SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byShadan Barabankvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mire khudaa mujhe gham mere hasb-e-haal to de qanaa'aton ki ridaa mere sar pe Daal to de safar mein saath to sab hain magar main jab maanun ki mere paanv kaa kaanTaa koi nikaal to de mire sivaa jo luTaate hain jaan-o-dil tujh par kisi kaa naam to le aur koi misaal to de ki main bhi raah kaa bhaTkaa huaa musaafir huun mire zamir kaa ab aaina ujaal to de tujhe qarib na paa kar bahak rahe hain qadam main gir hi jaaun magar tu mujhe sanbhaal to de mujhe zamaane se shikva nahin magar 'shaadaan' hayaat vaqt na de fursat-e-khayaal to de"
Shadan BarabankviShadan Barabankvi
Quote
"apne gham shaamil kartaa main kaise duniyaa vaalon mein khud hi tanhaa pi jaataa huun bhar kar zahr piyaalon mein itnaa gahraa zakhm lagaanaa sab ke bas ki baat kahaan dekhaa to vo bhi shaamil thaa tiir chalaane vaalon mein manzil kaisi samt kahaan ki phir bhi chaltaa rahtaa huun so gai meri qismat jaise mere paanv ke chhaalon mein ahl-e-khirad sachche moti bhi raah mein Thukraa dete hain divaane to raah ke patthar rakh dete hain shivaalon mein 'shaadaan' ye andaaz-e-taraqqi raas bhalaa kyaa aaegaa duniyaa andhi ho jaaegi itne tez ujaalon mein"
Shadan BarabankviShadan Barabankvi
Quote
"kuchh narm si kirnein bhi shaamil hain bahaaron mein paighaam hai jiine kaa maa'sum ishaaron mein naukhez ghazaalon mein aur zohra-nigaaron mein kaaghaz kaa badan le kar baiThaa huun sharaaron mein phulon ko jo dekhaa to mahsus kiyaa main ne shaadaab vo hotaa hai paltaa hai jo khaaron mein har sang-e-malaamat ko jab chaahe masal Daalein ab bhi vo ravaani hai tahzib ke dhaaron mein saahil kaa tamannaai is raaz ko kyaa jaane tufaan bhi hote hain khaamosh kinaaron mein aazaadi-e-gulshan kaa haal us se koi puchhe khud jis ne jalaayaa hai ghar apnaa bahaaron mein vo log bhi ab ham se katraa ke guzarte hain the jin ke liye 'shaadaan' ham jaan se pyaaron mein"
Shadan BarabankviShadan Barabankvi
Quote
"mujh ko shikaayatein nahin apne nasib se aksar guzar gae hain vo mere qarib se har manzil-e-hayaat se guzraa huun baa-khabar had hai ki dost bhi nazar aae raqib se pahchaan leinge log ye andaaz-e-iltifaat is be-rukhi ke saath na guzro qarib se har manzil-e-hayaat se guzraa huun baa-khabar had hai ki dost bhi nazar aae raqib se vo karb hai ki khun-e-jigar aanch de uThaa dekhaa hai zindagi tujhe main ne qarib se Dartaa huun ab main naam bhi lete khulus kaa kuchh vaaqi'aat saamne aae 'ajib se is be-dili ke saath na lo is kaa imtihaan 'shaadaan' ko dekhnaa hai to dekho qarib se"
Shadan BarabankviShadan Barabankvi
Quote
"tire baghair ye shab bhi guzar na jaae kahin hayaat mujh pe koi vaar kar na jaae kahin tum ajnabi hi raho kuchh dinon to achchhaa hai tumhaaraa naam dilon mein utar na jaae kahin bachaao sho'la-e-nafrat se apne jismon ko vafaa kaa jaam 'adaavat se bhar na jaae kahin vo zindagi jo samundar ki tarh pyaasi hai vo zindagi kaa jazira bikhar na jaae kahin ghamon ki dhuup bhi phaili hui hai gulshan mein kisi kaa phuul saa chehra utar na jaae kahin is ehtiyaat se guzro chaman se ai yaaro kali jo phuul bani hai bikhar na jaae kahin tumhaare dard kaa ehsaas zindagi hai miri magar ye dard kaa ehsaas mar na jaae kahin main si rahaa huun garebaan ko is liye 'shaadaan' miraa junun use badnaam kar na jaae kahin"
Shadan BarabankviShadan Barabankvi
Quote
"vo meri vafaaon kaa kyaa mujh ko sila degaa patthar ki tarah mujh ko raste se haTaa degaa naqsh-e-kaf-e-paa un kaa sab raaz bataa degaa ik roz yahi rasta manzil kaa pataa degaa kyaa 'ilm thaa vo mujh ko is tarh bhulaa degaa tasvir miri apne kamre se haTaa degaa jab 'aalam-e-vahshat mein khat khinchegaa divaana be-rabt lakiron ko tasvir banaa degaa dekho kahin dhoke se dil us ko na de denaa maa'sum hai haathon se aaina giraa degaa main ye nahin samjhaa thaa haalaat badalte hi har ek yahaan mujh ko nazron se giraa degaa sho'lon ko havaa denaa fitrat hai zamaane ki har daur mein ye insaan sho'lon ko havaa degaa naadaar zamaane se be-sud hain ummidein jo khud hi savaali ho 'shaadaan' tujhe kyaa degaa"
Shadan BarabankviShadan Barabankvi
Quote
"qaatil ko bhalaa kis ne yuun chhoD diyaa hogaa munsif ke bhi haathon mein kuchh khuun lagaa hogaa in tez havaaon ne jo diip bujhaae hain teraa hi nahin in mein meraa bhi diyaa hogaa chulhon se gharibon ke kab itnaa dhuaan uThThaa phir meri hi basti kaa ghar koi jalaa hogaa aakhir ye jhijhak kaisi tum vaar karo khul kar ham khud hi uThaa deinge jo tiir khataa hogaa vo jis ke tasavvur se zaalim bhi larazte hain vo sho'la gharibon ki aahon mein chhupaa hogaa miTte hain zamaane mein ye sochne vaale hi hogaa vahi jo apni qismat mein likhaa hogaa aaj aisi hi mahfil mein baiThaa huun jahaan 'shaadaan' chup huun to kudurat hai bolun to gila hogaa"
Shadan BarabankviShadan Barabankvi