Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Najeeb Ahmad
nishaan kisi ko milegaa bhalaa kahaan meraa
ki ek ruuh thaa main jism thaa nishaan meraa
har ek saans nayaa saal ban ke aataa hai
qadam qadam abhi baaqi hai imtihaan meraa
· · ·
Najeeb Ahmad
shab ke khilaaf barsar-e-paikaar kab hue
ham log raushni ke talabgaar kab hue
khushbu ki ghaat mein hain shikaari havaaon ke
jhonke magar kisi se giraftaar kab hue
· · ·
Najeeb Ahmad
ik vahm ki surat sar-e-divaar-e-yaqin hain
dekho to hain maujud na dekho to nahin hain
ham se kashish-e-mauja-e-raftaar na puchho
ham ahl-e-mohabbat to giraftaar-e-zamin hain
· · ·
Najeeb Ahmad
shab bhali thi na din buraa thaa koi
jaisaa ji ko tire lagaa thaa koi
ashk the kirchiyaan thiin aankhein thiin
aaine se umanD paDaa thaa koi
· · ·
Najeeb Ahmad
ai mah-e-hijr kyaa kahein kaisi thakan safar mein thi
ruup jo rahguzar mein the dhuup jo rahguzar mein thi
lafz ki shakl par na jaa lafz ke rang bhi samajh
ek khabar pas-e-khabar aaj ki har khabar mein thi
· · ·
Najeeb Ahmad
vahi raTe hue jumle ugal rahaa huun abhi
giraft-e-harf se baahar nikal rahaa huun abhi
vo ek tu ki havaa ki tarah guzar bhi chukaa
vo ek main ki faqat haath mal rahaa huun abhi
· · ·
Najeeb Ahmad
andhe badan mein ye sahar-aasaar kaun hai
tu bhi nahin to mujh mein sharar-baar kaun hai
vo kaun hai jo jaagtaa hai meri niind mein
asraar main huun saahab-e-asraar kaun hai
· · ·
Najeeb Ahmad
pairahan uD jaaegaa rang-e-qabaa rah jaaegaa
phuul ke tan par faqat aks-e-havaa rah jaaegaa
ham to samjhe the ki chaaron dar muqaffal ho chuke
kyaa khabar thi ek darvaaza khulaa rah jaaegaa
· · ·
Najeeb Ahmad
ishq-aabaad faqiron ki adaa rakhte hain
aur kyaa is ke sivaa ahl-e-anaa rakhte hain
ham tahi-dast kuchh aise bhi tahi-dast nahin
kuchh nahin rakhte magar paas-e-vafaa rakhte hain
· · ·
Najeeb Ahmad
zard patton ko darakhton se judaa honaa hi thaa
ham ki dariyaa hain samundar ki ghizaa honaa hi thaa
aur kab tak be-samar rakhti khizaan peDon ke haath
rut badal jaanaa thi ye jangal haraa honaa hi thaa
· · ·
Najeeb Ahmad
aasmaanon se zaminon pe javaab aaegaa
ek din raat Dhale yaum-e-hisaab aaegaa
mutmain aise ki har gaam yahi sochte hain
is safar mein koi sahraa na saraab aaegaa
· · ·
Najeeb Ahmad
yaqin ne mujh ko asir-e-gumaan na rahne diyaa
ki us ne rabt koi darmiyaan na rahne diyaa
miri nazar hi samundar ki aakhiri had thi
miri thakan ne mujhe par-fishaan na rahne diyaa
· · ·
Najeeb Ahmad
sar-e-niyaaz vo saudaa nazar nahin aataa
vo jaisaa pahle thaa vaisaa nazar nahin aataa
vo raat thi to basar ho gai bahar-surat
agar ye din hai to kaTtaa nazar nahin aataa
· · ·
Najeeb Ahmad
kuchh is ke sivaa khvaahish-e-saada nahin rakhte
ham tujh se bichhaDne kaa iraada nahin rakhte
kab dil ki taraf lauT ke aaeinge safine
sahraa ke bagule gham-e-jaada nahin rakhte
· · ·
Najeeb Ahmad
ek meri jaan mein aur ik lahar sahraaon mein thi
kuchh nukile sang the kuchh ret dariyaaon mein thi
kyaa huaa vo garm dopahron mein yakh honaa miraa
kyaa hui vo dhuup si lazzat ki jo chhaanv mein thi
· · ·
Najeeb Ahmad
ki khud insaan Dhaltaa jaa rahaa hai
khalanDraa saa koi bachcha hai dariyaa
samundar tak uchhaltaa jaa rahaa hai
na kuchh kahtaa na kuchh suntaa hai koi
· · ·
Najeeb Ahmad
zarurat kuchh ziyaada ho na jaae
samundar aur gahraa ho na jaae
ye dhun ye mauj le Duube na mujh ko
bagulaa gharq-e-sahraa ho na jaae
· · ·
Najeeb Ahmad
aasmaan suraj sitaare bahr-o-bar kis ke liye
ye safar kis ke liye rakht-e-safar kis ke liye
vo hare din vo bhare mausam to kab ke jaa chuke
haath phailaae khaDe hain ab shajar kis ke liye
· · ·
Najeeb Ahmad
khema-e-jaan ki tanaabon ko ukhaD jaanaa thaa
ham se ik roz tiraa gham bhi bichhaD jaanaa thaa
kaun se kaaj sanvarte hain tire hone se
kaun saa kaam na hone se bigaD jaanaa thaa
· · ·
Najeeb Ahmad
tiraa rang-e-basirat hu-ba-hu mujh saa nikal aayaa
tujhe main kyaa samajhtaa thaa magar tu kyaa nikal aayaa
zaraa saa kaam paDte hi mizaaj ik khaak-zaade kaa
qad-o-qaamat main gardun se bhi kuchh unchaa nikal aayaa
· · ·
Najeeb Ahmad
kiran to ghar ke andar aa gai thi
sunahri dhuup kyuun kajlaa gai thi
kuchh aisi be-hisi se pesh aayaa
ki meri be-kasi sharmaa gai thi
· · ·
Najeeb Ahmad
thakan se chuur badan dhuul mein aTaa sar thaa
main jab giraa to mire saamne miraa ghar thaa
tahi-e-samar shajar-e-khvaab kuchh niDhaal se the
zamin pe sukhi hui pattiyon kaa bistar thaa
· · ·
Najeeb Ahmad
naav khasta bhi na thi mauj mein dariyaa bhi na thaa
paar utartaa thaa magar tujh pe bharosa bhi na thaa
zindagi haath na de paai mire haathon mein
saath jaanaa bhi na thaa haath chhuDaanaa bhi na thaa
· · ·
Najeeb Ahmad
dil ko har gaam pe dhaDke se lage rahte hain
tujh ko kho dene ke khadshe se lage rahte hain
sar to kaT jaate hain jismon se magar sadiyon tak
khaak par khuun ke dhabbe se lage rahte hain
· · ·







