SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"junun-e-ishq jise sar-phiraa banaa degaa pahaaD kaaT ke vo raasta banaa degaa khumaar-e-husn salaamat rakhe khudaa us kaa jahaan vo chaahe vahaan mai-kadaa banaa degaa usi ke qabza-e-qudrat mein hain sabhi ke dil vo jis ko chaahe use paarsaa banaa degaa ghiraa huaa mujhe dekhegaa jab nadaamat mein vo meri aah ko harf-e-duaa banaa degaa miraa zamir hi ab meraa rahnumaa Thahraa ye har maqaam pe mujh ko baDaa banaa degaa jo dekh legaa tumhein koi manchalaa mausam tumhaari zulf se kaali ghaTaa banaa degaa tu dusron se hai bartar na ye samajh 'rahbar' ye e'tibaar tujhe khokhlaa banaa degaa"
Moid Rahbar LakhnaviMoid Rahbar Lakhnavi
Quote
"apne maazi ko charaaghon mein basar ham ne kiyaa kaT gai raat to didaar-e-sahar ham ne kiyaa sirf jangein hi nahin jiiti hain hain is duniyaa mein maarka ishq ke maidaan kaa bhi sar ham ne kiyaa dekhne vaalon ki hairat kaa Thikaana na rahaa ek patthar ko jo chamkaa ke guhar ham ne kiyaa chaand mein aks nazar aayaa hai teraa jab se husn vaale tujhe manzur-e-nazar ham ne kiyaa kaun sach boltaa hai zaalim-o-jaabir ke khilaaf kaam duniyaa mein ye be-khauf-o-khatar ham ne kiyaa bhuul paanaa use aasaan to nahin thaa yaaro kaam ye thoDaa saa mushkil thaa magar ham ne kiyaa tab kahin jaa ke ghazal rang hai laai 'rahbar' sirf ashaar mein jab khun-e-jigar ham ne kiyaa"
Moid Rahbar LakhnaviMoid Rahbar Lakhnavi
Quote
"ramz-e-hayaat aalam-e-faani mein kho gayaa meraa vajud naql-e-makaani mein kho gayaa kyaa jaane kyaa kashish thi tumhaare kalaam mein jis ne sunaa vo lafz-o-maaani mein kho gayaa jo duur tak nahin the vahi ab hain saamne kirdaar meraa us ki kahaani mein kho gayaa dariyaa se bhi kahin koi sailaab jab uThaa vo bhi in aansuon ki ravaani mein kho gayaa jo kuchh kahaa nazar ne nazar se sune vo kaun har shakhs guftugu-e-lisaani mein kho gayaa duniyaa-e-ilm-o-fan mein jo haasil thaa kal use saaraa kamaal charb-zabaani mein kho gayaa ehsaas phir zaifi mein 'rahbar' huaa unhein lutf-e-hayaat jin kaa javaani mein kho gayaa"
Moid Rahbar LakhnaviMoid Rahbar Lakhnavi
Quote
"dasht-e-takhayyulaat mein jab bhi safar huaa jaane kahaan kahaan se hamaaraa guzar huaa logo ki talkhiyon kaa kuchh aisaa asar huaa dil ke har ek goshe mein raqs-e-sharar huaa us ki taraf se main to huaa be-khabar magar meri taraf se vo na kabhi be-khabar huaa bigDi hai aisi shakl havaadis ki maar se hairaan aaina bhi mujhe dekh kar huaa ik baar hi to kaandhe pe rakkhaa thaa us ne sar phir aisaa ittifaaq kahaan 'umr bhar huaa jis ki nazar mein vusat-e-khvaab-o-khayaal thi us kaa vujud markaz-e-ahl-e-nazar huaa pahle to ik makaan ki surat hi thaa faqat tashrif aap laae to ghar meraa ghar huaa us ko hamaari dasht-navardi se hai khushi is se gharaz nahin ki koi dar-ba-dar huaa sab ki samajh mein aataa kahaan hai ye 'ilm-o-fan jis ne samajh liyaa use vo dida-var huaa 'rahbar' tavil 'umr bhi jiine se faiz kyaa kuchh maqsad-e-hayaat na puuraa agar huaa"
Moid Rahbar LakhnaviMoid Rahbar Lakhnavi
Quote
"jo tamaam umr ban kar miraa hausla rahi hai vahi aaj meri ghairat mujhe aazmaa rahi hai miri fikr jaane mujh ko kahaan le ke jaa rahi hai ki qadam qadam pe manzil sar-e-raah aa rahi hai nahin chhoDti hai mujh ko kisi moD par ye duniyaa main ise rulaa rahaa huun ye mujhe rulaa rahi hai tu ye jaantaa hai phir bhi nahin fikr aakhirat ki tiri maut rafta rafta tire paas aa rahi hai jo ab aa gae ho tum to mujhe chhoD kar na jaanaa ki tumhaare bin ye hasti baDi be-maza rahi hai miri zindagi ke maalik main ye tujh se puchhtaa huun mujhe kyon jahaan mein bhejaa miri kyaa khataa rahi hai ye na ho ki vaqt-e-aakhir rahe dil ki baat dil mein miri jaan ab to aa jaa miri jaan jaa rahi hai jo tumhein milaa hai mansab use daaimi na samjho kisi ek ki hukumat yahaan kab sadaa rahi hai mujhe ab ye lag rahaa hai vo khizaan thi Thiik 'rahbar' ye bahaar kaise kaise nae gul khilaa rahi hai"
