Shayari
ye kyaa kam hai amaama baandh kar nikle nahin ham
ab is se bhi sivaa imaan-daari kaun kartaa
aanaa zaraa tafrih rahegi
ik mahfil-e-sadmaat kareinge
آنا ذرا تفریح رہے گی
اک محفل صدمات کریں گے
आना ज़रा तफ़रीह रहेगी
इक महफ़िल-ए-सदमात करेंगे

ye kyaa kam hai amaama baandh kar nikle nahin ham
ab is se bhi sivaa imaan-daari kaun kartaa
kab se main safar mein huun magar ye nahin maalum
aane mein lagaa huun ki main jaane mein lagaa huun
suntaa hai yahaan kaun samajhtaa hai yahaan kaun
ye shaghl-e-sukhan vaqt-guzaari ke liye hai
ye na dekho ki mire zakhm bahut kaari hain
ye bataao ki miraa dushman-e-jaan kaisaa hai
the yahaan saare amal radd-e-amal ke muhtaaj
zindagi bhi hamein darkaar thi marne ke liye
kholin vo dar kisi ne bhi kholaa na ho jise
koi jidhar na jaae udhar jaanaa chaahiye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
phailaa fazaa mein naghma-e-zanjir-e-marhabaa
zindaan mein ghuT ke rah na saki zindagi ki baat
gham se bahal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
dard mein Dhal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
beTi ke saath maan mujhe taslim hai magar
lekin kabhi kabhi ise tanhaa bhi chhoD de