SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byLaiq Aajiz(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mujh mein us mein hijaab thaa na rahaa pahle jo iztiraab thaa na rahaa kufr hi diin ban gayaa meraa kufr mein jo hijaab thaa na rahaa lazzat-e-subh-o-shaam bhuul gae dil jo bhun kar kabaab thaa na rahaa be-hayaai ki oDh li chaadar pahle vo aab aab thaa na rahaa is ne ab saath meraa chhoD diyaa ishq mein kaamyaab thaa na rahaa roz-o-shab chain se guzarte hain vaqt mein pech-o-taab thaa na rahaa ho gae us ke dar ke pahre-daar meraa jiinaa azaab thaa na rahaa shaam hote hi bujh gayaa 'aajiz' ek muflis kaa khvaab thaa na rahaa"
Laiq AajizLaiq Aajiz
Quote
"us husn-e-be-niyaaz ke kuchh martabe the aur meri udaas raaton ke bujhte diye the aur zakhmon ko nok-e-khaar ki lazzat pasand thi vaise tumhaare ghar ke kai raaste the aur main hi nahin thaa khokhle peDon ke darmiyaan mujh jaise naa-shanaas vahaan par khaDe the aur is se bichhaD ke rone ki fursat nahin mili qirtaas-e-zindagi pe kai gham likhe the aur daaman mein jo guhar hain natije hain ishq ke pahle jo mere paas the vo aaine the aur saaqi bachaa li aabru tu ne khud apni aaj varna miri manzar mein kai mai-kade the aur jis ke ik ek misre mein rahtaa thaa us kaa zikr 'aajiz' vo sher aur the vo qaafiye the aur"
Laiq AajizLaiq Aajiz
Quote
"mujhe to jo bhi milaa hai 'azaab ki surat miri hayaat hai ik tishna khvaab ki surat havaao dil ki taraf ehtiyaat se jaanaa vujud amn hai qaaem hubaab ki surat malaamatein gham-o-aalaam fikr maayusi ye zindagi hai shikasta kitaab ki surat khud apni kargasi fitrat se ho gae rusvaa vagarna tum bhi uThe the 'uqaab ki surat kabhi falak to samundar kabhi uThaa laayaa pasand donon ko hai aaftaab ki surat shaguftagi ki jagah jhurriyon ne le li hai hamaaraa chehra thaa 'aajiz' gulaab ki surat"
Laiq AajizLaiq Aajiz
Quote
"sabaa ye baargah-e-husn mein khabar karnaa use to chaahiye zarron ko bhi qamar karnaa mein chaahtaa huun taalluq ke darmiyaan parda vo chaahtaa hai mire haal par nazar karnaa mire khudaa miri duniyaa hi khatm kar denaa agar duaaon ko meri tu be-asar karnaa ye dekh lenaa mohalle ke log kaise hain phir is ke baad hi taamir apnaa ghar karnaa tumhaaraa kaam hai kichaD uchhaalnaa lekin hamaare zarf mein shaamil hai darguzar karnaa miri hayaat se hai pyaar is liye 'aajiz' vo chaahtaa hai miri umr mukhtasar karnaa"
Laiq AajizLaiq Aajiz
Quote
"jab se miri taqdir kaa Duubaa suraj us roz se ab tak nahin dekhaa suraj Dubegaa bahut jald ye chaDhtaa suraj is vaaste main ne nahin puujaa suraj jab se tire chehre ki chamak dekhi hai aankhon ko miri ik nahin jachtaa suraj taariki se har shakhs ko fursat to mili mere liye ab tak nahin niklaa suraj kirnon ko vo baazaar mein bech aayaa hai shaayad ki kai din se thaa bhukaa suraj tum ne to kai logon ko baanTe lekin main ne to kabhi ek na paayaa suraj barson se zamaane ko sahar de na sakaa haalaat mein kuchh is tarah uljhaa suraj aayaa hai tasavvur mein sar-e-shaam koi mere ufuq-e-zehn pe niklaa suraj 'aajiz' ko pareshaan nahin kar saktaa aflaak-e-masaaib kaa ye taptaa suraj"
Laiq AajizLaiq Aajiz
Quote
"zamaana DhunD rahaa thaa kidhar gayaa paani kisi kaa hukm huaa to Thahar gayaa paani vo dhuup thi ki zamin jal ke raakh ho jaati baras ke ab ke baDaa kaam kar gayaa paani baDaa ghurur thaa apni chamak-damak pe use sunaar ne jo tapaayaa utar gayaa paani khudaa kaa khauf nahin ab tumhaare zehnon mein tavahhumaat kaa is tarah bhar gayaa paani shikast-khurda ye qaumein tumhein miTaa deingi agar tumhaari hamiyyat kaa mar gayaa paani taras na aayaa gharibon ke haal par 'aajiz' sisakte paudon ke sar se guzar gayaa paani"
Laiq AajizLaiq Aajiz
Quote
"tanz ke tiir miri samt chalaate kyuun ho tum agar dost ho to dil ko dikhaate kyuun ho dekh le ye bhi zamaana ki ho tum kitne amiir apni palkon ke nagine ko chhupaate kyuun ho ai mire paanv ke chhaalo mire ham-raah raho imtihaan sakht hai tum chhoD ke jaate kyuun ho tishnagi se miri barson ki shanaasaai hai biich mein nahr ki divaar uThaate kyuun ho meri taarik shabon mein hai ujaalaa in se chaand se zakhmon pe marham ye lagaate kyuun ho us se jab ahd-e-vafaa kar hi liyaa hai 'aajiz' be-vafaa kah ke use ashk bahaate kyuun ho"
Laiq AajizLaiq Aajiz
Quote
"dushmanon ko dost bhaai ko sitamgar kah diyaa log kyuun barham hain kyaa shishe ko patthar kah diyaa is liye mujh ko amir-e-shahr ne di hai sazaa main ne khud ko khaadim-e-sibt-e-payambar kah diyaa chaDhte suraj ki parastish mein sabhi masruf the mujh se jab puchhaa gayaa allaahu-akbar kah diyaa kitne saada-lauh hain ye sab safiran-e-junun raahzan bhi mil gayaa to us ko rahbar kah diyaa ho gayaa dushman bhi mere hausle kaa mo'tarif mujh ko dariyaa-e-havaadis kaa shanaavar kah diyaa sher kahne mein mujhe 'aajiz' maza aane lagaa us ne jab be-saakhta mujh ko sukhan-var kah diyaa"
Laiq AajizLaiq Aajiz
Quote
"baadshaahi ho ki daryuza-gari kaa mausam bhultaa hi nahin vo ham-safari kaa mausam khetiyaan chhaalon ki hoti thiin lahu ugte the kitnaa zarkhez thaa vo dar-badari kaa mausam hirz-e-jaan Thahre jo sahraa mein Thikaana mil jaae bastiyon mein to hai aashufta-sari kaa mausam aao zakhmon se phir ik baar lipaT kar ro lein varna aane ko hai ab bakhiya-gari kaa mausam roz-e-avval se hai chhaayaa huaa mujh par ab tak kirchiyaan hone kaa shaqq-ul-bashari kaa mausam ab kabhi lauT kar aaegaa na shaayad 'aajiz' Duub kar piine kaa daaman ki tari kaa mausam"
Laiq AajizLaiq Aajiz