Moid Rahbar LakhnaviMoid Rahbar Lakhnavi
Quote
"ai ghazal teri nazar jab se utaari ham ne rakh diyaa naam tiraa raaj-kumaari ham ne is liye gham ko banaa rakkhaa hai apnaa saathi tujh ko de di hai khushi saari ki saari ham ne dil ke jazbaat zamaane ko bataane ke liye sher-goi kaa safar rakkhaa hai jaari ham ne dard-e-furqat mein na so paaoge ab chain se tum niind aankhon se churaa li hai tumhaari ham ne jo kahaa tujh se akele mein kahaa ai zaalim aabru kab tiri mahfil mein utaari ham ne naqd hai ishq kaa saudaa ye huaa jab maalum is mein rakkhi hi nahin koi udhaari ham ne hain kahaan jin pe adab kaa thaa kabhi daar-o-madaar ab to stage pe dekhe hain madaari ham ne ye haqiqat hai tumhein koi nahin puchhegaa kyaa karoge jo kabhi toD di yaari ham ne un se bichhDe hain to phir niind na aai 'rahbar' taare gin gin ke har ik raat guzaari ham ne"
Moid Rahbar LakhnaviMoid Rahbar Lakhnavi
Quote
"aise jazbaat mein lahje ko na patthar kiije guftugu mujh se zaraa aap sambhal kar kiije ye na ho aap ki tahrir hi baaghi ho jaae zulm itnaa bhi na qirtaas-o-qalam par kiije mujh se ranjish hai to maidaan mein aa jaaiye aap meri tasvir ke TukDe na bahattar kiije meraa daavaa hai ki haalaat badal jaaeinge saamnaa aap jo haalaat kaa DaT kar kiije chaahte aap hain jo zehn kushaada rakhnaa bughz-o-nafrat ke khayaalaat ko baahar kiije dusron par to karam aap kaa rahtaa hai magar ik nazar meri bhi jaanib mire dilbar kiije baat banti hai mohabbat se bhi aksar 'rahbar' dil mein paivast na alfaaz ke nashtar kiije"
Moid Rahbar LakhnaviMoid Rahbar Lakhnavi
Quote
"khud ko kabhi jo khud se milaanaa paDaa hamein chehre ke paas aaina laanaa paDaa hamein tanhaaiyon kaa dard bhulaane ke vaaste khud apne ghar mein shor machaanaa paDaa hamein muddat ke baad ho gayaa jab un se saamnaa naakaam hasraton ko jagaanaa paDaa hamein is dasht-e-kaaenaat mein jiine ke vaaste soz-e-gham-e-hayaat bhulaanaa paDaa hamein ban jaae phir na ek tamaasha ye soch kar duniyaa se apnaa dard chhupaanaa paDaa hamein kuchh tirgi-pasand kal aae the is liye basti kaa har charaagh bujhaanaa paDaa hamein suraj kaa zulm aur baDhegaa ye jab sunaa aangan mein ek peD lagaanaa paDaa hamein aisaa bhi vaqt aalam-e-ghurbat mein aa gayaa bachchon ko bhuke peT sulaanaa paDaa hamein 'rahbar' hamaare vaaste manzil nahin chali manzil ki samt chal ke khud aanaa paDaa hamein"
Moid Rahbar LakhnaviMoid Rahbar Lakhnavi
Quote
"tumhaare honT jin ke zikr ki garmi se jalte hain hamaare jaise divaane unhin raahon pe chalte hain jinhein qirtaas par laaun to ik hangaama ho jaae shab-e-tanhaai mein aksar kuchh aise sher Dhalte hain bataao chain se kaise rahein ham aisi vaadi mein jahaan gulshan ke rakhvaale hi kaliyon ko masalte hain tire aage na apnaa sar jhukaaein to kahaan jaaein ki ham roz-e-azal se hi tire TukDon pe palte hain machal jaataa hai dil vaise hi tum ko dekhne ke baad khilaunaa dekh kar jis tarah se bachche machalte hain pahunchti hai maqaam-e-intihaa par bandagi jis dam hamaare paanv ki Thokar se bhi chashme ubalte hain tumhaari rahbari qaaem rahegi phir bhi ai 'rahbar' nikal jaane do kuchh logon ko gar aage nikalte hain"
Moid Rahbar LakhnaviMoid Rahbar Lakhnavi