Shayari
ye tabassum kaa ujaalaa ye nigaahon ki sahar
log yuun bhi to chhupaate hain andhere dil mein
khamoshi meri lai mein gungunaanaa chaahti hai
kisi se baat karne kaa bahaanaa chaahti hai
خموشی میری لے میں گنگنانا چاہتی ہے
کسی سے بات کرنے کا بہانا چاہتی ہے
ख़मोशी मेरी लय में गुनगुनाना चाहती है
किसी से बात करने का बहाना चाहती है

ye tabassum kaa ujaalaa ye nigaahon ki sahar
log yuun bhi to chhupaate hain andhere dil mein
zindagi azmat-e-haazir ke baghair
ik tasalsul hai magar khvaabon kaa
nafas ke loch ko khanjar banaanaa chaahti hai
mohabbat apni tezi aazmaanaa chaahti hai
zulmatein vahshat-e-fardaa se niDhaal
DhunDhti phirti hain ghar khvaabon kaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
sansaar ki har shai kaa itnaa hi fasaana hai
ik dhund se aanaa hai ik dhund mein jaanaa hai
vo be-khudi thi mohabbat ki be-rukhi to na thi
pe us ko tark-e-taalluq ko ik bahaana huaa
zehn ki qaid se aazaad kiyaa jaae use
jis ko paanaa nahin kyaa yaad kiyaa jaae use