SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"na puchho saaghar-o-mai aur mai-khaanon pe kyaa guzri na ho saaqi to ye puchho ki mastaanon pe kyaa guzri na kah mutrib miri chup se tire gaanon pe kyaa guzri zaraa puchh apni taanon se mire kaanon pe kyaa guzri junun kahiye jise ik mauj-e-bahr-e-laa-shuuri hai koi farzaana kyaa samjhe ki divaanon pe kyaa guzri main tufaanon se laD-bhiD kar salaamat jab nikal aaya to ye meri balaa jaane ki tufaanon pe kyaa guzri vahi vahshat hai mere baad bhi jo mujh se pahle thi guzarnaa thi jo guzri mujh pe viraanon pe kyaa guzri jalaanaa thaa mujhe aur un ko jal kar khaak ho jaanaa ab is ki fikr kyaa hai shama parvaanon pe kyaa guzri agar patthar ke dil hotaa to sunte us kaa afsaana ki ahd-e-khusravi ke baad aivaanon pe kyaa guzri main un ki bazm mein chhup kar gayaa chhup kar nikal aaya khudaa jaane ki mere baad darbaanon pe kyaa guzri samajh vaale samajhte hain ki un par kyaa guzarti hai vo naadaan hai jo ye puchhe ki naa-daanon pe kyaa guzri tire dast-o-zabaan ki larzishein maa'lum hain zaahid magar ye to bataa tasbih ke daanon pe kyaa guzri hui vaabastagi jab aadam-o-havvaa ki jannat mein na puchho muntazir huron ke armaanon pe kyaa guzri jab insaanon ko ashraf kaa milaa tamgha to ye kahiye pahaaDon aur darakhton aur haivaanon pe kyaa guzri"
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi BadayuniNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni
Quote
"tumhaare aariz-o-lab ki misaal ban ke rahe havas hai gul ko ki saahib-jamaal ban ke rahe khudaa hi jaane mohabbat bhi kyaa qayaamat hai samaae dil mein to ji kaa vabaal ban ke rahe ye aarzu hai tum ab saamne bhi aa jaao bahut dinon mire dil mein khayaal ban ke rahe tamaam umr kaTi hai isi tamanna mein ki koi lamha-e-khush maah-o-saal ban ke rahe meraa nasib ki jab chain ki ghaDi aae nigaah-e-dost bhi 'ain-ul-kamaal ban ke rahe vahi hai baat jo sab ke gale utar jaae vahi sukhan hai jo sahr-e-hilaal ban ke rahe baDaa gharib-navaaz aur kaarsaaz hai tu hamaari bigDi bhi ai zul-jalaal ban ke rahe"
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi BadayuniNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni
Quote
"gham-e-ishq mein nahin jo kisi naam tak na pahunche nahin yaad naam vo bhi jo salaam tak na pahunche vo salaam hi nahin hai jo payaam tak na pahunche vo payaam hi nahin hai jo kalaam tak na pahunche vo kalaam hi nahin hai jo tamaam tak na pahunche vo tamaam hi nahin hai jo davaam tak na pahunche vo davaam hi nahin hai jo mudaam tak na pahunche vo mudaam hi nahin jo tire naam tak na pahunche ye khudaa hi jaane vaaiz ki hui namaaz puuri rahe mahv-e-sajda yuun ham ki salaam tak na pahunche vahi dil hai jo na chaahe sar-e-baam husn aae hai vahi nazar jo uTh kar lab-e-baam tak na pahunche tujhe sahl thaa ye saaqi koi jaam ham tak aataa hamein kuchh to hogi mushkil tire jaam tak na pahunche vo tumhaari raah Thahri na lage suraagh jis kaa ye hai raasta hamaaraa jo maqaam tak na pahunche tire naqsh-e-paa pe chalnaa na huaa kabhi mayassar hamin apni kaj-ravi se pa-e-gaam tak na pahunche ye kamaal-e-be-khudi hai ki natija-e-khudi hai tujhe DhunDte rahe yuun ki maqaam tak na pahunche main vo rind huun ki saaqi tiri bakhshishon ke chhinTe mire zauq-o-shauq-e-durd-e-tah-e-jaam tak na pahunche yahi aashiyaan qafas hai hamein is ki kyaa khushi hai ki ham apni be-pari se kabhi daam tak na pahunche miraa naama-e-mohabbat na paDhaa unhon ne puuraa mujhe rah gai ye hasrat mire naam tak na pahunche"
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi BadayuniNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni
Quote
"rakhtaa huun dil ko main gham-e-kaun-o-makaan se duur meraa jahaan hai kun-fayakun ke jahaan se duur bedaad kaa khayaal hai na khvaahish hai daad ki rahtaa huun main zamin se duur aasmaan se duur ik kunj-e-be-kasi hai miri manzil-e-sukun ye bhi ujaaD de to nahin aasmaan se duur khaamosh huun zamaana ke andaaz dekh kar dil se zabaan bhi duur hai dil bhi zabaan se duur shaayad mire yaqin se tum duur ho gae mumkin nahin ki rah sako mere gumaan se duur mujh ko khabar nahin ki ye duniyaa-o-din hain kyaa parvaaz-e-fikr apni hai donon jahaan se duur main jaantaa huun un ki masarrat ki talkhiyaan jo ji rahe hain rah ke gham-e-jaavedaan se duur baalisht bhar zamin hai miri manzil-e-sukun ye bhi ujaaD de to nahin aasmaan se duur duniyaa-o-din hain dozakh-o-jannat ke pher mein gardish mein meri fikr hai donon jahaan se duur ham bhi ba-qaul 'faani'-e-marhum in dinon hindostaan mein rahte hain hindostaan se duur"
