Quote
"koi Thokar is ne jab khaai na thi zindagi ye raah par aai na thi aap ki baatein thiin baatein hi faqat aap ki baaton mein gahraai na thi har qadam par ranj-o-gham the muntazir kis jagah meri paziraai na thi zindagi thi ik sukut-e-mustaqil mushkilon se jab shanaasaai na thi aap ki yaadein thiin dil ke aas paas zindagi mein koi tanhaai na thi ek bhi puuri na ho paai 'karan' kaun si us ne qasam khaai na thi"
K
Karan Singh Karan






