SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNafees Ghazipuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"har uljhan se agar niklaa nahin vo bichhaD jaae na khud se bhi kahin vo nadi aur pyaas donon darmiyaan hain jahaan huun muddaton se main vahin vo nasha kaisaa hai us ke dekhne mein suraahi vo nahin saaghar nahin vo use kyon naaz hai zor-e-numu par main baadal huun agar bhigi zamin vo main jaa saktaa huun us ko chhoD kar bhi abhi is baat ko samjhaa nahin vo sitaaro kyon larazte ho abhi se abhi to raqs ko uTThaa nahin vo achaanak hi uThegaa koi tufaan kahin honge 'nafis' aap aur kahin vo"
Nafees GhazipuriNafees Ghazipuri
Quote
"aankhon mein khvaab dil mein umid-e-sahar bhi hai aur saamne charaagh-e-sar-e-rahguzar bhi hai raftaar kaaenaat ki kuchh tez-tar bhi hai ho jaae haadisa na koi ab ye Dar bhi hai mehvar pe apne ghume hai raqqaasa-e-zamin saanson ke zer-o-bam kaa ruton par asar bhi hai aao palaT ke chalte hain phir bazm-e-yaar mein kyaa jaa ke chhoD aae vahaan kuchh khabar bhi hai is fasl-e-gul mein Thahraa hai milnaa kisi se jab dar-pesh ham ko dasht-e-junun kaa safar bhi hai kyon chheDiye surud-e-gham-e-zist phir 'nafis' kaanTon se bach ke chaliye ki aisi Dagar bhi hai"
Nafees GhazipuriNafees Ghazipuri
Quote
"shaam ke gesu phaile hue the mahke mahke saae the ham sadiyon ke jaage hue the khvaab mein chal kar aae the shaam ke pichhle zaminon se jab suraj utraa ghaaTi mein tanhaai ke baDhte saae zahr kaa pyaala laae the TuuTe hue khvaabon ki kirchein aankhon mein chubhti hi rahin haath havaa ke ponchhte yuun to mere aansu aae the gham ki kheti suukh rahi thi dil ki dharti banjar thi chhaagal chhaagal aansu le kar tar karne vo aae the baiThe hue kuchh soch rahe the gaanv ke pipal ke niche bujhtaa huaa suraj thaa ham the Dhalti shaam ke saae the baarish ki ik buund ko tarsaa sahraa dil kaa ab ke 'nafis' kahne ko to pyaar ke baadal chaaron taraf hi chhaae the"
Nafees GhazipuriNafees Ghazipuri
Quote
"rasta bahut aasaan lagaa ham ko vahaan tak saae tiri palkon ke rahe saath jahaan tak kyaa hogaa agar Tuut gai niind hamaari ham aa to gae khvaab mein chal kar ke yahaan tak samjho to zaraa hoti hai kyaa pyaas ki shiddat aao to zaraa saath mire ju-e-ravaan tak kyaa so gae basti ke sabhi log sar-e-shaam kyon chhat pe kisi ghar ki nahin aaj dhuaan tak ab soch rahaa huun ye anaa toD hi Daalun laDtaa rahun parchhaain se main apni kahaan tak sar apnaa paTakti hain vahaan aaj bhi maujein pahunchaa hi nahin paani jahaan tishna-labaan tak ahbaab 'nafis' aap ko ab DhunDein bhi kyunkar sahraa mein to kho jaate hain qadmon ke nishaan tak"
Nafees GhazipuriNafees Ghazipuri
Quote
"haalaanki bhare ghar mein to ab koi nahin hai parchhaain koi Dar ke magar ab bhi vahin hai ye nashsha-e-gham mujh ko sanbhalne nahin detaa rakhtaa huun kahin paanv to paD jaataa kahin hai haath apne lapakte hain ki chhu lein mah-o-anjum paaon mein magar surat-e-zanjir zamin hai paDh saktaa agar ho to paDhe saaraa zamaana tu jis pe hai tahrir vo meri hi jabin hai ye dasht-o-daman kuchh bhi nahin hain mire aage phailaa huaa sahraa bhi mire zer-e-nagin hai lagtaa hai 'nafis' ab ki badal jaaegaa mausam ab shaam ke chehre pe udaasi bhi nahin hai"
Nafees GhazipuriNafees Ghazipuri
Quote
"taarikh ke auraaq se jab gard haTegi sachchaai ke chehre pe nazar bhi to paDegi suuli hai agar haq ke liye daur-e-khirad mein taqdir-e-junun paanv ko zanjir rahegi aataa hai tumhein zahr pilaanaa to pilaao ye pyaas hamaari na bujhi hai na bujhegi ye chaand ki kirnein ye hasin raat kaa jaadu dhaDkan abhi dil ki mire kuchh aur baDhegi ehsaas ne qurbat ke jagaa rakkhaa hai utnaa ab niind bhi shaayad miri aankhon mein chubhegi jab duur nahin mausam-e-gul daur-e-khizaan se ye gham ki siyah raat sahar mein bhi Dhalegi jaanaa hai kidhar kar lo 'nafis' ab ye ta'ayyun kuchh duur hi ye raahguzar saath chalegi"
Nafees GhazipuriNafees Ghazipuri
Quote
"khush-rang parinde aae hain mausam par gulon ke saae hain lo raqs ko ham bhi paanv mein zanjir pahan kar aae hain har samt fazaa mein halchal hai ik shor bapaa hai gulshan mein kuchh log qafas se chhuTe hain kuchh toD ke zindaan aae hain taariki phir taariki hai sunte sunte miT paaegi kuchh diip fasil-e-shab pe magar yaaron ne aaj jalaae hain is daur-e-jahaan mein ham-‘asro hai farq bahut in donon mein vo zakhm jo tum ne dekhe hain jo zakhm ki ham ne khaae hain vo subh ke darvaaze se abhi is shahr mein din ke aayaa hai phir shaam ke ruThe shahzaade ko log manaa kar laae hain kuchh daaere dil mein lahron ke uThte hain 'nafis' aakhir kyunkar is jhiil ke Thahre paani mein patthar ye kidhar se aae hain"
Nafees GhazipuriNafees Ghazipuri
Quote
"Dhal gai raat to nashsha bhi utar jaaegaa sochnaa ye hai junun apnaa kidhar jaaegaa sham'-e-ummid na rakh tez havaa mein varna jalte khvaabon kaa dhuaan aankh mein bhar jaaegaa honge raushan kisi dahliz pe aankhon ke charaagh shaam hote hi koi lauT ke ghar jaaegaa rang-o-bu vaqt ke sab saath hi uD jaaeinge manzar-e-did hi aankhon mein Thahar jaaegaa phir tujhe dekh ke socheinge kahin dekhaa hai nashsha chhaayaa hai jo aankhon pe utar jaaegaa raat jhuk jaaegi palkon pe 'nafis' aahista niind aankhon mein liye chaand guzar jaaegaa"
Nafees GhazipuriNafees Ghazipuri