SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKausar Niyazi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"khayaal-e-tark-e-ulfat ham-nashino aa hi jaataa hai vafur-e-be-dili mein aadmi ghabraa hi jaataa hai tabaahi ki ghaDi shaayad zamaane par nahin aai abhi apne kiye par aadmi sharmaa hi jaataa hai nigaah-e-dost ke aage sipar laanaa hai laa-haasil ye tir-e-nim-kash qalb o jigar barmaa hi jaataa hai nazar aataa nahin jis ko hujum-e-shauq mein kuchh bhi fareb-e-rahnumaa aksar vo rah-rau khaa hi jaataa hai nahin narmak-khiraami kaarvaan ki be-sabab 'kausar' khamoshi se jo uThtaa hai vo baadal chhaa hi jaataa hai"
Kausar NiyaziKausar Niyazi
Quote
"jab ziist ke mushkil lamhon mein apne bhi kinaaraa karte us vaqt bhi ham ai ahl-e-jahaan hans hans ke guzaaraa karte hain sayyaad ne tere asiron ko aakhir ye kah kar chhoD diyaa ye log qafas mein rah kar bhi gulshan kaa nazaaraa karte hain jazbaat mein aa kar marnaa to mushkil si koi mushkil hi nahin ai jaan-e-jahaan ham tere liye jiinaa bhi gavaaraa karte hain manjdhaar mein naav Duub gai to maujon se aavaaz aai dariyaa-e-mohabbat se 'kausar' yuun paar utaaraa karte hain"
Kausar NiyaziKausar Niyazi
Quote
"zamin ki god mein baiThaa humak rahaa huun main falak pe chaand ki jaanib lapak rahaa huun main nahin hai apni zamin ki koi khabar lekin khalaa mein duur kisi shai ko tak rahaa huun main nahaa gayaa huun khud apne lahu mein sar-taa-paa junun ki aag mein lekin dahak rahaa huun main agarche zulmat-e-shab mein kami nahin aai misaal-e-maah-e-darakhshaan chamak rahaa huun main har ek samt badalti ruton kaa maatam hai shagufta ghunche ki surat chaTak rahaa huun main parakhne vaale mujhe dekh is tarah bhi zaraa agar hai khoT to kaise chamak rahaa huun main giri hi jaati hai divaar-e-girya har lahza kisi ki aankh se shaayad Dhalak rahaa huun main tamaam shahr ne didaar kar liyaa 'kausar' ab apni laash ke chehre ko Dhak rahaa huun main"
Kausar NiyaziKausar Niyazi
Quote
"ham dil ki tabaahi kaa ye saamaan na kareinge is ghar mein kisi aur ko mehmaan na kareinge ghabraa ke kabhi chaak girebaan na kareinge badnaam tujhe fasl-e-bahaaraan na kareinge mishal ko charaagh-e-tah-e-daamaan na kareinge jo daagh hain siine mein vo pinhaan na kareinge Takraaeinge tere liye har mauj-e-balaa se saahil pe khaDe shikva-e-tufaan na kareinge ai vo ki tiri yaad hai taskin-e-dil-o-jaan haalaat hamein kuchh bhi pareshaan na kareinge ye dard ki hai teri mohabbat ki amaanat mar jaaeinge is dard kaa darmaan na kareinge ai dost mohabbat ki nazaakat hai nazar mein ham tujh ko kisi taur pashimaan na kareinge dil mein hai tiri chaah to ai jaan-e-tamannaa ham aur kisi chiiz kaa armaan na kareinge"
Kausar NiyaziKausar Niyazi
Quote
"makDi ke jaalon mein kab se qaid hain raushan-daan mire haae kyaa socheinge ghar ko dekh ke kal mehmaan mire ab ke baras to dil ki zamin par aag falak se barsi hai fikr ki gandum ke daanon se khaali hain khaliyaan mire meri zabaan par maslahaton ke pahre hain to phir kyaa hai haq ke alam-bardaar hain ab bhi mazdur o dahqaan mire aaj hisaar-e-daar-o-rasan mein huun par aane vaalaa din shahr ki divaaron par chaspaan dekhegaa farmaan mire shakl-o-shabaahat mein be-shak kuchh farq zaraa saa thaa varna the to masihaa bhi insaan aur qaatil bhi insaan mire bar-sar-e-aam iqraar agar naa-mumkin hai to yunhi sahi kam-az-kam idraak to kar le gun be-shak mat maan mire kal 'kausar' mere aangan mein raqs-e-bahaaraan thaa lekin aaj taraste hain kaaghaz ke phulon ko gul-daan mire"
Kausar NiyaziKausar Niyazi
Quote
"teri zulfein tire rukhsaar tire lab mere jitne pahlu hain tire husn ke vo sab mere us se ab tark-e-mohabbat kaa gila kyaa maani mujh ko taslim ki atvaar the beDhab mere phir vahi chaand sar-e-shahr chaDhe to ai kaash us se raushan hon dar-o-baam bas ik shab mere jin kaa har lamha guzartaa thaa miri qurbat mein duur o nazdik nazar aate nahin ab mere mujh se katraa ke guzar jaate hain derina rafiq raaste dekhte hain sakht kaThin jab mere ab agar khul hi gae ho to chalo yunhi hi sahi varna tum dost to pahle bhi rahe kab mere kyuun mujhe shiddat-e-ehsaas ataa ki itni tujh se insaaf kaa taalib huun main ai rab mere khalq ki sang-zani kaa hai ye 'kausar' ehsaan tah mein jis ke gae sab husn o qubah dab mere"
Kausar NiyaziKausar Niyazi
Quote
"girte hue jab main ne tiraa naam liyaa hai manzil ne vahin baDh ke mujhe thaam liyaa hai mai-khvaar to hai mohtasib-e-shahr ziyaada rindon ne yunhi muft mein ilzaam liyaa hai vo mil na sake yaad to hai un ki salaamat is yaad se bhi ham ne bahut kaam liyaa hai har marhala-e-gham mein mili is se tasalli har moD pe ghabraa ke tiraa naam liyaa hai tujh saa koi rahbar nahin ai duri-e-manzil ehsaan tiraa ham ne bahar-gaam liyaa hai ai shaikh dil-e-saaf yunhi to nahin miltaa ham ne asar-e-ru-e-dil-aaraam liyaa hai sajdon mein vo pahli se halaavat nahin 'kausar' jab se asar-e-gardish-e-ayyaam liyaa hai"
Kausar NiyaziKausar Niyazi