SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byParveen Kaif(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ye chhoTaa saa makaan baghiyaa lagaane kaun detaa hai dar-o-divaar par sabza ugaane kaun detaa hai kabhi naazaan the ham aansu bahaane kaun detaa hai magar ai chashm-e-nam ab muskuraane kaun detaa hai miri aankhon ko ye sapne suhaane kaun detaa hai vo aaegaa dilaase dil ko jaane kaun detaa hai pata chaltaa hai kaise mere un ke chhup ke milne kaa khabar tujh ko hamaari ai zamaane kaun detaa hai nahin aanaa nahin aanaa yahi zid hai yahi zid hai vo aa to jaaein phir dekhun ki jaane kaun detaa hai tumhein dil mein basaa rakhaa hai meri saadgi dekho zamaane mein kisi ko sar chhupaane kaun detaa hai khud apne dil se kah lete hain tanhaai mein gham apnaa tumhaare saamne dukhDe sunaane kaun detaa hai"
Parveen KaifParveen Kaif
Quote
"sukun ye apne saveron kaa chain rainon kaa koi hisaab nahin hai khudaa ki denon kaa makaan kachche the vaa'de the pakke dil raushan zamaana thaa vo charaaghon kaa laalTenon kaa ye sach hai gaanv ki raatein khamosh hoti hain magar vo shor guzarti hui trainon kaa gale kaa haar salibein hain sab dikhaave ki yahaan rivaaj hai ab to tilaai chainon kaa halaak hoti hai makhluq aur khudaaon par koi asar hi nahin shevanon kaa bainon kaa vahaan mushaa'ire paDhne chali ho tum 'parvin' jahaan hai zor laTaaon kaa taanseinon kaa"
Parveen KaifParveen Kaif
Quote
"chaand par kyon main akeli jaati saath koi to saheli jaati aao mil-jul ke sahein hijr ki dhuup mujh se tanhaa nahin jheli jaati bolnaa mujh se na tum band karo har taraf baat hai phaili jaati ham agar aql ko darbaan karte haath se dil ki haveli jaati haae sandal ke darakhton ki ye raakh jaan khushbu ki na le li jaati ban to saktaa thaa nayaa ik kamra apne aangan ki chameli jaati pyaas jaati na agar saahil par kyon samundar mein akeli jaati chaand jhaanke jo kitchen mein 'parvin' mujh se roTi nahin beli jaati"
Parveen KaifParveen Kaif
Quote
"chaand suraj mire ghar aate hain kyaa hasin khvaab nazar aate hain mujh se kahte hain Thahar dam le le raah mein jitne shajar aate hain dekhnaa mere takhayyul kaa kamaal nahin aate vo magar aate hain barq hansti hai nasheman pe mire abr baa-dida-e-tar aate hain dekh kar apne shikasta dil ko yaad mahlon ke khanDar aate hain hai buraa haal unhein kyaa maalum vo bhalaa kab mire ghar aate hain sach hai pathraav tabhi hotaa hai jab darakhton pe samar aate hain phone uThaaegi na 'parvin' us vaqt bachche schōl se ghar aate hain"
Parveen KaifParveen Kaif
Quote
"chain aataa nahin un se mulaaqaat kiye bin bolein na vo main rahti nahin baat kiye bin kambakht havaaon ne ye kyaa keh diyaa un se kyon abr uDe jaate hain barsaat kiye bin mai aa gai ghar mein ye khabar shaikh na sun lein lauT aaeinge masjid se munaajaat kiye bin shaayad unhein Dar ho main shikaayaat karungi aae the gae pursish-e-haalaat kiye bin tum un se koi baat ishaaron mein na karnaa kam-fahm na maaneinge savaalaat kiye bin sultaan ko apnaa koi shahkaar na kar pesh chhoDegaa na vo tujh ko qalam haath kiye bin kyaa vaza banaate hain siyaasat ke mashaaikh aabid nazar aate hain ibaadaat kiye bin"
Parveen KaifParveen Kaif