SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNawed Malik(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"makaan bechaa nahin main ne guzaaraa chal rahaa hai nadi apni jagah par hai kinaaraa chal rahaa hai ibaadat mein abhi mashghul hain in ko na chheDo vafaa kis se kareinge istikhaara chal rahaa hai main khud parvaaz se apni pareshaan aaj-kal huun zamaana hai zamin par aur bichaara chal rahaa hai na samjhaao mujhe yuun hiir aur raanjhe kaa chakkar vahi hai naan jo barson se hamaaraa chal rahaa hai abhi kuchh der pahle jis ko raazi kar liyaa thaa 'naved' us se miraa jhagDaa dobaara chal rahaa hai"
Nawed MalikNawed Malik
Quote
"zindagi kyaa hai tamannaaon kaa khaaraa paani har koi pi ke yahaan maange dobaara paani ham hain vo jin ki nigaahon ne kuchal Daalaa furaat kaun hain jin ke labon par hai ye naara paani kai dariyaa miri aankhon se ravaan hone lage us ne jab khvaab mein ik baar pukaaraa paani koi sailaab umaDtaa thaa ghaDi se har din vaqt ki shakl mein ham ne to guzaaraa paani faisla us ne judaai kaa sunaayaa to lagaa jaise sahraa mein koi pyaas mein haaraa paani is liye log sulagte hi yahaan karbal mein jise miltaa hai vo pi letaa hai saaraa paani tishnagi baanT ke har qaum kaa rahbar ye kahe saari duniyaa mein to bahtaa hai hamaaraa paani aaj jazbaat hain pyaase sar-e-qirtaas 'naved' kar rahaa hai mujhe har lafz ishaara paani"
Nawed MalikNawed Malik
Quote
"har baat par na yuun hamein ghussa karein huzur kuchh bad-mizaaj log hain dekhaa karein huzur ik din havaa ke khauf se kahne lagaa charaagh meraa yuun shaairi mein na charchaa karein huzur jitnaa junun hai jeb mein baahar nikaaliye baazaar hai ye ishq kaa kharcha karein huzur ab siikh jaaein aap un aankhon ki bhi zabaan palkein jhukaaun jab bhi to samjhaa karein huzur itnaa hasin phuul aur us par ye barhami ham se khataa hui hai to shikva karein huzur jhagDaa huaa hai aaj sitaaron kaa chaand se bolaa hai kitni baar na chamkaa karein huzur"
Nawed MalikNawed Malik