SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"haalaat ki chikhon pe kabhi kaan dhareinge har khauf mein sahmi hui aavaaz suneinge ye laazim-o-malzum nahin hosh mein aauun kab khamr thi aankhein hain kai roz lageinge aflaak se lauTi hai duaa aa ke zaraa dekh har harf ke chehre pe tujhe sog dikheinge naa amn ki khvaahish ko kabhi khauf samajhnaa maidaan mein hamein dekh tire hosh uDeinge baanTaa hai mujhe hijr ne TukDon mein ki meri aankhein hain kahin par to kahin khvaab mileinge pahlu se uThe dard ne aankhon mein jagah li afsos tujhe niind yahaan kaun si jaa dein do-chaar qadam aankh ko aankhon se milaa kar ab khvaab haqiqat ki asiri kaa kaheinge ai ishq tire dar pe mili mar ke bulandi shah-e-rag pe tujhe zinda-o-jaaved likheinge ye jang ajab jang hai laDnaa na kabhi bhi is ishq ke maidaan mein jiyeinge na mareinge tum dil mein chhupaao na kaho aag lagegi ashaar ke daaman mein kahaan dard chhupeinge ham zabt 'khalil' oDh ke zakhmon pe kai baar har aah ke siine pe qadam rakh ke hanseinge"
Khaleel Husain BaloochKhaleel Husain Balooch
Quote
"raah-e-taarik mein karte hain ujaale le jaa Thahr detaa huun tujhe pair ke chhaale le jaa aamad-e-vasl pe bandish hai anokhi koi hijr sarkaar ke phunke hue taale le jaa mere ashaar gham-e-jaan kaa samar hain aakhir main ne hain dard bahut naaz se paale le jaa fatvaa-e-fisq lagaa shauq se lekin mujh se apne do-chaar gunaahon ke havaale le jaa main kabhi dard ko aaungaa dilaasa dene tu abhi hijr ko siine se lagaa le le jaa tere vaadon pe baDi gard jami hai aa kar apni qasmon ke laTakte hue jaale le jaa mere us taaq mein rakhaa hai uThaa le le jaa ke jaa tu ab ishq ko maathe pe sajaa le le jaa jaa-ba-jaa bhuuk ne Dere hain jamaae hamdam apne daaman mein tu roTi ke nivaale le jaa tum kisi khvaab ko aae ho sahaaraa dene chashm-e-bimaar ne pheinke hain uThaa le le jaa meri ab jaan ke dar pe hai tiraa hijr 'khalil' is se pahle ki mujhe maar hi Daale le jaa"
Khaleel Husain BaloochKhaleel Husain Balooch
Quote
"dil-e-gustaakh ko laazim hai jalaayaa hotaa ishq maasum thaa jhagDe mein na laayaa hotaa teri taazim mein uTThi hain jo aahein fauran ik nazar dekh ke un ko to biThaayaa hotaa log jo ishq pe ghar-baar luTaa kar aae vaaris-e-sher-o-sukhan un ko banaayaa hotaa mere vijdaan mein rahte hain kisi yaad ke dukh khvaab kuchh bhej ke yaadon ko sulaayaa hotaa mujh ko mahrum-e-vafaa dekh ke nauha kahte ishq-e-maghmum pe maatam hi manaayaa hotaa ek ibhaam hai ghumegaa muqaddar phir se kaaT ke haath lakiron ko ghumaayaa hotaa un ko bimaar ke lahje ki thakan yaad nahin tujh saa be-gharz masihaa na khudaayaa hotaa ye miri sift 'khalil' aaj mujhe le Duubi sach ne suuli pe chaDhaayaa na chaDhaayaa hotaa"
Khaleel Husain BaloochKhaleel Husain Balooch
Quote
