SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySaleem Kausar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tu suraj hai teri taraf dekhaa nahin jaa saktaa lekin dekhne vaalon ko rokaa nahin jaa saktaa ab jo lahar hai pal bhar baad nahin hogi yaani ik dariyaa mein dusri baar utraa nahin jaa saktaa ab bhi vaqt hai apni ravish tabdil karo varna jo kuchh hone vaalaa hai sochaa nahin jaa saktaa us ki gali mein jaane se use milne se khud ko rokaa jaa saktaa hai par rokaa nahin jaa saktaa kisi ko chaahat aur kisi ko nafrat maarti hai koi bhi ho use marte to dekhaa nahin jaa saktaa ek taraf tire husn ki hairat ek taraf duniyaa aur duniyaa mein der talak Thahraa nahin jaa saktaa"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"ye log jis se ab inkaar karnaa chaahte hain vo guftugu dar-o-divaar karnaa chaahte hain hamein khabar hai ki guzregaa ek sail-e-fanaa so ham tumhein bhi khabar-daar karnaa chaahte hain aur is se pahle ki saabit ho jurm-e-khaamoshi ham apni raae kaa izhaar karnaa chaahte hain yahaan tak aa to gae aap ki mohabbat mein ab aur kitnaa gunahgaar karnaa chaahte hain gul-e-umid farozaan rahe tiri khushbu ki log use bhi giraftaar karnaa chaahte hain uThaae phirte hain kab se azaab-e-dar-badri ab is ko vaqf-e-rah-e-yaar karnaa chaahte hain jahaan kahaani mein qaatil bari huaa hai vahaan ham ik gavaah kaa kirdaar karnaa chaahte hain vo ham hain jo tiri aavaaz sun ke tere hue vo aur hain ki jo didaar karnaa chaahte hain"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"achchhaa hai isi surat-e-haalaat mein rahnaa din shahr mein aur raat mazaafaat mein rahnaa har raat sitaaron ko zamin par liye phirnaa har subh kahin hamd-o-munaajaat mein rahnaa is bhiiD mein gard-e-dar-o-divaar hai itni mumkin hi nahin haath kisi haat mein rahnaa us shakhs ki chaahat bhi ajab hai ki hamesha khaatir mein na laanaa to mudaaraat mein rahnaa ye shahr samundar ke kinaare pa hai aabaad is shahr mein rahnaa bhi to auqaat mein rahnaa ham ahl-e-tariqat ki yahi rasm rahi hai zindaan mein yaa halqa-e-saadaat mein rahnaa dikhnaa to 'salim' apne ravayye hi pe dikhnaa khush rahnaa to apni hi kisi baat mein rahnaa"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"tujh se baDh kar koi pyaaraa bhi nahin ho saktaa par tiraa saath gavaaraa bhi nahin ho saktaa paanv rakhte hain phisal saktaa hai miTTi ho ki ret har kinaaraa to kinaaraa bhi nahin ho saktaa us tak aavaaz pahunchni bhi baDi mushkil hai aur na dekhe to ishaara bhi nahin ho saktaa tere bandon ki maishat kaa ajab haal huaa aish kaisaa ki guzaaraa bhi nahin ho saktaa apnaa dushman bhi dikhaai nahin detaa ho jise aisaa lashkar to saf-aaraa bhi nahin ho saktaa husn aisaa ki chakaa-chaund hui hain aankhein hairat aisi ki nazaaraa bhi nahin hain aankhein vaise vo shakhs hamaaraa to kabhi thaa hi nahin dukh to ye hai ki tumhaaraa bhi nahin ho saktaa duniyaa achchhi bhi nahin lagti ham aison ko 'salim' aur duniyaa se kinaaraa bhi nahin ho saktaa"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"main use tujh se milaa detaa magar dil mere mere kuchh kaam nahin aae vasaail mere vo junun-khez masaafat thi ki dekhaa hi nahin umr bhar paanv se lipTi rahi manzil mere tu milaa hai to nikal aae hain dushman saare vaqt kis kis ko uThaa laayaa muqaabil mere abr-e-girya ne vo tufaan uThaae ab ke mere dariyaaon ko kam paD gae saahil mere jitnaa hal kartaa huun utnaa hi bigaD