Shayari
mujhe vo baaton baaton mein agar divaana kah dete
to divaanon mein meri mo'atabar divaangi hoti
sard-mehri se tiri garmi-e-ulfat na rahi
dil mein uThtaa thaa jo har-dam vo sharaara bhi gayaa
سرد مہری سے تری گرمئ الفت نہ رہی
دل میں اٹھتا تھا جو ہر دم وہ شرارہ بھی گیا
सर्द-मेहरी से तिरी गर्मी-ए-उल्फ़त न रही
दिल में उठता था जो हर-दम वो शरारा भी गया

mujhe vo baaton baaton mein agar divaana kah dete
to divaanon mein meri mo'atabar divaangi hoti
vafaadaari ghurur-e-be-rukhi ko khatm kar degi
ziyaada to nahin kuchh din rahein vo bad-gumaan shaayad
hansaa karte hain akasr log divaanon ki baaton par
jahaan vaale nahin samjhe mohabbat ki zabaan shaayad
agar teri tarah tabligh kartaa pir-e-mai-khaana
to duniyaa-bhar mein vaaiz mai-kashi hi mai-kashi hoti
mizaaj-e-husn to ik haal par rahaa qaaem
luTaane vaalon ne sab kuchh luTaa ke dekh liyaa
dil ke aaine mein jab aap ki surat dekhi
jis ko dhokaa main samajhtaa thaa vo dhokaa bhi gayaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
ishq sar-taa-ba-qadam aatish-e-sozaan hai magar
us mein shola na sharaara na dhuaan hotaa hai