Shayari
subh tak vo bhi na chhoDi tu ne ai baad-e-sabaa
yaadgaar-e-raunaq-e-mahfil thi parvaane ki khaak
khudaa se tiraa chaahnaa chaahtaa huun
meraa chaahnaa dekh kyaa chaahtaa huun
خدا سے ترا چاہنا چاہتا ہوں
میرا چاہنا دیکھ کیا چاہتا ہوں
ख़ुदा से तिरा चाहना चाहता हूँ
मेरा चाहना देख क्या चाहता हूँ

subh tak vo bhi na chhoDi tu ne ai baad-e-sabaa
yaadgaar-e-raunaq-e-mahfil thi parvaane ki khaak
itnaa to jaante hain ki aashiq fanaa huaa
aur us se aage baDh ke khudaa jaane kyaa huaa
vo yahaan tak jo aa nahin sakte
kyaa mujhe bhi bulaa nahin sakte
lab-e-naazuk ke bose luun to missi munh banaati hai
kaf-e-paa ko agar chumun to mehndi rang laati hai
bimaar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai
vo dard dil mein de ki masihaa kahein jise
kis ko dekhaa un ki surat dekh kar
ji mein aataa hai ki sajda kijiye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
ik mohabbat ki ye tasvir hai do rangon mein
shauq sab meraa hai aur saari hayaa us ki hai
hasin teri aanhkein hasin tere aansu
yahin Duub jaane ko ji chaahtaa hai
duniyaa ke sitam yaad na apni hi vafaa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke sivaa yaad
tujhe bhuul jaanaa to mumkin nahin hai
magar bhuul jaane ko ji chaahtaa hai