Quote
"zindagi ki bahaar le ke chale daaman-e-taar-taar le ke chale gul-rukhaan-e-chaman ki mahfil se sina-e-sad-figaar le ke chale aah ye khvaab-e-ishq ki taabir aalam-e-intizaar le ke chale be-qaraari mein umr guzri thi aaj dil kaa qaraar le ke chale paa gae raaz-e-khanda-e-gul ham dida-e-ashk-baar le ke chale mil gai daad-e-aabla-paai pursish-e-nok-e-khaar le ke chale zabt-e-gham kaa 'jamaal' hai ye sila taana-e-gham-gusaar le ke chale"







