SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMoin Ahmed Aazad(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"agarche husn kabhi ham pe teri zaat khule hamaare saamne asraar-e-kaaenaat khule yaqinan ek din us par guzar ke dekheinge kabhi jo 'arz-e-tamannaa kaa pul-siraat khule na jaane kitne hi dil muntazir khaDe hain yahaan labon pe us ke dabi hai abhi jo baat khule kai baras se muqaffal thiin khvaahishein dil mein mukhaatab aap ke ye baab-e-khvaahishaat khule koi to pukhta vasila ho mere chaaraagar girah dilon ki khule to na be-sabaat khule main chaahtaa thaa ki vo dauD kar lipaT jaae kabhi dikhe hi nahin us ko mere haath khule tumhaare husn ki harkat koi na zaae' ho tumhaari zulf miri chashm saath saath khule ghamon ki qaid mein 'aazaad' phans gayaa huun main kabhi to kaash koi surat-e-najaat khule"
Moin Ahmed AazadMoin Ahmed Aazad
Quote
"hijr aur vaslaton mein uljhaa hai dil ye kin uljhanon mein uljhaa hai dard hamdard DhunDhtaa hai magar har koi masalon mein uljhaa hai kuchh dinon se nazar nahin aayaa chaand kin baadalon mein uljhaa hai ek dil hai miraa magar ye bhi aap ki hasraton mein uljhaa hai us ko fursat nahin ki vo mere qatl ki saazishon mein uljhaa hai gham khushi kuchh nahin samajhte hain tu bhi kyaa be-hison mein uljhaa hai dekh kar kuchh samajh nahin aataa kaun kin koshishon mein uljhaa hai har khushi gham hai aaj shahron mein aur dukh bastiyon mein uljhaa hai uf ye 'aazaad' bhi hai divaana apne hi qaatilon mein uljhaa hai"
Moin Ahmed AazadMoin Ahmed Aazad
Quote
"agarche husn kabhi ham pe teri zaat khule hamaare saamne asraar-e-kaaenaat khule yaqinan ek din us par guzar ke dekheinge kabhi jo arz-e-tamanna kaa pul-siraat khule na jaane kitne hi dil muntazir khaDe hain yahaan labon pe us ke dabi hai abhi jo baat khule kai baras se muqaffal thiin khvaahishein dil mein mukhaatab aap ke ye baab-e-khvaahishaat khule koi to pukhta vasila ho mere chaaraagar girah dilon ki khule to na be-sabaat khule main chaahtaa thaa ki vo dauD kar lipaT jaae kabhi dikhe hi nahin us ko mere haath khule tumhaare husn ki harkat koi na zaae' ho tumhaari zulf miri chashm saath saath khule ghamon ki qaid mein 'aazaad' phans gayaa huun main kabhi to kaash koi surat-e-najaat khule"
Moin Ahmed AazadMoin Ahmed Aazad
Quote
"pankh katar kar mujh ko dilbar pheink diyaa ambar se dharti pe laa kar pheink diyaa main to thaa aabaad nasheman par tum ne ziist ko meri kar ke banjar pheink diyaa apne aap ko raushan kar ke phir us ne tiili saa mujh ko sulgaa kar pheink diyaa jholi phailaai phulon ki khvaahish mein meri samt uThaa kar patthar pheink diyaa pahle pyaar jataayaa mujh par khuub us ne phir zaalim ne mujh par khanjar pheink diyaa aap ki izzat ki khaatir dekho ham ne apne sar kaa taaj zamin par pheink diyaa"
Moin Ahmed AazadMoin Ahmed Aazad
Quote
