Quote
"lagtaa to nahin mere vafaadaar banoge ye tai hai magar achchhe adaakaar banoge ghaddaar thaa ik yaar use maar diyaa thaa phir soch ke batlaao mire yaar banoge majbur kaheinge yaa samajh leinge khushaamad is daur mein jis ke bhi madad-gaar banoge phir kaun samajh paaegaa duniyaa mein mohabbat daulat ke agar tum bhi talabgaar banoge bachpan se hi makkaar ho chaalaak ghazab ke lagtaa hai baDe hote hi sardaar banoge hassaas tabi'at thi miri is liye ik din daadaa ne kahaa thaa ki qalamkaar banoge"







