Quote
"baarishein khuun ki tez hain tez hain khuun ki aandhiyaan chaak-dar-chaak uDne lagin khuun mein ziist ki chhatriyaan raat petrol ki aag se shahr mein yuun charaaghaan huaa kaanp kar bujh gaiin dil ke raushan jharokon ki sab battiyaan be-amaan khalq curfew-zada roz-o-shab ke andhere mein gum apni gardan mein Daale hue apne katbaat ki takhtiyaan donon hi likh rahi thiin lahu se mire saaneha qatl kaa ik taraf hamla-var aastin ik taraf paasbaan vardiyaan gar yunhi aag daaman se uThti rahi to jalaa Daalegi husn-e-gul-rang kaa pairahan ishq-e-gulnaar ki dhajjiyaan jalti aankhon ke moti pighalte rahe aur ehsaas ke reg-zaaron mein tapti rahin mere khvaabon ki parchhaaiyaan marg-e-amboh kaa jashn-e-maatam hai raushan karein ham 'shahaab' phuljhaDi ashk-e-khush-rang ki taaza zakhmon ki mahtaabiyaan"