jaate hain tu nahin jaantaa ai dost masaail mere ishq mein haar ke maani hi badal jaate hain tujh ko maalum nahin hai abhi qaatil mere be-ant safar meraa muqaddar hai 'salim' mujh mein tai kartaa hai ye kaun maraahil mere"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"aab o havaa hai barsar-e-paikaar kaun hai mere sivaa ye mujh mein giraftaar kaun hai ik raushni si raah dikhaati hai har taraf dosh-e-havaa pe saahib-e-raftaar kaun hai ek ek kar ke khud se bichhaDne lage hain ham dekho to jaa ke qaafila-saalaar kaun hai bosidgi ke khauf se sab uTh ke chal diye phir bhi ye zer-e-saaya-e-divaar kaun hai qadmon mein saae ki tarah raunde gae hain ham ham se ziyaada teraa talabgaar kaun hai phailaa rahaa hai daaman-e-shab ki hikaayatein suraj nahin to ye pas-e-kohsaar kaun hai kyaa shai hai jis ke vaaste TuuTe paDe hain log ye bhiiD kyuun hai raunaq-e-baazaar kaun hai ai dil ab apni lau ko bachaa le ki shahr mein tu jal-bujhaa to teraa 'azaa-daar kaun hai ab tak isi khayaal se soe nahin 'salim' ham so gae to phir yahaan bedaar kaun hai"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"vo jo aae the bahut mansab-o-jaagir ke saath kaise chup-chaap khaDe hain tiri tasvir ke saath sirf zindaan ki hikaayat hi pe maamur nahin ek taarikh safar karti hai zanjir ke saath ab ke suraj ki rihaai mein baDi der lagi varna main ghar se nikaltaa nahin taakhir ke saath tujh ko qismat se to main jiit chukaa huun kab kaa shaayad ab ke mujhe laDnaa paDe taqdir ke saath ab kisi aur gavaahi ki zarurat hi nahin jurm khud bol rahaa hai tiri tahrir ke saath dekhte kuchh hain dikhaate hamein kuchh hain ki yahaan koi rishta hi nahin khvaab kaa taabir ke saath ab jahaan teri imaarat ki hadein milti hain ek buDhiyaa kaa makaan thaa usi jaagir ke saath ye to honaa hi thaa mahtaab-e-tamaashaa phir bhi kitne dil TuuT gae hain tiri taskhir ke saath yaad bhi abr-e-mohabbat ki tarah hoti hai ek saayaa saa chalaa jaataa hai rahgir ke saath"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"kahin tum apni qismat kaa likhaa tabdil kar lete to shaayad ham bhi apnaa raasta tabdil kar lete agar ham vaaqai kam-hausla hote mohabbat mein maraz baDhne se pahle hi davaa tabdil kar lete tumhaare saath chalne par jo dil raazi nahin hotaa bahut pahle ham apnaa faisla tabdil kar lete tumhein in mausamon ki kyaa khabar milti agar ham bhi ghuTan ke khauf se aab o havaa tabdil kar lete tumhaari tarah jiine kaa hunar aataa to phir shaayad makaan apnaa vahi rakhte pataa tabdil kar lete vahi kirdaar hain taaza kahaani mein jo pahle bhi kabhi chehra kabhi apni qabaa tabdil kar lete judaai bhi na hoti zindagi bhi sahl ho jaati jo ham ik dusre se masala tabdil kar lete hamesha ki tarah is baar bhi ham bol uThe varna gavaahi dene vaale vaaqia tabdil kar lete bahut dhundlaa gayaa yaadon ki rim-jhim mein dil-e-saada vo mil jaataa to ham ye aaina tabdil kar lete"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"tujh se baDh kar koi pyaaraa bhi nahin ho saktaa par tiraa saath gavaaraa bhi nahin ho saktaa raasta bhi ghalat ho saktaa hai manzil bhi ghalat har sitaaraa to sitaaraa bhi nahin ho saktaa paanv rakhte hi phisal saktaa hai miTTi ho ki ret har kinaaraa to kinaaraa bhi nahin ho saktaa us tak aavaaz pahunchni bhi baDi mushkil hai aur na dekhe to ishaara bhi nahin ho saktaa tere bandon ki maishat kaa ajab haal huaa aish kaisaa ki guzaaraa bhi nahin ho saktaa apnaa