SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKhaavar Jilani(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"behtar ki gunjaaish baaqi rah jaati hai kami kahin poshida koi rah jaati hai man-chaahi tasvir banaane mein mujh se hunar-vari mein kuchh kotaahi rah jaati hai sailaab aa jaane par us basti ki saari pukhta-kaari kachchi rah jaati hai banne vaali baat vahi hoti hai vo jo bante bante yaksar banti rah jaati hai rah jaati hai aate aate aati saaat honi hote hote hoti rah jaati hai vaqt guzar jaataa hai lekin dil ki ranjish dil mein baiThi ki baiThi hi rah jaati hai chalte rah jaate hain roz o shab ke dhande gangaa ulTi sidhi bahti rah jaati hai phaank liye jaane ko khaak masaafat ki raahon par hi chhaani-phaTki rah jaati hai aa jaati hai birhaa aur dulhniyaan chhat par apne giile baal sukhaati rah jaati hai"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani
Quote
"chalte chalte raahon se kaT jaanaa paDtaa hai hote hote manzar se haT jaanaa paDtaa hai dekhnaa paD jaataa hai khud ko kar ke ek tamaashaai apni dhuul uDaa kar khud aT jaanaa paDtaa hai khattaati se duur bhaTakne vaale soch ke daaman ko kore kaaghaz ke haathon phaT jaanaa paDtaa hai saazina jab qadam baDhaataa hai us ki paazebon kaa kaanon ko jhankaar ki aahaT jaanaa paDtaa hai khvaahish mar jaae to us ki chitaa ko aag dikhaane mein dhaDkan dhaDkan dil ke marghaT jaanaa paDtaa hai taab nahin ho jis mein kaanch ko reza reza karne ki us patthar ko TukDon mein baT jaanaa paDtaa hai khud ke mutlaashi ko ek na ik din aakhir-kaar apne bhule-bisre hue ki chaukhaT jaanaa paDtaa hai sachchaai vo jang hai jis mein baaz auqaat sipaahi ko aap muqaabil apne hi DaT jaanaa paDtaa hai ik chingaari aag lagaa jaati hai ban mein aur kabhi ek kiran se zulmat ko chhaT jaanaa paDtaa hai baat riyaa-kaari ke bin ban paati nahin hai 'khaavar' is dozakh mein karvaT karvaT jaanaa paDtaa hai"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani
Quote
"naafe hai kuchh to vo kisi faizaan hi kaa hai varna taalluqaa miraa nuqsaan hi kaa hai kulfat hai sab ki sab ye tavaqqo ke naam ki jo bhi kiyaa dharaa hai ye imkaan hi kaa hai maal-o-manaal dast-gah-e-haadsaat kaa rahte hain gar bahaal to ausaan hi kaa hai manzar vo hai ki jo kabhi shashdar na kar sake hairat ye hai ki dida-e-hairaan hi kaa hai ilzaam khud huun main yahaan hasti ke naam par meraa vajud asl mein bohtaan hi kaa hai tafsil mein to simTaa huaa hi thaa inkisaar ijmaal bhi ye ijz ke unvaan hi kaa hai aakhir ayaan huaa ki maraasim ki zail mein asbaab-e-dil-shikastagi paimaan hi kaa hai jab tak ba-dosh rahtaa hai rahtaa huun gaamzan meraa safar haqiqatan saamaan hi kaa hai utre vo naav-e-shauq se ho Dubnaa jise saahil mizaaj-e-bahr kaa tufaan hi kaa hai aavaargaan ke vaaste kirdaar dasht kaa anjaam-kaar hita-e-zindaan hi kaa hai jaa-e-panaah us ki koi dusri nahin 'khaavar' kahin kaa hai to bayaabaan hi kaa hai"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani
Quote
"mufassal daastaanein mukhtasar kar ke dikhaaeinge tavaalat umr bhar ki jast bhar kar ke dikhaaeinge jo sapne dekh rakkhe hain jahaan-e-dida-e-vaa ne unhein taabir ke zer-e-asar kar ke dikhaaeinge ye vo nam-naakiyaan hain jo havaa deingi alaav ko ye vo aansu hain jo khud ko sharar kar ke dikhaaeinge bharosa rah gayaa kuchh khaak ko ham par agar to ham fanaa ke saamne jivan basar kar ke dikhaaeinge talaffuz par na ho mauquf jab kuchh to maaani ko kisi ke lafz kyaa zer-o-zabar kar ke dikhaaeinge ye baadal kyaa dikhaaeinge havaa ko mushtail ho kar ye patte peD ko kyaa dar-ba-dar kar ke dikhaaeinge ijaaza ho gayaa mojaz-bayaani kaa to ham tere isi tukhm-e-tahayyur ko shajar kar ke dikhaaeinge agar paataal ban jaaegaa us ki tah mein utreinge agar choTi banegaa us ko sar kar ke dikhaaeinge gumaan jo os ke qatron ki surat hain abhi 'khaavar' kisi din vo tumhein khud ko bhanvar kar ke dikhaaeinge"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani
