Quote
"tum ho mujrim ham hain mulzim chalo nayaa insaaf karein tum bhi hamein muaafi de do ham bhi tumhein muaaf karein phir ujli kursi par baiThein mulzim kaa insaaf karein pahle munsif gangaa-jal se apni niyyat saaf karein jis ne jitne qatl kiye hain un kaa vo iqbaal kare main maqtulon se kah dungaa ab vo use muaaf karein ye bhi marham hai zakhmon kaa haakim aur jallaad sabhi dangaa-piDit har basti kaa nange pair tavaaf karein kuchh zahrile akhbaaron ne sab ko mere khilaaf kiyaa un mein himmat ho to mere rab ko mire khilaaf karein aane vaali naslon ko ye deti raheingi dars-e-vafaa nae musavvir tasviron mein meraa lahu muzaaf karein ik-duje ke aansu le lein ik-duje ko khushiyaan dein pyaar ki shama kaa ye ujaalaa aao har atraaf karein vote na bechein kyuun bechaare bas kambal ke badle mein jo sardi mein apni chamDi bistar karein lihaaf karein takht-nashinon ke qadmon par bose dene vaale ab ek nazar meri qurbaani par bhi to ausaaf karein baadal farz-shanaas nahin hai qaid hai yaa zanjiron mein shabnam ke qatre hi pyaase 'panchhi' par altaaf karein"







