SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kaash maqbul ho duaa-e-adu kyaa karun vo bhi mustajaab nahin ab to us chashm-e-tar kaa charchaa hai zikr-e-dariyaa nahin sahaab nahin jama tufaan-o-chashm-e-tar masraf ab masaarif kaa kuchh hisaab nahin dho diyaa sab ko dida-e-tar ne vo nahin dars vo kitaab nahin ishq-baazi kaa munh chiDaanaa hai aur vo mausam nahin shabaab nahin teri aankhon ke daur mein kyaa kyaa sehr rusvaa nahin kharaab nahin mukhtasar haal-e-chashm-o-dil ye hai us ko aaraam us ko khvaab nahin jo saraapaa-e-yaar 'aazurdaa' tere divaan kaa intikhaab nahin"
M
Mufti Sadruddin Aazurda
Quote
"mujh saa bhi koi ishq mein hai bad-gumaan nahin kyaa rashk dekh kar mujhe rang-e-khizaan nahin aankhon se dekh kar tujhe sab maannaa paDaa kahte the jo hamesha chunein hai chunaan nahin uTh kar sahar ko sajda-e-mastaana ke sivaa taaat qubul khaatir-e-pir-e-mughaan nahin afsurda dil ho dar dar-e-rahmat nahin hai band kis din khulaa huaa dar-e-pir-e-mughaan nahin ai jazb-e-shauq rahm ki madd-e-nazar hai yaar jaa sakti vaan talak nigah-e-naa-tavaan nahin shab us ko haal-e-dil ne jataayaa kuchh is tarah hain lab to kyaa nigah bhi hui tarjumaan nahin kaTti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaaq shaayad ki gardish aaj tujhe aasmaan nahin achchhaa hui nikal gai aah-e-hazin ke saath ik qahr thi balaa thi qayaamat thi jaan nahin jaane hai dil falak kaa miri sakht-jaaniyaan un naa-tavaaniyon ko pahunchti tavaan nahin kahtaa huun us se kuchh main nikaltaa hai munh se kuchh kahne ko yuun to haigi zabaan aur zabaan nahin mahkaa huaa hai bait-e-huzan dekhnaa koi aayaa nasim-e-misr kaa ho kaarvaan nahin lab band huun to rauzan-e-sina ko kyaa karun thamtaa to mujh se naala-e-aatish-inaan nahin kyaa kuchh na kar dikhaaun par ik din ke vaaste miltaa bhi ham ko mansab-e-haft-aasmaan nahin vo shaakh-e-nakhl-e-khushk huun main kunj-e-baagh mein dekhe hai bhuul kar bhi jise baaghbaan nahin be-vaqt aae dair mein kyaa shorishein karein ham pir-o-pir-e-mai-kada bhi naujavaan nahin 'aazurda' ne paDhi ghazal ik mai-kade mein kal vo saaf-tar ki sina-e-pir-e-mughaan nahin"
M
Mufti Sadruddin Aazurda
Quote
"agar ham na the gham uThaane ke qaabil to kyuun hote duniyaa mein aane ke qaabil karun chaak siina to sau baar lekin nahin daagh dil ye dikhaane ke qaabil milein tum se kyunkar rahe hi nahin ham bulaane ke qaabil na aane ke qaabil chhuTe bhi qafas se to kis kaam ke hain nahin jab chaman tak bhi jaane ke qaabil ba-juz us ke the khaak pahle bhi ai charkh na the khaak mein phir milaane ke qaabil kiyaa tark-e-duniyaa main jab to ye samjhe ki duniyaa nahin dil lagaane ke qaabil vo aae dam-e-naza kyaa kah sakein nahin honT tak bhi hilaane ke qaabil khudaayaa ye ranj aur ye naa-suburi na the ham to is aazmaane ke qaabil rahe ham na kuchh mustafaa-khaan ke gham mein na fikr-e-sukhan ne paDhaane ke qaabil na chhoDeinge mahbub-e-ilaahi ke dar ko nahin go ham is aastaane ke qaabil hamein qaid karne se kyaa nafa sayyaad na the daam mein ham to laane ke qaabil na baal munaqqash na par-haa-e-rangin na aavaaz-e-khush ke sunaane ke qaabil hue hain vo naa-qqabilon mein shumaar ab jinhein maante the zamaane ke qaabil vo 'aazurdaa' jo khush-bayaan the nahin ab ishaare se bhi kuchh bataane ke qaabil"
M
Mufti Sadruddin Aazurda
Quote
