Shayari
ab mire vaaste har mauj hai aaghosh-e-sukun
bahr-e-gham mein jo nahin hai koi saahil na sahi
A
Abdul Hai Aarfibahut badlaa mazaaq-e-dil khayaal-e-yaar ne lekin
jo shaayaan-e-mazaaq-e-yaar thaa aisaa kahaan badlaa
بہت بدلا مذاق دل خیال یار نے لیکن
جو شایان مذاق یار تھا ایسا کہاں بدلا
बहुत बदला मज़ाक़-ए-दिल ख़याल-ए-यार ने लेकिन
जो शायान-ए-मज़ाक़-ए-यार था ऐसा कहाँ बदला
ab mire vaaste har mauj hai aaghosh-e-sukun
bahr-e-gham mein jo nahin hai koi saahil na sahi
aai khizaan ki yaad to dil sard ho gayaa
kuchh der bhi to lutf na aayaa bahaar kaa
mohabbat khud mohabbat kaa sila hai 'aarfi' lekin
koi aasaan hai kyaa be-niyaaz-e-muddaaa honaa
ek hi phuul thaa bas gul-kada-e-husn mein tu
chun liyaa aankh mein apni tire shaidaai ne
dil ko tapish-e-shauq ki ye lazzat-e-paiham
mil to gai lekin baDi mushkil se mili hai
hai 'aarfi' ab ye asar-e-tark-e-tamannaa
aane lage vo aur bhi kuchh had se sivaa yaad
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
ye vaqt kaifiyaat se bhartaa nahin kabhi
ye jaam ikhtiyaar nahin kar rahaa huun main
na dekh mujh ko mohabbat ki aankh se ai dost
miraa vajud miraa muddaaa na ho jaae
zid har ik baat par nahin achchhi
dost ki dost maan lete hain
aap ham se judaa nahin hote
aap par ikhtiyaar hai koi