakash mein ruuh ki taazir ho gai chhinTein jo khuun ki daaman-e-qaatil mein rah gaiin mahshar mein mere qalb ki tafsir ho gai yaa qatl kijiye mujhe yaa bakhsh dijiye ab ho gai huzur jo taqsir ho gai shabnam oDhi gulon se miraa naqsha khinch gayaa murjhaa gai kali miri tasvir ho gai zindaaniyaan-e-kaakul-e-hasti kidhar ko jaaein ik zulf sab ke paanv ki zanjir ho gai main kah chalaa thaa daavar-e-mahshar se haal-e-dil ik surmagin nigaah gulu-gir ho gai bas tham gayaa safir-e-amal kah ke yaa nasib jis jaa pe khatm manzil-e-tadbir ho gai toDaa hai dam abhi abhi bimaar-e-hijr ne aae magar huzur ko taakhir ho gai jab apne aap par hamein qaabu milaa 'ravaan' aasaan raaz-e-dahr ki tafsir ho gai"
Jagat Mohan Lal RavanJagat Mohan Lal Ravan