dushman hi dikhaai nahin detaa ho jise aisaa lashkar to saf-aaraa bhi nahin ho saktaa pahle hi lazzat-e-inkaar se vaaqif nahin jo us se inkaar dobaara bhi nahin ho saktaa husn aisaa ki chakaa-chaund hui hain aankhein hairat aisi ki nazzaaraa bhi nahin ho saktaa chaliye vo shakhs hamaaraa to kabhi thaa hi nahin dukh to ye hai ki tumhaaraa bhi nahin ho saktaa duniyaa achchhi bhi nahin lagti ham aison ko 'salim' aur duniyaa se kinaaraa bhi nahin ho saktaa"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"tum ne sach bolne ki jurat ki ye bhi tauhin hai adaalat ki manzilein raaston ki dhuul huiin puchhte kyaa ho tum masaafat ki apnaa zaad-e-safar bhi chhoD gae jaane vaalon ne kitni ujlat ki main jahaan qatl ho rahaa huun vahaan mere ajdaad ne hukumat ki pahle mujh se judaa huaa aur phir aks ne aaine se hijrat ki meri aankhon pe us ne haath rakhaa aur ik khvaab ki mahurat ki itnaa mushkil nahin tujhe paanaa ik ghaDi chaahiye hai fursat ki ham ne to khud se intiqaam liyaa tum ne kyaa soch kar mohabbat ki kaun kis ke liye tabaah huaa kyaa zarurat hai is vazaahat ki ishq jis se na ho sakaa us ne shaaeri mein ajab siyaasat ki yaad aai to hai shanaakht magar intihaa ho gai hai ghaflat ki ham vahaan pahle rah chuke hain 'salim' tum ne jis dil mein ab sukunat ki"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"abhi jo gardish-e-ayyaam se milaa huun main samajh rahi thi kisi kaam se milaa huun main shikast-e-shab tiri taqrib se zaraa pahle diye jalaati hui shaam se milaa huun main ajal se pahle bhi miltaa rahaa huun par ab ke baDe sukun baDe aaraam se milaa huun main tiri qabaa ki mahak har taraf numaayaan thi havaa-e-vaadi-e-gul-faam se milaa huun main main jaantaa huun makinon ki khaamushi kaa sabab makaan se pahle dar-o-baam se milaa huun main 'salim' naam bataayaa thaa ghaaliban us ne kal ek shaaer-e-gum-naam se milaa huun main"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"kuchh bhi thaa sach ke taraf-daar huaa karte the tum kabhi saahab-e-kirdaar huaa karte the sunte hain aisaa zamaana bhi yahaan guzraa hai haq unhein miltaa jo haqdaar huaa karte the tujh ko bhi zoam saa rahtaa thaa masihaai kaa aur ham bhi tire bimaar huaa karte the ik nazar roz kahin jaal bichhaae rakhti aur ham roz giraftaar huaa karte the ham ko maalum thaa aanaa to nahin tujh ko magar tere aane ke to aasaar huaa karte the ishq karte the faqat paas-e-vafaa rakhne ko log sach-much ke vafaadaar huaa karte the aaina khud bhi sanvartaa thaa hamaari khaatir ham tire vaaste tayyaar huaa karte the ham gul-e-khvaab sajaate the dukaan-e-dil mein aur phir khud hi kharidaar huaa karte the kucha-e-'mir' ki jaanib nikal aate the sabhi vo jo 'ghaalib' ke taraf-daar huaa karte the jin se aavaargi-e-shab kaa bharam thaa vo log is bhare shahr mein do-chaar huaa karte the ye jo zindaan mein tumhein saae nazar aate hain ye kabhi raunaq-e-darbaar huaa karte the main sar-e-dasht-e-vafaa ab huun akelaa varna mere ham-raah mire yaar huaa karte the vaqt ruk ruk ke jinhein dekhtaa rahtaa hai 'salim' ye kabhi vaqt ki raftaar huaa karte the"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"Dubne vaale bhi tanhaa the tanhaa dekhne vaale the jaise ab ke chaDhe hue the dariyaa dekhne vaale the aaj to shaam hi se aaankhon mein niind ne kheme gaaD diye ham to din nikle tak teraa rasta dekhne vaale the ik dastak ki rim-jhim ne andeshon ke dar khol diye raat agar