Quote
"dil ke daaghon mein sitaaron ki chamak baaqi hai shab-e-furqat abhi do-chaar palak baaqi hai surkh honTon ke diye zehan mein raushan hain abhi abhi afkaar mein zulfon ki mahak baaqi hai baazuon mein tire paikar ki lataafat raqsaan ungliyon mein tiri baahon ki lachak baaqi hai qasr-e-parvez mein gum ho gai shirin ki sadaa daaman-e-koh mein teshe ki dhamak baaqi hai sarsar-e-jaur ne har-chand khizaan bikhraai phuul mein aag shagufon mein lahak baaqi hai gul khilaaegi abhi aur na jaane kyaa kyaa ye jo pahlu mein mahakti si kasak baaqi hai"







