Shayari
raas aaegi mohabbat us ko
jis se hote nahin vaade puure
chaahiye hai mujhe inkaar-e-mohabbat mire dost
lekin is mein tiraa inkaar nahin chaahiye hai
چاہئے ہے مجھے انکار محبت مرے دوست
لیکن اس میں ترا انکار نہیں چاہئے ہے
चाहिए है मुझे इंकार-ए-मोहब्बत मिरे दोस्त
लेकिन इस में तिरा इंकार नहीं चाहिए है

raas aaegi mohabbat us ko
jis se hote nahin vaade puure
ik pal kaa tavaqquf bhi giraan-baar hai tujh par
aur ham ki thake-haare masaafat se gurezaan
miri vafaa hai mire munh pe haath rakkhe hue
tu sochtaa hai ki kuchh bhi nahin samajhtaa main
chand peDon ko hi majnun ki duaa hoti hai
sab darakhton pe to patthar nahin aayaa kartaa
mujh pe tasvir lagaa di gai hai
kyaa main divaar dikhaai diyaa huun
tu ne ai ishq ye sochaa ki tiraa kyaa hogaa
tere sar se main agar haath uThaa letaa huun
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai