Shayari
khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
hoti hai shaam aankh se aansu ravaan hue
ye vaqt qaidiyon ki rihaai kaa vaqt hai
ہوتی ہے شام آنکھ سے آنسو رواں ہوئے
یہ وقت قیدیوں کی رہائی کا وقت ہے
होती है शाम आँख से आँसू रवाँ हुए
ये वक़्त क़ैदियों की रिहाई का वक़्त है

khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
dukh ke safar pe dil ko ravaana to kar diyaa
ab saari umr haath hilaate raheinge ham
koi tasvir mukammal nahin hone paati
dhuup dete hain to saayaa nahin rahne dete
mohabbat mar gai 'mushtaaq' lekin tum na maanoge
main ye afvaah bhi tum ko sunaa kar dekh letaa huun
tire aane kaa din hai tere raste mein bichhaane ko
chamakti dhuup mein saae ikaTThe kar rahaa huun main
paani mein aks aur kisi aasmaan kaa hai
ye naav kaun si hai ye dariyaa kahaan kaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aai sadaa-e-haq ki yahi band-o-bast hain
tere vatan ke log to murda-parast hain
mere naghmaat ki taqdir na pahunche tujh tak
meri fariyaad ki qismat ki tujhe chhu aai
ye to sochaa hi nahin us ko judaa karte hue
chun liyaa hai gham bhi khushiyon ko rihaa karte hue