Shayari
ham ne be-intihaa vafaa kar ke
be-vafaaon se intiqaam liyaa
bandishein ishq mein duniyaa se niraali dekhein
dil taDap jaae magar lab na hilaae koi
بندشیں عشق میں دنیا سے نرالی دیکھیں
دل تڑپ جائے مگر لب نہ ہلائے کوئی
बंदिशें इश्क़ में दुनिया से निराली देखें
दिल तड़प जाए मगर लब न हिलाए कोई

ham ne be-intihaa vafaa kar ke
be-vafaaon se intiqaam liyaa
tum 'razaa' ban ke musalmaan jo kaafir hi rahe
tum se behtar hai vo kaafir jo musalmaan na huaa
un ke sitam bhi kah nahin sakte kisi se ham
ghuT ghuT ke mar rahe hain ajab bebasi se ham
us bevafaa se kar ke vafaa mar-miTaa 'razaa'
ik qissa-e-tavil kaa ye ikhtisaar hai
jo chaahte ho so kahte ho chup rahne ki lazzat kyaa jaano
ye raaz-e-mohabbat hai pyaare tum raaz-e-mohabbat kyaa jaano
samajh to ye ki na samjhe khud apnaa rang-e-junun
mizaaj ye ki zamaana mizaaj-daan hotaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
chaman mein shor hai bhanvron ki chaahat kaa bahut lekin
mohabbat gul ki bulbul se hai khaamoshi ke parde mein
hansaa karte hain akasr log divaanon ki baaton par
jahaan vaale nahin samjhe mohabbat ki zabaan shaayad