Shayari
sau baar aai honTon pe jhuTi hansi magar
ik baar bhi na dil se kabhi muskuraa sake

Salam Sandelvi
Salam Sandelvi
sau baar aai honTon pe jhuTi hansi magar
ik baar bhi na dil se kabhi muskuraa sake
shabnam ne ro ke ji zaraa halkaa to kar liyaa
gham us kaa puchhiye jo na aansu bahaa sake
khushi ke phuul khile the tumhaare saath kabhi
phir is ke baa'd na aayaa bahaar kaa mausam
kaTegi kaise gul-e-nau ki zindagi yaa-rab
ki is gharib kaa khaanon mein ghar abhi se hai
bahut ummid thi manzil pe jaa kar chain paaeinge
magar manzil pe jab pahunche to nazm-e-kaarvaan badlaa
rah-e-hayaat chamak uTThe kahkashaan ki tarah
agar charaagh-e-mohabbat koi jalaa ke chale
hamesha duur ke jalve fareb dete hain
hai varna chaand bayaabaan kisi ko kyaa maalum
bijli giregi sehn-e-chaman mein kahaan kahaan
kis shaakh-e-gulistaan pe miraa aashiyaan nahin
ye to maalum hai un tak na sadaa pahunchegi
jaane kyaa soch ke aavaaz diye jaataa huun
dil ki dhaDkan bhi hai un ko naagavaar
un se kuchh kahne ki jurat kyaa karein
aae jo chand tinke qafas mein sabaa ke saath
main ne unhin ko apnaa nasheman samajh liyaa
hui subh jaam khanak uThe hui shaam naghme bikhar gae
vo hasin din bhi the kis qadar jo tumhaare saath guzar gae