"tere andaaz-e-takallum kaa sahaaraa le kar jiit aaeinge jahaan shauq tumhaaraa le kar qibla-e-ahl-e-junun meri riyaazat kaa ajr raah-e-pur-khaar kaa lauTaa huun nazaaraa le kar gor-kan dard kaa marqad to banaanaa lekin hijr-e-mahjur tu pahlu se hamaaraa le kar lauh-e-aflaak pe raushan hai hamaaraa chehra ishq-e-pur-nur ki izzat kaa sitaara le kar vo mire baad zamaane ko rulaa kar bolaa dil-e-barbaad kaa aayaa huun khasaara le kar shahr kaa shahr sharaabon se sivaa bahkaa hai aap ki aankh se halkaa saa ishaara le kar dard-e-dil-gir ki shiddat kaa nazaaraa karnaa sarsari hijr manaa lenaa udhaaraa le kar hijr-e-maashuq hai tulaani to ab umr 'khalil' hazrat-e-khizr ki aaungaa dobaara le kar"
Khaleel Husain BaloochKhaleel Husain Balooch
Quote
"diip yaadon ke dafinon pe jalaa kar soe khud pe uftaad nai roz uThaa kar soe dil ke armaan kai ahl-e-sukhan raat gae ek gumnaam udaasi ko sunaa kar soe phir shab-e-hijr ke siine pe lagaai Thokar sher do-chaar nae phir se banaa kar soe mujh ko ik bahr-e-aziyyat kaa havaala de kar shab kahin vasl ke dariyaa mein nahaa kar soe vo tiri haan mein sadaa haan hi milaane vaale khud pe ab daagh munaafiq kaa sajaa kar soe kal gae raat javaani se rihaai maangi bachpane daur ko pahlu mein liTaa kar soe rabb-ul-arbaab ki jaari hon ataaein mujh pe mere ahbaab agar mujh ko duaa kar soe din kisi yaad ke saae mein guzaaraa lekin raat ham dard ke qadmon mein bichhaa kar soe tere atraaf hi ghume hai takhayyul meraa meri har ek ghazal tujh ko sulaa kar soe raat bhar niind se rahti hai laDaai meri tu mire yaar agar mujh ko bhulaa kar soe ishq to khair 'khalil' ab bhi bulaae lekin kis mein himmat hai shab-e-hijr manaa kar soe"
Khaleel Husain BaloochKhaleel Husain Balooch
Quote
"be-rahm dil ki himaaqaton ke asiir hain tabhi sar-nigun hain nadaamaton ke asiir hain shab-e-vasl ishq ki chaandni kaa ghurur the vahi log hijr ki vahshaton ke asiir hain hue sar ba-kaf hain jo aandhiyon ki uDaan par ye charaagh ishq ki hurmaton ke asiir hain jinhein apni quvvat-e-zabt pe kabhi naaz thaa vahi ashk dard ki shiddaton ke asiir hain koi ishq thaa jo kisi ke jaane se mar gayaa koi zakhm hijr ki iddaton ke asiir hain jinhein ai khudaa tiri aayaton se hi bughz hai vahi bahr-o-bar ki najaasaton ke asiir hain kahaan vo zamin ko sunaa sake hain nidaa-e-dil mire lafz arsh ki vusaton ke asiir hain jinhein daan kar ke chale gae ho azaab-e-jaan vo anaa-parast se ibraton ke asiir hain hami sher likhte hain tir-o-neza ki nok par hami sar-phire hain baghaavaton ke asiir hain kabhi tum nayaa koi zakhm do ki sunaa sakun abhi sher gham ki samaaaton ke asiir hain vo khudaa-parast 'khalil' jo sar-e-daar hain ham unhi ke qurb ki lazzaton ke asiir hain"
Khaleel Husain BaloochKhaleel Husain Balooch
Quote
"nazar jhuki hai ye sar tumhaaraa agar jhukaa hai nazar se girne ke baad koi kahaan uThaa hai yaqin nahin gar labon ko izn-e-kalaam de ab tumhaare honTon pe naam meraa kahin rukaa hai asir-zaade sabhi qafas ke himaayati hain ghulaam-zaade raheinge aakhir yahi sazaa hai khudaaraa tohmat lagaa nahin main vahaan nahin thaa jahaan qabila tiri anaaon kaa jaa luTaa hai du'aa ke pardon mein dard ginne lagaa to dekhaa ki dard-e-ishqaan har ek dukh mein chhupaa huaa hai bhalaa main daagh-e-mafaariqat ki misaal kyaa duun ye daagh jis ko lagaa vo suuli chaDhaa diyaa hai kuchal hi Daalaa hai dard-e-hijraan ki aahaTon ne mire khayaalon ne vasl-lamha agar bunaa hai ghazal gavaah hai koi nahin tiraa saani 'khalil' teraa sukhan takhayyul se maavaraa hai"
