SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMahmood(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"raqs-e-bismil sahi zanjir ki jhankaar sahi ham-nashin raah-e-junun mein rasan-o-daar sahi zindagi bhar nahin jaane ki miri kaj-kulahi sar pe har lamha chamakti hui talvaar sahi aap kahte hain to sach hogi zarur aap ki baat ham vafaadaar nahin laakh vafaadaar sahi dil-girafta hai bahut aaj kaa insaan yaa-rab ye jahaan teraa dil-aaraa sahi dil-daar sahi 'umr bhar ke liye paimaan-e-vafaa hotaa hai ai mire dost tu be-kaar-o-jafaa-kaar sahi kyaa tiraa naam kabhi meri zabaan par aayaa dil khataa-vaar sahi aankh gunahgaar sahi"
M
Mahmood
Quote
"kyaa hai miri khataa sabab-e-be-rukhi hai kyaa mere junun-e-shauq mein koi kami hai kyaa karnaa zaraa shumaar kabhi mere dil ke zakhm ye dosti tiri hai to phir dushmani hai kyaa hai laala-rang khun-e-jigar se qabaa-e-zist be-rang zindagi bhi koi zindagi hai kyaa raushan savaad-e-dil hai mohabbat ke nuur se ham kyaa kareinge jaan ke neki badi hai kyaa hoti nahin talaash mujhe apne aap ki gar jaantaa ‘uqubat-e-khud-aagahi hai kyaa rakhnaa mire khudaa mujhe apni panaah mein vahshat-zada huun soch ke ye aadmi hai kyaa"
M
Mahmood
Quote
"vafaa ki raah mein kis kaa ye naqsh-e-paa niklaa jabin-e-shauq tiraa aaj hausla niklaa sukut-e-aakhir-e-shab aur fasurdagi dil ki bujhaa bujhaa saa tiri yaad kaa diyaa niklaa kami thi kuchh tiri bazm-e-tarab mein kyaa saaqi ki jura jura bhalaa kis kaa hausla niklaa kabhi baraste the laal-o-guhar isi ghar mein isi makaan se magar kaasa-e-gadaa niklaa kaThin thi raah-e-vafaa duur manzil-e-jaanaan qadam baDhaae to lamhon kaa faasla niklaa miraa fasaana to har ahd kaa fasaana hai ki lafz lafz mohabbat kaa maajraa niklaa"
M
Mahmood
Quote
"shahr-e-dil ujDaa to barbaad huaa kyaa kyaa kuchh naqsh-bar-aab ki maanind miTaa kyaa kyaa kuchh dard-e-dil kaahish-e-jaan soz-e-darun daagh-e-jigar be-talab teri inaayat se milaa kyaa kyaa kuchh uff ye begaangi-o-tark-e-taalluq kaa azaab paa gae ham bhi vafaaon kaa sila kyaa kyaa kuchh kaisaa insaaf hai ye kaisi adaalat hai tiri di hai naa-karda khataaon ki sazaa kyaa kyaa kuchh kab khabar hoti hamein kaun kahaan se aayaa kah gayaa chupke se naqsh-e-kaf-e-paa kyaa kyaa kuchh raahat-e-vasl mohabbat kaa nasha dard-e-firaaq tiri chaahat ne miri jaan diyaa kyaa kyaa kuchh lab tire kis liye iqraar-e-mohabbat karte aankh hi kah gai ai jaan-e-vafaa kyaa kyaa kuchh"
M
Mahmood
Quote
"ab nahin koi jabin maah-e-darakhshaan ki tarah ab koi aankh nahin chashm-e-ghazaalaan ki tarah ab kahin bhi nazar aate nahin aariz ke gulaab ab koi zulf kahaan sumbul-o-raihaan ki tarah is bhare shahr mein ab koi zulekhaa hi nahin ek chehra bhi nahin surat-e-jaanaan ki tarah kijiye bhi to kahaan us rukh-e-zebaa ki talaash koi kucha hi nahin ku-e-nigaaraan ki tarah zindagi ban gai ik soz-e-darun tere baghair kaaTe kaTti hi nahin hai shab-e-hijraan ki tarah le ke aai tiri yaadon ke mahakte hue phuul koi mausam hi nahin fasl-e-bahaaraan ki tarah jaan-e-jaan meri vafaaon kaa sila do ki na do kaun chaahegaa tumhein is dil-e-naadaan ki tarah"
M
Mahmood
Quote
"ham aadmi hain khudaa-raa hamein khudaa na kaho magar khudaa ke sivaa aadmi ko kyaa na kaho khud-aagahi ne mire kaan mein ye baat kahi buraa na maano kisi ko bhi tum buraa na kaho koi hasin kahaan baar baar aataa hai hazaar karb-o-balaa ho to karbalaa na kaho mire vujud se kaun-o-makaan ke hangaame ghaTaao qad na miraa mujh ko devtaa na kaho jigar ke daagh charaaghon ki tarh lau deinge dil-e-fasurda ko bujhtaa huaa diyaa na kaho tumhaari yaad mein ai dost zindagi guzri bhalaa kaho ki buraa mujh ko bevafaa na kaho"
M
Mahmood
Quote
"na ho gul-rang jab khun-e-jigar se zindagi kyaa hai munavvar shahr-e-dil jis se na ho vo raushni kyaa hai junun-e-'ishq ne mujh ko miTaayaa bhi sanvaaraa bhi havas mahv-e-tahayyur hai ki ye divaangi kyaa hai tiraa vahshi kahaan zanjir-e-gesu toD kar jaataa kisi ne ye nahin sochaa ki is ki bebasi kyaa hai saraapaa hai tiraa yaa koi naghma hai bahaaron kaa tire jalve ke aage subh kyaa hai chaandni kyaa hai kahin to sarfaroshi aur kahin imaan-faroshi hai samajh mein kuchh nahin aataa ki aakhir aadmi kyaa hai"
M
Mahmood
Quote
"mizaaj ham ne zahe dard-aashnaa paayaa milaa nasib se ganjina-e-garaan-maaya na jaane khol chukaa kitne raaz qudrat ke magar ye aadmi khud ko samajh nahin paayaa kaDi thi dhuup gham-e-dahr ki magar sar par kiye hue thiin tiri dil-navaaziyaan saaya miraa sukut ziyaan degaa be-zabaanon ko to phir bataa mire lab si ke tu ne kyaa paayaa qarib thaa rag-e-jaan se bhi tu magar ai dost bichhaD gayaa to kabhi phir nazar nahin aayaa kahaan kahaan nigah-e-shauq tujh ko DhunDh aai kahaan kahaan dil-e-vahshi tujhe pukaar aayaa chhupaa ke rakkhaa hai siine mein teri yaadon ko yahi to Thahrin miri zindagi kaa sarmaaya"
M
Mahmood