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi BadayuniNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni
Quote
"khugar-e-aish-o-masarrat dil-e-khud-kaam nahin hai ye aaraam ki surat magar aaraam nahin maut laai hai ye paighaam ki is ghar se nikal tu ne jo kaam kiye qaabil-e-inaam nahin daaimi ziist ho darkaar to marnaa sikho ye vo aaghaaz hai jis kaa koi anjaam nahin dekh kar hashr mein neki-o-badi ki fihrist ishq hai sar-ba-garebaan ki miraa naam nahin log kahte hain ki vo puchhte rahte hain magar un ki jaanib se to ab tak koi paighaam nahin kab khudaa jaane vo khalvat se baraamad honge mahfil-e-naaz abhi jalva-gah-e-aam nahin is ko jis tarah banaae koi ban jaati hai zindagi khud sabab-e-raahat-o-aalaam nahin"
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi BadayuniNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni
Quote
"dil-e-shorida-sar hai aur main huun harif-e-fitna-gar hai aur main huun gham-e-shaam-o-sahar hai aur main huun sitaaron par nazar hai aur main huun kisi kaa sang-e-dar hai aur main huun ilaaj-e-dard-e-sar hai aur main huun jise kahiye balaa-e-ahd-e-piri vo shaam-e-be-sahar hai aur main huun jo pahle thaa gham-e-dil aaj bhi vo ba-unvaan-e-digar hai aur main huun vo apnaa dil udhar bahlaa rahe hain idhar dard-e-jigar hai aur main huun qayaamat bhi vahin barpaa hui hai jahaan un ki nazar hai aur main huun abhi baaqi hain do aavaara-e-dasht rah-e-gham mein khizar hai aur main huun khudaa jaane mujhe kyaa ho gayaa hai savaal-e-mukhtasar hai aur main huun bajaa hai kyon yahaan aane lage tum ye ik viraan saa ghar hai aur main huun"
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi BadayuniNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni
Quote
"aql ik mauj-e-ravaan mere khayaalaat mein hai haasil-e-hosh-o-khirad meri khuraafaat mein hai lutf jo un ke ishaaraat-o-kinaayaat mein hai vo kisi harf-o-hikaayat na kisi baat mein hai maajraa-e-gham-e-dil aaj kaa qila to nahin ye fasaana miri derina rivaayaat mein hai aatish-e-gul hai mire daagh-e-jigar ki tanvir khush-navaai-e-anaadil mire naghmaat mein hai khidmat-e-dost mein kal nazr kyaa thaa dil ko tohfa-e-jaan-e-hazin aaj ki saughaat mein hai apne pahlu mein mohabbat ko jagah de ai dost khubi-e-har-do-jahaan husn-e-musaavaat mein hai paa-e-saaqi pe giraa sajde mein shaayad vaaiz ik qayaamat si bapaa aaj kharaabaat mein hai ab kahaan apni vafaaon pe yaqin hai mujh ko ki yaqin bhi to miraa gum tire shubhaat mein hai ru-e-daad-e-qamar-o-zohra keh mahbub mujhe husn-e-aafaaq numaayaan jo sanamyaat mein hai ho jo fursat to kabhi ham se bhi baatein kar lo zindagaani kaa maza harf-o-hikaayaat mein hai paae vo din ki ziyaa-paash rukh-e-raushan thaa ab kahaan jalva-e-mahtaab miri baat mein hai yaad aa jaati hai be-mehri-e-ahbaab zarur varna kyaa faaeda ghairon se mulaaqaat mein hai dil taDaptaa hai shab-o-roz gham-e-furqat mein ab kisi din mein maza hai na kisi raat mein hai chashm-e-saaqi ki taraf dekh rahe hain mai-khvaar ye kisi taak mein hai vo bhi kisi ghaat mein hai"
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi BadayuniNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni
Quote
"kabhi meraa kabhi teraa rahaa hai zamaana ek saa kis kaa rahaa hai zabaan-o-dil hue hain jab se paidaa zabaan par dil kaa afsaana rahaa hai use kyon kar samajh lein dil ki harakat taDapte hain koi taDpaa rahaa hai rahe itnaa khayaal ai chashm-e-saaqi vahi piitaa hai jo piitaa rahaa hai khudaa jaane bahaar aae to kyaa ho abhi se dil miraa ghabraa rahaa hai zamaane mein hamin ik naa-samajh hain jise dekho hamein samjhaa rahaa hai labon tak aa chukaa hai dam hamaaraa abhi tak vo masihaa aa rahaa hai ham apne aap hi ko dekhte hain rahaa hogaa khudaa jis kaa rahaa hai miraa ghar dekh kar kahne lage vo yahaan to koi divaana rahaa hai mai-e-nau se ho vo kyaa lutf-andoz sharaab-e-kohna jo piitaa rahaa hai"
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi BadayuniNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi Badayuni