SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJauhar Balliawi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"har bulandi se guzar jaanaa thaa kaam mushkil sahi kar jaanaa thaa mauj-dar-mauj sanvarne ke liye gham ke dariyaa mein utar jaanaa thaa kab talak kashmakash-e-maut-o-hayaat yaa to jiinaa thaa yaa mar jaanaa thaa ishq paaband-e-gulistaan kyon ho bu-e-gul ban ke bikhar jaanaa thaa kaun se moD pe aa pahunchaa huun bhuul baiThaa huun kidhar jaanaa thaa paanv be-jaan the aankhein be-nur duur manzil thi magar jaanaa thaa vo bhi nazron se giraa hai 'jauhar' jis ko mearaaj-e-nazar jaanaa thaa"
J
Jauhar Balliawi
Quote
"saamne koi bhi manzar na samaan hotaa hai dil sulagtaa hai to aankhon mein dhuaan hotaa hai jaane kis shahr ki dharti pe qadam hai apnaa apne hone pe na hone kaa gumaan hotaa hai zindagi shahd se shirin hai to zahraab bhi hai is kaa ehsaas magar sab ko kahaan hotaa hai kabhi khurshid pe hotaa hai gumaan zarre kaa koi zarra kabhi khurshid-nishaan hotaa hai jaada-e-fahm-o-faraasat mein bhi milte hain saraab har yaqin manzil-e-sad-vahm-o-gumaan hotaa hai pattharon se hai shikaayat na to raahon se gila Thokarein khaa ke miraa azm javaan hotaa hai dil kuchh is taur hai maanus gham-e-hasti se aish kaa is pe tasavvur bhi giraan hotaa hai meraa maazi hai sulagte hue sahraa ki tarah sail-e-ashk aankhon se yuun hi na ravaan hotaa hai choT jab paDti hai fankaar ke dil par 'jauhar' dard surat-gar-e-izhaar-e-bayaan hotaa hai"
J
Jauhar Balliawi
Quote
"ham ki lamhaat ke tevar pe nazar rakhte hain dekh har haal mein jiine kaa hunar rakhte hain ghair ki raah pe chalnaa nahin fitrat apni ham zamaane se judaa apni Dagar rakhte hain jo kaTe haq ke liye raunaq-e-maqtal Thahre ham sajaae hue shaanon pe vo sar rakhte hain be-nishaani to muqaddar hai azal se apnaa apni pahchaan kaa ik naqsh magar rakhte hain ham vahi khaak-nashin hain ki zamin par rah kar charkh ke chaand sitaaron pe guzar rakhte hain ham ko aasaaish-e-manzil na sadaa denaa kabhi vo musaafir hain ki pairon mein safar rakhte hain vaadiyaan surat-e-gulzaar mahak uThti hain khaar-zaaron mein bhi ham paanv agar rakhte hain haamil-e-soz ho 'jauhar' na ghazal kyon apni ham chhupaae hue siine mein sharar rakhte hain"
J
Jauhar Balliawi
Quote
"vo miraa aks hai saaya hai ki paikar kyaa hai main nahin huun to mire qad ke baraabar kyaa hai har-nafas zehn mein uThtaa huaa mahshar kyaa hai mauj-dar-mauj mire jism ke andar kyaa hai band aankhon se bhi dekho kabhi aaine ko khud samajh loge ki ehsaas kaa patthar kyaa hai dard ke ek hi jhonke ne uThaayaa tufaan kis ko maalum ki yaadon kaa samundar kyaa hai qaid kar rakkhaa hai lamhaat ki divaaron ne un se niklun to zaraa dekhun ki baahar kyaa hai jis ko dekho vahi patthar hai liye haathon mein dekhnaa ye hai ki shishe kaa muqaddar kyaa hai ik sanam roz taraashaa aur use toD diyaa zehn-e-insaan hai 'braahim' ki 'aazar' kyaa hai jhiil mein hanstaa huaa nanhaa saa maasum kanval kitnaa manzar hai suhaanaa pas-e-manzar kyaa hai apni hi aag mein har lamha sulagte rahnaa aur fankaar ki taqdir mein 'jauhar' kyaa hai"
J
Jauhar Balliawi
Quote
"dasht-e-hayaat surat-e-sahraa dikhaai de milon koi shajar hi na saaya dikhaai de kyon shisha-e-khayaal na dhundlaa dikhaai de jab aks TuTtaa huaa taara dikhaai de mahrumiyon ki dhund hai nazron ke saamne kaise nigaar-e-vaqt kaa chehra dikhaai de hadd-e-nazar hai sirf saraabon kaa silsila har lab pe ek pyaas kaa sahraa dikhaai de uupar se yuun to khud ko sameTe hue hain log andar se har vajud bikhartaa dikhaai de har peD par itaab hai kin mausamon kaa aaj shaakhon pe koi phuul na pattaa dikhaai de 'jauhar' talaash-e-zaat se irfaan-e-zaat tak apni anaa kaa aks har ik jaa dikhaai de"
J
Jauhar Balliawi
Quote
"manzaron ki bhiiD thi koi pas-e-manzar na thaa kaarvaan-e-vaqt pahle aisaa be-mehvar na thaa ik sadaa-e-be-sadaa ki guunj thi chaaron taraf sirf saae reingte the koi bhi paikar na thaa kaun de ilzaam kis par raushni ke qatl kaa baDhne vaali zulmaton ke haath mein khanjar na thaa thi havaaon ki vo saazish yaa taqaazaa vaqt kaa barhana the peD saare koi barg-e-tar na thaa apni fitrat hi azal se surat-e-simaab thi main ravaan thaa misl-e-dariyaa ghaaT kaa patthar na thaa baarish-e-sang-e-malaamat yuun to har jaanib se thi sar-buland apni anaa thi mujh ko fikr-e-sar na thaa tai huaa kuchh is tarah sahraa-e-hasti kaa safar jaise apne sar pe 'jauhar' gumbad-e-be-dar na thaa"
J
Jauhar Balliawi
Quote
"kabhi khizaan kabhi kaifiyyat-e-bahaar to hai ye dhuup chhaanv kaa mausam bhi khush-gavaar to hai havaa chaman ki na raas aa saki to is se kyaa hamaare khuun se khaak us ki laala-zaar to hai ye aur baat ki fitrat ko said kar na sake sabil chunne kaa insaan ko ikhtiyaar to hai hamaare gham kaa mudaavaa mile mile na mile hamaari jehd se haasil hamein qaraar to hai sahaab-e-dard kaa saaya ghanaa hai aaj bahut chaDhegi dhuup magar kal ye eatibaar to hai ye baat tai hai ki dil kaa jumud TuTegaa fazaa-e-zehn pe chhaayaa huaa ghubaar to hai nigaah-e-naqd ki taskin ke vaaste 'jauhar' mire kalaam mein talkhi-e-khush-gavaar to hai"
J
Jauhar Balliawi