SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"go zabaanein laakh hon dil ki sadaa to ek hai jitne hon andaaz lekin muddaaa to ek hai kuchh mahaazon par bahaaein kuchh bahaaein khet mein mukhtalif jaa par sahi khun-e-vafaa to ek hai har taraf se imtihaan-gaah-e-vafaa mein jaaungaa qissa-e-daar-o-rasan kaa marhala to ek hai daar ho maqtal ho yaa ho tuur kaa jalva kahin jazba-e-zauq-e-mohabbat kaa sila to ek hai main samajhtaa huun ye duniyaa hai hasinon se bhari kyaa karun zauq-e-nazar kaa muddaaa to ek hai aah naale dard-o-gham akhtar-shumaari raat ki ai masih-e-vaqt in sab ki davaa to ek hai duur hon chaara-garaan-e-vaqt bas ab duur hon 'asr' ki taklif kaa dard-aashnaa to ek hai"
M
Mohammad Naqi Rizvi Asr
Quote
"khudaayaa kaash tujhi ko gavaah kar lete nigaah-e-khalq se bach kar gunaah kar lete hayaat khud hi mire dar ki paasbaan hoti urus-e-marg se ik din jo chaah kar lete falak na rahtaa na ru-e-zamin ki rangini tumhaare jaur-o-sitam par jo aah kar lete na karte jabr kisi par bhi log phir shaayad jo ikhtiyaar pe apne nigaah kar lete gadaagari ke to ilzaam se bache rahte ham apne sar pe agar kaj-kulaah kar lete hamaari fikr kaa thoDaa saa to sila miltaa jo ahl-e-bazm hi kuchh vaah vaah kar lete nibaah lete zamaane se ham bhi mar-khap kar jo aap 'asar' ke dil mein na raah kar lete"
M
Mohammad Naqi Rizvi Asr
Quote
"husn aur ishq ko farq-e-nazari kyuun kahiye mai ki taasir ko ik be-khabari kyuun kahiye har-nafas ziist kaa ho jaae agar vaqf-e-talaash justuju kahiye use dar-badari kyuun kahiye koh-o-sahraa hi nahin arsh ki laataa huun khabar meri parvaaz ko be-baal-o-pari kyuun kahiye kashtiyaan Duub ke ubhrein jo kisi tufaan mein naa-khudaaon ki use dida-vari kyuun kahiye bujhte bujhte bhi andheron ki rahe jo dushman aisi hasti ko charaagh-e-sahari kyuun kahiye jab sulajhti na ho koshish se bhi uljhi hui baat phir to haalaat ko aafat se bari kyuun kahiye ek koshish thi jo naakaam rahi qismat se 'asr' kuchh kahiye use be-hunari kyuun kahiye"
M
Mohammad Naqi Rizvi Asr
Quote
"na sar-nigun na ba-zaahir udaas udaas chale ajiib shaan se marne vafaa-shanaas chale banaa ke khugr-e-ehsaas-e-dard-o-gham-e-dil ko hamaare paas se saare hujum-e-yaas chale sunaa ke ahl-e-junun ko bahaar kaa muzhda havaas vaale bhi ik samt bad-havaas chale hayaat naam hai aise safar kaa ai hamdam qadam qadam pe jahaan fikr-e-aas-o-yaas chale zabaan pe aae to Dar hai bane na afsaana vo baat jis pe bahut har taraf qayaas chale hamaari dalq-navaazi pe rashk karne ko sunaa hai dair-o-haram se nazar-shanaas chale maza to jab hai bahaaron ki faiz-o-bakhshish kaa ki 'asr' jaam bhi be-arz-o-iltimaas chale"
M
Mohammad Naqi Rizvi Asr
Quote
"na tesha ham ne dekhaa hai na ju-e-shir dekhi hai magar haan kuchh to jazb-e-ishq mein taasir dekhi hai har ik shai mein nazar aane lagi hai aap ki surat na jaane kis nazar se aap ki tasvir dekhi hai kahaan se laaegaa vo qais-o-lailaa kaa bharam ai dil ye maanaa tu ne husn-o-ishq ki tasvir dekhi hai palaT jaaegi khud zor-e-qayaamat apnaa dikhlaa kar agar barq-e-tapaan ne hammat-e-taamir dekhi hai hamaari khaak-e-marqad har taraf gulshan mein bikhraa do ki ham ne dil-jalon ki khaak mein iksir dekhi hai sitam-dida nigaahein kah rahi hain vaahima hogaa jo main ne ik shagufta khvaab ki taabir dekhi hai na jaane aaj-kal kyaa ho gayaa hai 'asr' ko hamdam guzaarish jo bhi hoti hai bahut dil-gir dekhi hai"
M
Mohammad Naqi Rizvi Asr
Quote
"be-khudi mein jab tiri mahfil mein divaane gae ahl-e-dil ahl-e-havas ke farq pahchaane gae kaise kaise haal mein dekhaa janaab-e-shaikh ko mahfil-e-rindaan mein jab bhi vaaz farmaane gae mai-kash-e-aavaara is duniyaa se kyaa uTh kar gayaa mai gai jaam-o-subu saaqi-o-mai-khaane gae ai hasinaan-e-jahaan ahl-e-havas se hoshiyaar varna husn-o-'ishq se marbut afsaane gae faisla-kun kis qadar thi haae zaalim ki adaa dil-jigar qalb-o-nazar ke saare afsaane gae apne apne bas ki baatein ahl-e-mahfil jaan lein sham'-e-mahfil ke qarin phir liije parvaane gae zindagi-bhar 'asr' go rindon ke ham-mashrab rahe phir bhi divaanon mein farzaane se gardaane gae"
M
Mohammad Naqi Rizvi Asr
Quote
"nigaah-e-lutf se teri kahin jo ham milte hamaari ziist ke shaam-o-sahar baham milte hamein fareb-e-khirad ne Dubo diyaa varna hamaare jaam se khud aa ke jaam-e-jam milte kisi ke dard pe hansnaa kisi ke gham mein khushi ye lamhe kaash zamaane ko kam se kam milte na hote ham to zamaane ki aagahi ki qasam na lauh milti na tum ko kahin qalam milte sar-e-niyaaz ki azmat ke raaz jab khulte dar-e-butaan se nishaan-e-dar-e-haram milte tamaam-umr ganvaa di talaash mein lekin khudaa na miltaa na miltaa kahin sanam milte kalaam-e-'asar' ki arzish nahin zamaane mein kahin jo hoti to halke se kuchh varam milte"
M
Mohammad Naqi Rizvi Asr