Quote
"qadam qadam kaa 'ilaaqa hai naa-ravaa tak hai fusun-e-jaur-o-jafaa pesha jaa-ba-jaa tak hai gar ek baar kaa honaa alam ghanimat thaa sitam to ye hai ki dar-pesh baar-haa tak hai diye ki lau se nahin vaasta kisi kaa koi agar kisi kaa koi hai to phir havaa tak hai 'amal hai khud pe 'amal-daar taa dam-e-mauquf aur is kaa radd-e-'amal apne iltavaa tak hai sadaa-e-shor-o-shaghab hai idhar samaa'at tak shunid gird o javaanib idhar sadaa tak hai magar ye kaun bataae safar-e-navardon ko ki had dasht-e-junun un ke iktifaa tak hai ai be-qaraari-e-dil mujh ko ye khabar hi na thi ki jo qaraar ki sarhad hai ittiqaa tak hai khudaa se baad mein rakkhe hue hai duniyaa ko vo faasla jo hatheli se ik du'aa tak hai kahin pare ki hai haajat-ravaai se meri miraa savaal zarurat se maavaraa tak hai hai tu hi aankh miri ai jamaal-e-pesh-e-nazar so ye tamaasha miraa ik tiri razaa tak hai nahin hai koi bhi hatmi yahaan had-e-maalum har ek intihaa ik aur intihaa tak hai"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani
Quote
"'ataa ke zor-e-asar se bhi TuuT sakti thi vo shaakh baar-e-samar se bhi TuuT sakti thi main dil mein sach ki numu se thaa khauf khaayaa huaa ki siip taab-e-guhar se bhi TuuT sakti thi usi pe thaa mire har ek tiir kaa takiya kamaan jo khinch ke Dar se bhi TuuT sakti thi paDi thi aah ko hi khud-numaai ki varna khamoshi dida-e-tar se bhi TuuT sakti thi juDe hue the bahut vasvase khayaalon se so niind khvaab ke shar se bhi TuuT sakti thi dilon ki shishagari kaar-gaah-e-hasti mein hunar ke zer o zabar se bhi TuuT sakti thi ye aab vo thaa ki aatish bhaDak na paane ki rivaayat ek sharar se bhi TuuT sakti thi main ek aisaa kinaara thaa jis ki qurbat ko vo lahar apne bhanvar se bhi TuuT sakti thi har ek lashkari itraa rahaa thaa jis pe vo tegh khayaal-haa-e-zarar se bhi TuuT sakti thi zamin na hoti agar is kamaal ki haamil qayaamat aasmaan par se bhi TuuT sakti thi tu khush-nasib thaa varna tiri anaa ki fasil Kamala-e-sirf-e-nazar se bhi TuuT sakti thi"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani
Quote
"raft o aamad banaa rahaa huun main raah-e-maqsad banaa rahaa huun main kaam mein laa ke kuchh khas-o-khaashaak apni masnad banaa rahaa huun main zindagi jurm to nahin lekin ho ke sarzad banaa rahaa huun main yunhi bekaar main paDaa khud ko kaar-aamad banaa rahaa huun main goyaa apni hudud se baDh kar apni sarhad banaa rahaa huun main kar rahaa huun hayaat-e-nau taamir apnaa marqad banaa rahaa huun main de rahaa huun jilaa sharaaron ko khud ko mubad banaa rahaa huun main maah ki aaj phir gahan ban kar taab-e-asvad banaa rahaa huun main munharif ho ke us ki chaahat se khud ko murtad banaa rahaa huun main vo ki ban paa nahin rahaa mujh se jo ki shaayad banaa rahaa huun main ug rahaa huun main aur saath apne sar pe bargad banaa rahaa huun main"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani
Quote
"dukh to dukh the jo idhar bahr-e-amaan aa nikle aap is dil ke kharaabe mein kahaan aa nikle ik zaraa nikle to aavaaz dabaa dein apni kyaa karein chup kaa agar us ki zabaan aa nikle jaane kab qahqahe ronaa paDein ahbaab ke saath jaane atraaf mein kab shahr-e-fughaan aa nikle kuchh to dil-jui chale dhup-numaa khvaahish ki dasht mein tazkira-e-abr-e-ravaan aa nikle mere qadmon se kare junhi masaafat aaghaaz zaad-e-rah mein se usi vaqt ziyaan aa nikle dekhte dekhte suraj kaa lahu shaam hui shab ke aalaam the jitne bhi ba-jaan aa nikle apne sahraa se bandhe pyaas ke maare hue ham muntazir hain ki idhar koi kuaan aa nikle kyaa main phir bhi na karun aag sulagne kaa gumaan jab miri saans ki naali mein dhuaan aa nikle aaine bech ke ab chalte bano 'khaavar' tum is se pahle ki koi sang-e-giraan aa nikle"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani
Quote