"ye kah ke rakhna Daaliye un ke hijaab mein achchhe bure kaa haal khulegaa naqaab mein yaarab vo khvaab haq mein mire khvaab-e-marg ho aae vo mast khvaab agar mere khvaab mein tahqiq ho to jaanun ki main kyaa huun qais kyaa likkhaa huaa hai yuun to sabhi kuchh kitaab mein main aur zauq-e-baada-kashi le gaiin mujhe ye kam-nigaahiyaan tiri bazm-e-sharaab mein hain donon misl-e-shisha pa saamaan-e-sad-shikast jaisaa hai mere dil mein nahin hai habaab mein ye umr aur ishq hai 'aazurdaa' jaa-e-sharm hazrat ye baatein phabti thiin ahd-e-shabaab mein"
M
Mufti Sadruddin Aazurda
Quote
"naalon se mere kab tah-o-baalaa jahaan nahin kab aasmaan zamin-o-zamin aasmaan nahin qaatil ki chashm-e-tar na ho ye zabt-e-aah dekh juun shama sar kaTe pe uThaa yaan dhuaan nahin ai bulbulaan-e-shoala-dam ik naala aur bhi gum-karda-raah-e-baagh huun yaad aashiyaan nahin is bazm mein nahin koi aagaah varna kab vaan khanda zer-e-lab udhar ashk-e-nihaan nahin ai dil tamaam nafa hai saudaa-e-ishq mein ik jaan kaa ziyaan hai so aisaa ziyaan nahin naaz-o-nigah ravish sabhi laagu hain jaan ke hai kaun adaa vo teri ki jo jaan-sitaan nahin milnaa tiraa ye ghair se ho bahr-e-maslahat ham ko to saadgi se tiri ye gumaan nahin aazurda tak bhi kuchh na hai us ke ru-ba-ru maanaa ki aap saa koi jaadu-bayaan nahin"
M
Mufti Sadruddin Aazurda
Quote
"hai muft dil ki qimat agar ik nazar mile ye vo mataaa hai ki na lein muft agar mile insaaf kar ki laaun main phir kaun saa vo din mahshar ke roz bhi na jo daad-e-jigar mile parvaana-vaar hai had-e-parvaaz shoala tak jalne hi ke liye mujhe ye baal-o-par mile aane se khat ke jaate rahe vo bigaaD sab ban aai ab to hazrat-e-dil lo khizr mile kyaa shukr kaa maqaam hai marne ki jaahe dil kuchh muztarib se aaj vo bairun-e-dar mile aalam kharaab hai na nikalne se aap ke niklo to dekho khaak mein kyaa ghar ke ghar mile hai shaam-e-hijr aaj o zaalim o falak gardish vo kar ki shaam se aa kar sahar mile go paas ho pa chain to hai is bigaaD mein kyaa lutf thaa laDe vo idhar aur udhar mile dil ne milaa diin khaak mein sab vaza-daariyaan juun juun ruke vo milne se ham beshtar mile TuuTe ye bakhiya zakhm kaa hamdam kahin se laa khanjar mile kaTaar mile neshtar mile thaa asl main muraad Dubonaa jahaan kaa qaabil samajh ke goyaa hamein chashm-e-tar mile us ki gali mein le gae 'aazurdaa' ko ise di thi duaa ye kis ne ki jannat mein ghar mile"
M
Mufti Sadruddin Aazurda
Quote
"aankh uThaai nahin vo saamne sau baar hue hijr mein aise faraamush-gar-e-didaar hue kaamil us firqa-e-zuhhaad mein uThaa na koi kuchh hue to yahi rindaan-e-qadah khvaar hue na uThi baiTh ke khaak apni tire kuche mein ham na yaan dosh-e-havaa ke bhi kabhi yaar hue subh le aaina us but ko dikhaayaa ham ne raat aghyaar se milne ke jo inkaar hue kuchh taajjub nahin gar ab ke falak TuuT paDe aaj naale jo koi aur bhi do-chaar hue misr mein aaj tujhe dekh ke pachhtaae hain saada-lauhi se jo yusuf ke kharidaar hue mubtazil main hi to huun aap jo kahiye sach hai raat jhagDe to mujhi par sar-e-baazaar hue ye hain 'aazurdaa' jo kahte hue shaian-allaah aaj daryuza-gar-e-khaana-e-khummar hue"
M
Mufti Sadruddin Aazurda
Quote
"kyaa jaano jo asar hai dam-e-shoala-taab mein ye vo hai barq aag lagaa de naqaab mein haal is nigah kaa us ke saraape mein kyaa kahun mor-e-zaif phans gai jaa shahd-e-naab mein zikr-e-vafaa vo sunte hi majlis se uTh gae kuchh guftugu hi Thiik na thi aise baab mein kyaa puchhte ho chaara-e-hu az-khvesh-e-raftagaan so jaa se chaak jaama hai sozan khullaab mein aavaaz-e-sur tere shahidon ko roz-e-hashr lagti thi ik bhanak si to kaanon ko khvaab mein jo dekhte hi us se ye guzraa kabhu nahin yaaqub ke khayaal o zulekhaa ke khvaab mein har har roein se khirqa ke mere hai khun-chakaan ghote to sau diye use zamzam ke aab mein is chashm-e-ashk-baar ke kyunkar ho saamne rone kaa maadda hi nahin hai sahaab mein qismat to dekh kholi girah kuchh to rah gae naakhun hamaare TuuT ke band-e-naqaab mein har-vaqt aarzu-e-azaab-e-jahim hai haathon se hijr ke huun main kyaa kyaa azaab mein"