ham so jaate to sapnaa dekhne vaale the ek savaar ki saj-dhaj ko raston ki vahshat nigal gai varna is tyauhaar pe ham bhi mela dekhne vaale the main ne jis saf ko chhoDaa hai us mein shaamil saare log apne qad ko bhuul ke apnaa saayaa dekhne vaale the main paani aur aag se ik miTTi ki khaatir lauTaa thaa aur ye donon aalam khel-tamaashaa dekhne vaale the ab aaina hairat se ik ik kaa munh taktaa hai 'salim' pahle log to aaine mein chehra dekhne vaale the"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"kabhi sitaare kabhi kahkashaan bulaataa hai hamein vo bazm mein apni kahaan bulaataa hai na jaane kaun si uftaad aa paDi hai ki jo ham ahl-e-'ishq ko kaar-e-jahaan bulaataa hai ye kaisaa daam-e-rihaai bichhaa diyaa us ne zamin pakaDti hai aur aasmaan bulaataa hai gali gali mein 'aqidon bhari dukaanein hain qadam qadam pe nayaa aastaan bulaataa hai bhaTak gae hain magar gum nahin hue hain kahin abhi hamein jaras-e-kaarvaan bulaataa hai ye aag lagne se pahle ki baaz-gasht hai jo bujhaane vaalon ko ab tak dhuaan bulaataa hai umiid TuTne lagti hai jab bhi koi 'salim' to ik yaqin pas-e-vahm-o-gumaan bulaataa hai"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"milnaa na milnaa ek bahaana hai aur bas tum sach ho baaqi jo hai fasaana hai aur bas logon ko raaste ki zarurat hai aur mujhe ik sang-e-rahguzar ko haTaanaa hai aur bas masrufiyat ziyaada nahin hai miri yahaan miTTi se ik charaagh banaanaa hai aur bas soe hue to jaag hi jaaeinge ek din jo jaagte hain un ko jagaanaa hai aur bas tum vo nahin ho jin se vafaa ki umiid hai tum se miri muraad zamaana hai aur bas phulon ko DhunDtaa huaa phirtaa huun baagh mein baad-e-sabaa ko kaam dilaanaa hai aur bas aab o havaa to yuun bhi miraa masala nahin mujh ko to ik darakht lagaanaa hai aur bas nindon kaa rat-jagon se ulajhnaa yunhi nahin ik khvaab-e-raaegaan ko bachaanaa hai aur bas ik vaa'da jo kiyaa hi nahin hai abhi 'salim' mujh ko vahi to vaa'da nibhaanaa hai aur bas"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"dil tujhe naaz hai jis shakhs ki dildaari par dekh ab vo bhi utar aayaa adaakaari par main ne dushman ko jagaayaa to bahut thaa lekin ehtijaajan nahin jaagaa miri bedaari par aadmi aadmi ko khaae chalaa jaataa hai kuchh to tahqiq karo is nai bimaari par kabhi is jurm pe sar kaaT diye jaate the ab to inaam diyaa jaataa hai ghaddaari par teri qurbat kaa nasha TuuT rahaa hai mujh mein is qadar sahl na ho tu miri dushvaari par mujh mein yuun taaza mulaaqaat ke mausam jaage aaina hansne lagaa hai miri tayyaari par koi dekhe bhare baazaar ki viraani ko kuchh na kuchh muft hai har shai ki kharidaari par bas yahi vaqt hai sach munh se nikal jaane do log utar aae hain zaalim ki taraf-daari par"
Saleem KausarSaleem Kausar
Quote
"kahaani likhte hue daastaan sunaate hue vo so gayaa hai mujhe khvaab se jagaate hue diye ki lau se chhalaktaa hai us ke husn kaa aks singaar karte hue aaina sajaate hue ab is jagah se kai raaste nikalte hain main gum huaa thaa jahaan raasta bataate hue pukaarte hain unhein saahilon ke sannaaTe jo log Duub gae kashtiyaan banaate hue phir us ne mujh se kisi baat ko chhupaayaa nahin vo khul gayaa thaa kisi baat ko chhupaate hue mujhi mein thaa vo sitaara-sifat ki jis ke liye main thak gayaa huun zamaane ki khaak uDaate hue mazaaron aur munDeron ke rat-jagon mein 'salim' badan pighalne lage hain diye jalaate hue"
Saleem KausarSaleem Kausar