Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
jeb khaali hai 'adam' mai qarz par milti nahin
ek do botal pe divaan bechne vaalaa huun main
جیب خالی ہے عدمؔ مے قرض پر ملتی نہیں
ایک دو بوتل پہ دیواں بیچنے والا ہوں میں
जेब ख़ाली है 'अदम' मय क़र्ज़ पर मिलती नहीं
एक दो बोतल पे दीवाँ बेचने वाला हूँ मैं

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
yaqinan aa gayaa hai mai-kade mein tishna-lab koi
ki piitaa jaa rahaa huun kaifiyat kam hoti jaati hai
vo jo tasbih liye hai us ko
mere aage se uThaa de saaqi
dekhiye kab raah par Thiik se uTThein qadam
raat ki mai kaa khumaar dekhiye kab tak rahe
mire khamir pe saari hi sarf ho gai thi
phir us ke baa'd udaasi nai banaai gai