M
Mufti Sadruddin Aazurda
Quote
"shab josh-e-girya thaa mujhe yaad sharaab mein thaa gharq main tasavvur-e-aatish se aab mein yaarab vo khvaab-e-haq mein mire khvaab marg ho aave vo mast-e-khvaab agar mere khvaab mein yaarab ye kis ne chehre se ulTaa naqaab jo sau rakhne ab nikalne lage aaftaab mein kyaa aql mohtasib ki ki laayaa hai khinch kar saudaa-zadon ko mahkama-e-ehtisaab mein ham jaan-o-dil ko de chuke mauhum umiid par ab ho so ho Dubo de ye kashti sharaab mein kuchh bhi lagi na rakkhi Dubo di rahi sahi dil ko na Daalnaa thaa savaal-o-javaab mein ulfat mein un ki ab to hai jaanon ki paD gai dil kis shumaar mein hai jigar kis hisaab mein the justuju mein roz-e-azal jaa-e-dard ki aayaa pasand dil miraa is intikhaab mein"
M
Mufti Sadruddin Aazurda
Quote
"ye kah ke rakhne Daaliye un ke hijaab mein achchhe bure kaa haal khule kyaa naqaab mein khurshid-zaar hove zamin de jhaTak zaraa sau aaftaab hain tire gard-e-naqaab mein be-etidaalyaan miri zarf-e-tunak se hain thaa naqs kuchh na jauhar-e-sahbaa-e-naab mein uThne mein subh ke ye kahaan sar-giraaniyaan zaahid ne mai kaa jalva ye dekhaa hai khvaab mein tahqiq ho to jaanun ki main kyaa huun qais kyaa likkhaa huaa hai yuun to sabhi kuchh kitaab mein main aur zauq-e-baada-kashi le gaiin mujhe ye kam-nigaahiyaan tiri bazm-e-sharaab mein imdaad-e-chashm kyaa ho lagi dil ko aag jab jalne ke baad khuun nahin rahtaa kabaab mein hain donon misl-e-shisha ye saamaan-e-sad-shikast jaisaa hai mere dil mein nahin hai habaab mein anvaar-e-fikr se na huaa kuchh bhi inkishaaf jitnaa baDhe ham aur baDhi jaa hijaab mein ye umr aur ishq hai 'aazurda' jaa-e-sharm hazrat ye baatein phabti hain ahd-e-shabaab mein"
M
Mufti Sadruddin Aazurda
Quote
"pilaa saaqiyaa mai-khunuk aab mein ki thamti nahin tauba mahtaab mein gayaa diin kaisaa huzur-e-namaaz vo yaad aae abru jo mehraab mein mile kuchh to zakhm-e-jigar kaa maza bujhaa kar rakhaa tegh zahraab mein ilaahi falak jis se phaT jaae de vo taasir aah-e-jigar-taab mein buland aashiyaanon pe bijli giri jo niche the Duube vo sailaab mein vo uryaan mein sarmaa mein thi jin ki shab guzarti samor aur sanjaab mein na aae hon aazurda lenaa khabar paDi dhuum ye saare punjab mein"
M
Mufti Sadruddin Aazurda
Quote
"naalon se mere kab tah-o-baalaa jahaan nahin kab aasmaan zamin o zamin aasmaan nahin aankhon se dekh kar tujhe sab maannaa paDaa kahte the jo hamesha chunin hai chunaan nahin us bazm mein nahin koi aagaah-e-dard kab vaan khanda zer-e-lab idhar ashk-e-nihaan nahin afsurda-dil na ho dar-e-rahmat nahin hai band kis din khulaa huaa dar-e-pir-e-mughaan nahin lab band hon to rauzan-e-sina ko kyaa karun thamtaa to mujh se naala-e-aatish-inaan nahin milnaa tiraa ye ghair se ho bahr-e-maslahat ham ko to saadgi se tiri ye gumaan nahin ai dil tamaam nafa hai saudaa-e-ishq mein ik jaan kaa ziyaan hai so aisaa ziyaan nahin be-vaqt aae dair mein kyaa shorishein karein ham piir o pir-e-mai-kada bhi naujavaan nahin kaTti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaaq shaayad ki gardish aaj tujhe aasmaan nahin 'aazurdaa' honT tak na hile us ke ru-ba-ru maanaa ki aap saa koi jaadu-bayaan nahin"
M
Mufti Sadruddin Aazurda