"mandi mein mahngaa saamaan sanbhaale ham baiThe hain dil mein armaan sanbhaale ham aankhon mein sailaab ki gardish jaari hai aur siine mein hain tufaan sanbhaale ham honTon par muskaan sajaae baiThe hain kitne honTon ki muskaan sanbhaale ham ulfat ke baazaar mein bechi binaai lauTe hain phir bhi nuqsaan sanbhaale ham qasr mubaarak ho tum ko ye khushiyon kaa achchhe se hain dil viraan sanbhaale ham majburi hi baazigar ki himmat hai rassi par chalte hain dhyaan sanbhaale ham matlab ki is duniyaa mein bhi jiite hain jaise taise apni jaan sanbhaale ham zard hue patton ki qismat kyaa aakhir Tuut gae shaakhon kaa maan sanbhaale ham us ke kuche mein har shakhs khudaa thaa so lauT aae apne ausaan sanbhaale ham mazlumon ki chikhein sunte hain 'aazaad' bahron ki basti mein kaan sanbhaale ham"
Moin Ahmed AazadMoin Ahmed Aazad
Quote
"ulfat ki choT aah-o-fughaan siskiyaan tamaam vo mere naam kar gae bechainiyaan tamaam zehn-o-jigar mein jab bhi machalte hain zalzale tang aa ke chikh paDtin hain khaamoshiyaan tamaam rakkheinge kab talak mujhe yunhi qataar mein sun lijiye huzur miri arziyaan tamaam nafrat ko apne qalb se baahar nikaaliye dariyaa mein pheink aaiye ye barchhiyaan tamaam phulon mein teraa rang havaaon mein hai mahak jalvon mein tere jazb hain raanaaiyaan tamaam shaayad abhi bhi aap ko fursat nahin mili rakkhi hain taaqche pe meri chiTThiyaan tamaam main ne jo ik shajar ki hifaazat sanbhaal li mere hi samt ho gaiin phir aandhiyaan tamaam ik khvaab dekhtaa huun main 'aazaad' roz-o-shab mahfuz hai vatan ki mire beTiyaan tamaam"
Moin Ahmed AazadMoin Ahmed Aazad
Quote
"dard-o-alam ki bhuuk badan se nichoD le ye jism meraa aakhiri chaadar na oDh le aa is se qabl ruuh badal Daale aashiyaan dil phir kahin umiid se rishta na toD le kartaa nahin main zikr bhi haalaat-e-haal kaa phir tu nadaamaton ke sabab sar na phoD le aisaa na ho main chhoD ke duniyaa tujhe milun aisaa na ho ki tu bhi kahin munh hi moD le kah de to main dikhaa duun tujhe dil ke aable ghabraa ke phir na tu kahin bhaunein sikoD le 'aazaad' TuuT jaae na saanson kaa silsila kis ne kahaa thaa us ko tu saanson se joD le"
Moin Ahmed AazadMoin Ahmed Aazad
Quote
"in hasraton ki laash ko dafnaa rahaa huun main ai zindagi qarib tire aa rahaa huun main dushman bhi ho to hans ke lagaaun use gale tanhaaiyon se is qadar uktaa rahaa huun main nazrein churaae mujh se nikalte hain baa-khudaa fitna-garon ki aankh kaa kaanTaa rahaa huun main aavaargi na kaam kuchh aaegi be-shuur khaana-ba-dosh dil ko ye samjhaa rahaa huun main roti rahi hai chashm-e-pur-ummid nisf shab pahron tire khayaal se uljhaa rahaa huun main aazaad huun main Thiik se pahchaaniye mujhe be-chehragi kaa aap ki chehra rahaa huun main"
Moin Ahmed AazadMoin Ahmed Aazad
Quote
"khinch-taan ke baat ko lambaa karnaa hai us ko to har haal mein jhagDaa karnaa hai duniyaa se anjaan hai vo paagal laDki us ko bas titli kaa pichhaa karnaa hai koi to tajviz karo mere yaaro mujh ko apne dil kaa saudaa karnaa hai ishq kamaayaa dard sahaa Thokar khaai main ne soch liyaa ab dhoka karnaa hai haal hamaaraa puchh rahe ho tum kyunkar zinda hain ham khair tumhein kyaa karnaa hai karne ko kuchh kaam nahin thaa kyaa karte ishq kiyaa ab ishq kaa nauha karnaa hai tujh se bhi ai ziist koi ummid nahin tu ne bhi har roz tamaasha karnaa hai apni aankhein bech rahaa huun saste mein kis ko ab khvaabon kaa dhandaa karnaa hai kaise main 'aazaad' badal luun fitrat-e-ishq phulon kaa sheva to mahkaa karnaa hai"
Moin Ahmed AazadMoin Ahmed Aazad