SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"guzri hui vo rut kabhi aani to hai nahin dil ne magar ye baat bhi maani to hai nahin ai qissa-go ye lahja tiraa yuun kabhi na thaa kuchh to bataa ye kyaa hai kahaani to hai nahin kuchh us ke muskuraane se andaaza ho to ho andar ki choT hai nazar aani to hai nahin phir us gali na jaane pe raazi huaa to hai ab ke bhi dil ne baat nibhaani to hai nahin vo baat ab kahaan ki dilon ko kare ghulaam bas ik chamak hai aankh mein paani to hai nahin duniyaa tire liye jo guzaari guzaar di ab ye jo rah gai hai ganvaani to hai nahin"
K
Khalid Mahmood Zaki
Quote
"pahle to shahr bhar mein misaal aaine hue phir gard se saraapaa savaal aaine hue chehra chhupaae phirtaa hai gahre naqaab mein ik shakhs ko to lau ki misaal aaine hue ham ko sazaa mili ki ujaale the aaine so apni jaan pe saaraa vabaal aaine hue phir yuun huaa ki zabt ki surat nahin rahi aur shahr-e-be-navaa ke ghazaal aaine hue jin ke sabab se ham hue maatub shahr mein ik vaqt aa gayaa vo khayaal aaine hue vo dard ji uThaa ki garebaan the taar taar vo rut umaD paDi ki nihaal aaine hue"
K
Khalid Mahmood Zaki
Quote
"tujhe paa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai to phir ye saans bhi rukti hui mahsus hoti hai jo kahnaa hi nahin us kaa ishaara kyuun diyaa jaae ki aisi baat to kuchh aur bhi mahsus hoti hai adim-ul-fursati shiddat se us kaa yaad aa jaanaa ghanimat hai agar ye tishnagi mahsus hoti hai palaT kar aa gae ho tum to kyuun aae nahin lagte tumhaari aankh mein kyuun gard si mahsus hoti hai vagarna bojh hai jis ko liye phirnaa hai kaandhe par karein mahsus to ye zindagi mahsus hoti hai shajar vo bhi jise sinchaa ho apnaa khuun de de kar kabhi us ki bhi chhaanv ajnabi mahsus hoti hai ye mere khvaab hain jo saaya karte hain mire sar par mujhe is dopahar mein chhaanv si mahsus hoti hai kisi ki guftugu ke darmiyaan aksar na jaane kyuun kahin gahri si koi khaamushi mahsus hoti hai zamin teri tarah main bhi safar mein huun ki jaise tu kabhi Thahri nahin Thahri hui mahsus hoti hai"
K
Khalid Mahmood Zaki
Quote
"shab ke haathon giraa aur kahin rah gayaa chaand phir be-falak be-zamin rah gayaa chalte rahte to milne kaa imkaan thaa jo jahaan ruk gayaa vo vahin rah gayaa khud ko khoe hue kyaa kise DhunDte tum kahin rah gae main kahin rah gayaa kaun rakkhe hisaab-e-shab-o-roz jab shab kahin rah gai din kahin rah gayaa kho gayaa jo bhi zaad-e-safar paas thaa khvaab oDhe hue ik yaqin rah gayaa tum mile hi kahaan milne jaise mujhe main jahaan thaa vahin kaa vahin rah gayaa sab guzartaa gayaa sab guzarne diyaa phir bhi kyaa kyaa na dil ke qarin rah gayaa main uThaae hue ye badan chal paDaa dil bhi raazi thaa phir bhi vahin rah gayaa baa'd muddat ke ab sochnaa bhi hai kyaa paas kyaa rah gayaa kyaa nahin rah gayaa"
K
Khalid Mahmood Zaki
Quote
"banaa banaa ke aks khadd-o-khaal rakh diye gae ki aaine haTaa diye khayaal rakh diye gae jo baat qatl ki gai vahi to ek baat thi sukhan-saraa-e-vaqt mein malaal rakh diye gae koi na khud ko paa sake ye aur baat hai magar kami kaji ke rang mein kamaal rakh diye gae kabhi jo ek shahr thaa qafas banaa diyaa gayaa jahaan bhi rakkhe jaa sake the jaal rakh diye gae darakht kaaT kaaT kar kushaadgi to ki gai saron pe jalti dhuup ke vabaal rakh diye gae kabhi jo haq diyaa gayaa to is tarah diyaa gayaa ki faisle ke darmiyaan saal rakh diye gae dilon ko chhu gai thi jo vo taazgi nahin rahi bhale se ab sukhan mein sau kamaal rakh diye gae mohabbaton mein chaahiye thi pukhtagi so is liye firaaq rakh diye gae visaal rakh diye gae vo shahr be-misaal thaa vo shahr laa-zavaal thaa phir us ki iinT iinT mein zavaal rakh diye gae"
K
Khalid Mahmood Zaki
Quote
