Shayari
kareinge aankh-maTakkaa vo kyaa paDosan se
jo log apni hi biivi ko Dar ke dekhte hain
do sagi bahnon ki do ganjon se shaadi ho gai
aur ye be-zulf bhi ham-zulf kahlaane lage
دو سگی بہنوں کی دو گنجوں سے شادی ہو گئی
اور یہ بے زلف بھی ہم زلف کہلانے لگے
दो सगी बहनों की दो गंजों से शादी हो गई
और ये बे-ज़ुल्फ़ भी हम-ज़ुल्फ़ कहलाने लगे

kareinge aankh-maTakkaa vo kyaa paDosan se
jo log apni hi biivi ko Dar ke dekhte hain
is se pahle udhaar tu maange
main tiraa shahr chhoD jaaungaa
main hi tum ko phuTi aankh nahin bhaati
tum ne sab se pyaar ke pech laDaae hain
jab se makaan badal gaiin donon paDosanein
lagtaa nahin hai ji miraa ujDe dayaar mein
khudaa kaa shukr hai chakkar kai se hain apne
bas ek biivi pe daar-o-madaar thoDi hai
dil ko kisi ki yaad se khaali na kijiye
aaseb rahne lagte hain khaali makaan mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
ai chaman vaalo chaman mein yuun guzaaraa chaahiye
baaghbaan bhi khush rahe raazi rahe sayyaad bhi