Khaleel Husain BaloochKhaleel Husain Balooch
Quote
"har vaqt sataataa hai sudhar kyuun nahin jaataa vo soch ke parde se utar kyuun nahin jaataa kuchh log mohalle ke yahi soch rahe hain gar hosh pe qaaem huun to ghar kyuun nahin jaataa jis samt ravaan hain ye dhuaan dhuul musaafir us samt miraa zauq-e-safar kyuun nahin jaataa har 'ahd-e-mohabbat pe pashemaan hai vo aakhir kyuun 'uzr taraashe hai mukar kyuun nahin jaataa ik khauf saa dushman ki safon pe hai musallat sar kaaT chuke hain to main mar kyuun nahin jaataa aflaak se aai thi nidaa kaun khaDaa hai gardan bhi kaTi hai to bikhar kyon nahin jaataa zinda hai agar zindagi ne phuul bichhaae marnaa hai to phir maut kaa Dar kyuun nahin jaataa kyuun yaad ki chaukhaT pe sar-e-'aam khaDaa hai us khaali makaan se tu guzar kyon nahin jaataa maanaa ki tu rakhtaa hai 'ajab ek udaasi us bahr-e-aziyyat se bikhar kyon nahin jaataa tanhaa to nahin ziist ki raahon mein khalil ab phir us kaa muqaddar bhi sanvar kyuun nahin jaataa"
Khaleel Husain BaloochKhaleel Husain Balooch
Quote
"aag aangan mein khud lagaa di hai jis ne insaaf ki nidaa di hai bhaai do baT gae zaminon mein ghar mein divaar ik banaa di hai tum hi iblis ke sipaahi ho tum ne taqsim ko havaa di hai ik sadaa us ne an-suni kar di baarhaa ham ne kab sadaa di hai raushni hijr mein aziyyat thi jab bhi shama jali bujhaa di hai jhuuT ki aar-paar lazzat ne sach ki taasir hi bhulaa di hai dosto kashtiyaan jalaani thiin tum ne taarikh hi jalaa di hai log sab muntashir na ho jaaein aaj phir ishq ne sadaa di hai haartaa kyon 'khalil' maan ne jab chuum kar kal jabin duaa di hai"
Khaleel Husain BaloochKhaleel Husain Balooch
Quote
"tumhaare dard ki daulat uThaae jaate hain chale hain aise ki jaise paraae jaate hain sunaa hai jab se anal-haq kaa maajraa yaaro ataa-e-ishq ko fitna bataae jaate hain tumhaare hijr ke malbe mein dab gayaa koi tumhaare rog ye baatein banaae jaate hain jafaa ke dosh pe jalte hue charaagh mujhe sitam ki nok pe jiinaa sikhaae jaate hain baraae naam jo tum se koi taalluq thaa usi ke bojh se kandhe jhukaae jaate hain puraane zakhm jo kal aagahi kaa haasil the mire shuur ki miTTi mein paae jaate hain unhi ki aankh kaa rahtaa hai tazkira aksar unhi ki zulf ke qisse sunaae jaate hain hamaare beach koi tisraa na aaegaa ye lafz vo hain jo bas bhuul jaae jaate hain vo ek shakhs asaasa hai qimti meraa usi ke naam pe duniyaa luTaae jaate hain kisi kaa pyaar tire gham kured detaa hai tumhaare baad bahut aazmaae jaate hain khudaa 'khalil' ke sheron ki aabru rakkhe qalam ki nok pe aansu bahaae jaate hain"
Khaleel Husain BaloochKhaleel Husain Balooch