Quote
"dard-e-dil ne nai kasak paai aap ki yaad jab kabhi aai kaun jaane jo dil pe guzri hai kis ne naapi hai gham ki gahraai ab junun kaa khudaa hi haafiz hai vahshat-e-dil ne li hai angDaai aashiyaane ki khair ho yaa-rab phir ghaTaaon mein barq lahraai ashk phir aaj ho gae arzaan chhaT gayaa daaman-e-shakebaai karte rahte hain jo ghalat tanqid vo samajhte hain us ko daanaai 'raahi' paa kar suraagh manzil kaa azm mein aa gai tavaanaai"







