Quote
"ishq mein kyaa khoyaa kyaa paayaa main bhi sochun tu bhi soch kyaa ye tasavvur zehn mein aaya main bhi sochun tu bhi soch har chehre par chehra ho to kaise ham pahchaaneinge kaun hai apnaa kaun paraayaa main bhi sochun tu bhi soch qabr mein jaa kar miTTi mein mil jaane vaali miTTi ko yaaron ne phir kyon nahlaayaa main bhi sochun tu bhi soch tu bhi qaatil main bhi qaatil maqtal ham donon ke dil kis ne kis kaa khuun bahaayaa main bhi sochun tu bhi soch phuul khilaataa thaa jo kal tak aaj vo kaanTe botaa hai farq ye is mein kaise aaya main bhi sochun tu bhi soch duniyaa bhi ik sarmaaya hai uqbaa bhi ik sarmaaya kaun saa achchhaa hai sarmaayaa main bhi sochun tu bhi soch jab tak suraj sar pe nahin thaa saath 'mayank' ye chaltaa thaa paanv tale ab kyon hai saayaa main bhi sochun tu bhi soch"