"mubtalaa khud ko kisi gham mein musalsal rakhnaa aur us gham ko tiri aankh se ojhal rakhnaa chaand khiDki mein kabhi dhuup mein baadal rakhnaa dhyaan rakhnaa jo kisi kaa to har ik pal rakhnaa chalnaa sikhaa hi nahin raah se haT kar ham ne ik qadam us ki taraf ik su-e-maqtal rakhnaa dekhnaa maand na paD jaaein gham-e-hijr mein ye tum shab-e-vasl kaa in aankhon mein kaajal rakhnaa ik zaraa baat se is jaan pe ban aati thi raas aayaa bhi to gham se ise bojhal rakhnaa jis ko kahnaa thaa usi ko nahin kahnaa aur phir kaise andeshon mein khud ko yunhi paagal rakhnaa aisaa lagnaa ki ye aankhein to barasti hi nahin sail-e-gham se magar andar koi jal-thal rakhnaa ham to is arsa-e-hasti mein jhulaste hi rahe na huaa dhuup mein ik khvaab kaa baadal rakhnaa"
K
Khalid Mahmood Zaki
Quote
"tufaan samajh liyaa kabhi saahil banaa liyaa ai shauq-e-be-amaan tujhe manzil banaa liyaa ab jism-o-jaan-e-naaz pe TuTein qayaamatein us se gurez kyaa jise haasil banaa liyaa kuchh intihaa-e-shauq ke the silsile ajab mushkil nahin thaa jo use mushkil banaa liyaa jis din ki intizaar thaa karnaa nahin kiyaa khud ko mizaaj-e-yaar ke qaabil banaa liyaa us raah par chale jo zamaane se haT ke thi aur kaar-e-zindagi tujhe mushkil banaa liyaa chhoDaa nahin banaae banaa zimme jo bhi thaa phir bhi nahin kuchh aisaa ki be-dil banaa liyaa jab chaahaa ai samay tujhe raunaq se kaaT kar khalvat-nashini-e-shab-e-mahfil banaa liyaa paani hi kyaa havaa bhi nahin e'tibaar ki ye jaan kar Thikaana sar-e-gil banaa liyaa"
K
Khalid Mahmood Zaki
Quote
"ye rahguzar to kisi rahguzar kaa dhokaa hai ki umr bhar kaa safar bhi safar kaa dhokaa hai khabar ki raushni ab raushni nahin karti so ho na ho ye khabar bhi khabar kaa dhokaa hai yahaan to hadd-e-nazar tak hai ek viraani mire gumaan ye tujhe kis nagar kaa dhokaa hai dikhaai bhi to kahin de vo dhuup aane par shajar vo hai ki hamin ko shajar kaa dhokaa hai isi liye to ye sahraa aziiz hai ki yahaan na shor-e-shahr-e-balaa hai na ghar kaa dhokaa hai badalti jaati hai duniyaa kuchh is tarah 'khaalid' ki jo nazar mein hai samjho nazar kaa dhokaa hai"
K
Khalid Mahmood Zaki
Quote
"ajab ik baat us ki baat mein thi ki khushbu peD ke har paat mein thi tumhein ham se mohabbat kaa gilaa thaa mohabbat kab hamaare haath mein thi ye aise the ki khush aate bahut the koi khushbu inhi din raat mein thi ajab mausam tumhaare baad aae ajab be-raunaqi barsaat mein thi andhere mein nazar aane lagaa thaa koi to raushni zulmaat mein thi gae vaqton mein aisaa to nahin thaa yahi duniyaa thi aur auqaat mein thi kahin to vaqt jaise ruk gayaa thaa kahin par umr bhi lamhaat mein thi huaa thaa vaaqia kuchh aur lekin khabar kuchh aur akhbaaraat mein thi bahut thi dhuup mein shiddat bhi 'khaalid' magar talkhi jo ehsaasaat mein thi"
K
Khalid Mahmood Zaki
Quote
"vo jo e'tibaar-e-jamaal the vo kahaan gae vo jo aap apni misaal the vo kahaan gae kabhi har taraf koi dilkashi si muhit thi usi dasht mein jo ghazaal the vo kahaan gae kahin ek pal ko bhi tu nazar nahin aa rahaa gham-e-dil tire mah-o-saal the vo kahaan gae vo jo khvaab le ke chale the ham vo kahaan gayaa vo jo us ke gham mein niDhaal the vo kahaan gae kabhi pahron us kaa bas ik usi kaa khayaal thaa vo jo hijr the jo visaal the vo kahaan gae kabhi pahle jab vo milaa thaa vaisaa nahin rahaa kai rang us mein kamaal the vo kahaan gae ye jo log mere qarib hain ye kahaan ke hain vo jo husn-e-khvaab-o-khayaal the vo kahaan gae"
K
Khalid Mahmood Zaki
Quote
"ashkon se dhul ke aaina-khaana badal gayaa baarish hui to mausam-e-rafta badal gayaa jab bhi sambhaalaa chaand ne barbaad shahr ko divaar-o-dar vahi rahe naqsha badal gayaa ik dasht-e-be-amaan mein safar kar rahe the ham saansein ukhaD gaiin kabhi rasta badal gayaa utri nazar se gard to manzar kuchh aur thaa yuun lag rahaa thaa jaise vo chehra badal gayaa har baar pahunche ham tire meaar tak magar har baar teraa ham se taqaazaa badal gayaa pahle to intiqaam ne shal kar diye havaas phir jaane kyaa huaa ki iraada badal gayaa is baar tere harf-e-tasalli na bin sake is baar teri baat kaa lahja badal gayaa kam kam rahaa thaa din ke samay dil mein teraa aks shab aa gai to jaise ye shisha badal gayaa"
K
Khalid Mahmood Zaki