"kuchh bachaa le abhi aansu mujhe rone vaale saanehe aur bhi hain ru-numaa hone vaale vaqt ke ghaaT utar kar nahin vaapas lauTe daagh malbus-e-mah-o-mahr ke dhone vaale daaem aabaad rahe daar-e-fanaa ke baasi fikr mein ruh-e-baqaayaab samone vaale thartharaati rahe ab khvaah hama-vaqt zamin so gae khaak-e-abad oDh ke sone vaale jis pe bhi paanv dharaa main ne usi naav mein aae aasaar nazar khud ko Dubone vaale ab liye phirtaa hai kyaa daaman-e-sad-chaak apnaa kyaa hue ab vo tire siine pirone vaale jaa nikaltaa hai achaanak vahin rasta meraa dar pa-e-paa hon jahaan khaar chubhone vaale gard hai haath mein un ke miri kisht-e-zar-khez khaar-o-khas se jo 'alaava nahin bone vaale ye bhi ik turfa tamaasha hai ki hain andhiyaare resha-e-shab mein sitaaron ko pirone vaale kar gae khushk bhari jhiil taassuf ke kanval suukh kar kaanTaa hue raat bhigone vaale de gayaa hai jo hamein ahd-e-maraasim us kaa us khazaane ko nahin ham nahin khone vaale"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani
Quote
"hamesha ki tarah baanhein miri patvaar karne kaa kiyaa hai faisla naav ne dariyaa paar karne kaa vahi hai mashghala sadiyon puraanaa aaj bhi apnaa zamin par bojh hone aasmaan ko baar karne kaa safar kaa marhala to baad mein mahl-e-nazar hogaa abhi to muddaaa hai raasta pur-khaar karne kaa taalluq TuTtaa jaataa hai apne-aap se meraa tavassut ban rahi hai aagahi bezaar karne kaa mujhe rakhti hai mushkil roz-marra ki sahulat mein miraa maamul hai aasaaniyaan dushvaar karne kaa tamaddun ko havaa deti hai aashufta-sari meri mujhe taamir kartaa hai junun mismaar karne kaa kahaan tak aur jaane aazmaati jaaegi mujh par hunar jo jaanti hai shaaeri bekaar karne kaa vo kuchh se kuchh banaa Daalegaa taslimat ke maani saliqa aa gayaa us ko agar inkaar karne kaa na jaane soch kar suraj ne kyaa shab ki qalam-rau par iraada multavi hi kar diyaa yalghaar karne kaa"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani
Quote
"hangaam-e-havas-kaar mohabbat ke liye hai hai jo bhi kashaakash vo nadaamat ke liye hai jiinaa to alag baat hai marnaa bhi yahaan par har shakhs ki apni hi zarurat ke liye hai milne tujhe aayaa huun na milne ke liye hi aamad ye miri asl mein rukhsat ke liye hai aakhir ko yahi kaar-gari-e-barf pighal kar maujon ke tavassul se haraarat ke liye hai main haath na aane kaa huun tere ai zamaane yaani miraa honaa tiri hasrat ke liye hai main niind kaa dar khole hue huun tiri khaatir har khvaab miraa teri sahulat ke liye hai vo hai ki nazar aataa nahin aur kisi ko vo hai ki faqat meri basaarat ke liye hai qudarat hi ko manzur hai kuchh aur vagarna har lamha-e-aainda qayaamat ke liye hai imkaan ne jo shahr basaayaa hai vahaan par har chashm-e-tamaashaa nai hairat ke liye hai"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani
Quote
"ruuh ke daaman se apni duniyaa-daari baandh kar chal rahe hain dam-ba-dam aankhon pe paTTi baandh kar ye kahaani ek aise sar-phire mausam ki hai khushk patton se jo le aayaa thaa aandhi baandh kar haq agar koi numu kaa thaa to vo us ne adaa kar diyaa hai baadalon se aabyaari baandh kar subh hoti hai to kunj-e-khush-gumaani mein kahin pheink di jaati hai shab bhar ki siyaahi baandh kar ai mire dariyaa agar koi bharosa ho tiraa chhoD jaaun main tiri lahron se kashti baandh kar gaam uThte hi safar ne paaT di saari khalij rah-ravi ne Daal di ik samt duuri baandh kar main saraasar ek andesha huun naqs-e-amn kaa mujh ko rakhtaa hai lihaazaa meraa qaidi baandh kar ijz-goi par paDaav Daal deti hai miri lafz-yaabi maanaviyat se hai titli baandh kar khil rahe hain sar-zamin-e-dil pe jazbon ke gulaab uD rahi hai aaj khushbu khud se titli baandh kar jaane siine mein bikaau shai hai kyaa jis ke liye dauDti phirti hain saansein rez-gaari baandh kar vaa hue hote dariche aaj imkaanaat ke gar na rakh deti hamein apni masaai baandh kar"
Khaavar JilaniKhaavar Jilani