Shayari
bol the divaanon ke jin se hosh vaalon ne
soch ke dhundlakon mein apnaa raasta paayaa
nek guzre miri shab sidq-e-badan se tere
gham nahin raabta-e-subh jo kaazib Thahre
نیک گزرے مری شب صدق بدن سے تیرے
غم نہیں رابطۂ صبح جو کاذب ٹھہرے
नेक गुज़रे मिरी शब सिद्क़-ए-बदन से तेरे
ग़म नहीं राब्ता-ए-सुब्ह जो काज़िब ठहरे

bol the divaanon ke jin se hosh vaalon ne
soch ke dhundlakon mein apnaa raasta paayaa
laa se laa kaa safar thaa to phir kis liye
har kham-e-raah se jaan ulajhti rahi
nazar to aate hain kamron mein chalte-phirte magar
ye ghar ke log na jaane kahaan gae hue hain
shaaeri talab apni shaaeri ataa us ki
hausle se kam maangaa zarf se sivaa paayaa
muflisi bhuuk ko shahvat se milaa deti hai
gandumi lams mein hai zaaiqa-e-naan-e-javin
pas-manzar mein 'fēd' hue jaate hain insaani kirdaar
focus mein rafta rafta shaitaan ubhartaa aataa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sadaa-bahaar ho tum aur meri qismat ho
koi bahaar na thi is bahaar se pahle
mire siine se lag kar der tak roti hai tanhaai
kisi ne kah diyaa us se mohabbat ho gai mujh ko
tu koi gham hai to dil mein jagah banaa apni
tu ik sadaa hai to ehsaas ki kamaan se nikal